saahil kii talaash

by salil2002 on October 05, 2008, 07:48:32 AM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3501 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: October 06, 2008, 12:19:54 PM »
Gehra Hai Samander Mohabbat Ka, Milega Na Tumhe Koi Kinaara,.
Doobne Se Pehle, Ubhaarne Ke Liye, Banaa Lo Tum Koi Sahaara,.

Kab Tak Jugnoo Ko Saath Lekar Manzil KI Talaash Mein rahoge "Azeem,.
Lambe Safar Pe Jab Niklo Tum, Maanglo Aasmaan Se Kou Sitaara,.

___________________________________-Jaanasheen-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
talaash by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
TALAASH by romiAhmed in Miscellaneous Shayri
ek talaash by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
saahil ki talaash mein by saahill in Shayri-E-Dard
SAAHIL KI TALAASH by saahill in Shayri-E-Dard
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: October 06, 2008, 01:25:50 PM »
Jaanasheen ji,
Tootey hain, jaaney kitney sitaarey khalaa sey, roz!
Ab, kis pai ham yaqeen kareyn; aur, kyoun kareyn?
Yeh naakhudaa hamaaraa barhaa hoshiyaar hai!
Ham, kyoun na, saath mein hi jiyen, saath hi 'tareyn'?

                           - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: October 06, 2008, 01:42:17 PM »
Great Post Abd Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #18 on: October 06, 2008, 01:47:37 PM »
Jaanasheen ji,
Tootey hain, jaaney kitney sitaarey khalaa sey, roz!
Ab, kis pai ham yaqeen kareyn; aur, kyoun kareyn?
Yeh naakhudaa hamaaraa barhaa hoshiyaar hai!
Ham, kyoun na, saath mein hi jiyen, saath hi 'tareyn'?

                           - abd bundeli

Tootkar, Tamannaaon Mein Jeene Ki Adaa Hume Taaron Se Seekhi Hai,.
Doob Jaayenge Khud Hi, Tujhe Kinaare Pe Le Aakaar "Azeem",.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: October 06, 2008, 02:12:39 PM »
Tootkar, Tamannaaon Mein Jeene Ki Adaa Humne Taaron Se Seekhi Hai,.
Doob Jaayenge Khud Hi, Tujhe Kinaare Pe Le Aakaar "Azeem",.

______________________________________-Jaanasheen-


 Applause Applause Waah kyaa baat kahee hai! Dil ko gahraayee tak chhoo gayee hai! Bahut hi umdah!

 Aisey hi naakhudaa kaa talabgaar hai 'abd',
 Jo us key safeeny ko kinaarey pai ley chaley!
 Lahroun sey jisey dar na lagey, jo na past ho!
 Aisey hi, kash, aur bhi insaan hon bhaley!!

                          - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: October 06, 2008, 02:32:59 PM »
Bohot Khoob Azeem and Abd Ji  Applause Please carry on the good work.
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: October 06, 2008, 02:38:14 PM »
jaane kahaan ja raha hoon main
jaane kyun chala ja raha hoon main
tu hai is jahan main toh dhoond loonga
ab tere bin rahoon to kaise rahoon main

is kadar viraan kar gayi hai tu duniya meri
kii har raat ek jashn hai maut kii
haar chuki hai jindagi maut se zaddo-zahed
phir bhi saansein yeh kyun nahin tham rahi

talaashoonga tujhe har jagah har rut main
dhoondoonga tujhe har taraf har but main
tu chhuda kar haath kyun chali gayi
kya tu ek parchhayi thi jo andheron main kho gayi

kari maine kya khata ye toh bata jaate
wafa main agar kucch kami thi toh keh jaate
yun jaane se pahle kucch toh khayal kar lete
kya main ji paunga ho kar zuda khud se ye sawaal kar lete

saahil k paas hai to neer bahut sa
magar jaane kyun bujhte nahin yeh pyaas hai
kii har lehar ke saath bheja hai maine paigaam
kii "Saahil" ko teri talaash hai........


Bohot Umdah, bohot khoob Salil....
Applause Applause Applause

Khuda raaste de aur de manzilain,
Khatm ho safar teri talaash ka,
Khizaaon ki zardi ho jaaye rukhsat
Khile harsu jaise phool palaash ka !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: October 06, 2008, 02:49:28 PM »
Shukriyah Celmira ji!
Din ho chukaa hai 'ast', raat ghirney lagee hai;
Beyhtar yahee hai apney maykadey pai chalaa jaaye!
Saaqee ney meyrey, khoob kiyaa hogaa intizaam;
Chaltaa hoon, taa ki, fir, usee galey mein galaa jaaye!!

                              - abd bundeli

                    
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: October 06, 2008, 02:54:53 PM »
Abd Ji,


Din dhala, raat aayi, aayegi ek subah nayi
Maikashi main bhoolna mat intezar subah ka !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: October 07, 2008, 05:45:08 AM »
Celmira ji,
Ab to suroor-e-may key shab-o-roz dhhal chukey:
Baaqee hai khumaaree, usee ko jee rahaa hoon mein!
Is qaarwaan-e-zeest mein shaamil hoon tabhi tak;
Jab tak ki US ko meyree zaroorat wahaan naheen!!

                            - abd bundeli
Logged
salil2002
Guest
«Reply #25 on: October 07, 2008, 07:33:00 AM »
behakta hai nashe mein koi
toh kyun sambhalega usko saaki
kii peete haihum shaam se
yun behakne ke liye hi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #26 on: October 07, 2008, 07:46:30 AM »
salil2002 ji
Sharaab bhi wahee, saqee bhi, wahee maykhaanah:
Huzoor, aap ney pee key abhi deykhaa hai kahaan?
Usee ko pee key aur jee key, ham bahaktey hain:
Huzoor, aap ney jee key abhi deykhaa hai kahaan?

                                - abd bundeli
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: October 07, 2008, 09:30:12 AM »
Shukriya Abd Ji,.
Talat Sis,.'
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: October 07, 2008, 09:35:22 AM »
Tootkar, Tamannaaon Mein Jeene Ki Adaa Humne Taaron Se Seekhi Hai,.
Doob Jaayenge Khud Hi, Tujhe Kinaare Pe Le Aakaar "Azeem",.

______________________________________-Jaanasheen-


 Applause Applause Waah kyaa baat kahee hai! Dil ko gahraayee tak chhoo gayee hai! Bahut hi umdah!

 Aisey hi naakhudaa kaa talabgaar hai 'abd',
 Jo us key safeeny ko kinaarey pai ley chaley!
 Lahroun sey jisey dar na lagey, jo na past ho!
 Aisey hi, kash, aur bhi insaan hon bhaley!!

                          - abd bundeli

Nakhuda Bankar Kashtiyon Ko, Kinaare Par Le Jaane Ka Hoonar Maine Seekha Nahi,.
Jab Taqdeer Ke Samander Mein, Khud Ki Kismat Ko Paar Na Lagaa Paaye,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #29 on: October 07, 2008, 10:04:58 AM »
Jaanasheen ji,
Jin ney na seekh paayaa kabhi hunar-e-naakhudaa;
Woh khud hee bahr-e-zeest mein safeenah baney hain!
Woh aankh bhi to aankh hai jo noor-e-yaar ko,
Gar khud na deykh paaye to auroun ko dikhaa dey!!

                                   - abd bundeli
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:07:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer