Saaki pila de aisa jam, ki shaam gum ho jaaye

by thegrimreaper on September 11, 2009, 09:57:02 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3281 times)
thegrimreaper
Guest
Saaki pila de aisa jam, ki shaam gum ho jaaye
Hosh hi na rahe gum ka, ki naam gum ho jaaye

Saagar ko na thaam, Ashqon ka sailab guzar chuka hai
Musafir raat ki thand mein thithur chukka hai

Shaabab ko mila ke pila de aaj, ki raat rangeen ho jaaye
Koshish na kar ki mahaul aaj mere gam se gamgeen ho jaaye

Ae Saaki ban mera Humraaz aur baant mere Gam
Pile ek aisa Jaam  jo bhula de saare Gam

Pilaye ja Saaki Jab tak Gum-e-Duniya na mein bhul jaaon
Ya Maikhaana ki sharaab mein, main na jhoom jaun

Pee Pee kar agar main Mar bhi jaun aaj to Gam na karna
Sharaab mein jalaakar mujhe Duniya se Ruksat karna

The Grim Reaper





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Saaki Teri Sharaab Ne Muzko Sula Diya by harashmahajan in Ghazals « 1 2  All »
KOI AISA AA JAAYE by Jiya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
zehar pila diya.. by Alam Qazi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
MEYKHANA-AE-SAAKI by sanchit in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bhaad Mein Jaaye Aisa Samaajh,. by Azeem Azaad in Inspirational Stories and real life Incidences.
thegrimreaper
Guest
«Reply #1 on: September 11, 2009, 10:31:07 AM »
Shaarab ka thaama tha tera daaman chodkar
Tera aks dekhkar sharaab mein, ab kiska daaman thamon??
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 11, 2009, 12:42:10 PM »
Wah wah bahut khoob Reaper ji,really touching n mindblowing creation. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #3 on: September 11, 2009, 03:32:46 PM »
shukriya Madhu ji
aap na ho to hamari shayari kaun pade
Giggle Giggle Giggle Giggle
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: September 12, 2009, 05:39:19 AM »
Bahut Hi Khoob Likha Hai TGR Ji,..!!! Wah Wah!! Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Pilana aaj iss kadar mujhe ki
nashe me yaar-e-didaar ho jaye,

Dil to choor-choor ho hi gaya
kyun na saanse bhi bejaar ho jaye,

Pathar bann chuki hai jo aankhein
Aaj shayad unme aansoo bhi shumaar ho jaye.

Shally.
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: September 12, 2009, 01:23:50 PM »
KYA BAAT HAI   THEGRIMREAPER JI.......

PILA PILA SAKI AAJ ITNA PILA,
KI SAARI RAAT CHALTA RAHE, PEENE KA SILSILA,

SHARAB PILA,SHABAB PILA,CHAHE PILA MUJHE HUKAA,
KAHI DIN DE NAHIN MILA HAI PYAAR,PYAAR KA HUN BHUKHA.

JAB BHI MAANG TA HUN DILBAR SE PYAAR,AISA LAGTA HAI BEEKH MAANGTA HUN,
KAHETI HAI MAUF KARO AAJ MOOD NAHIN HAI,MAUF KARO AAJ KAMJORI HAI,
ARE HAM KAHAN JAAYEN,APNE JO KHADE HOTE HAI VICHAAR,HAM PYAAR KAISE  PAAYEN.

ISILEYE UNKE AUR HAMARE BEECH DOORI HAIN,
TERE PAAS AANE KI MAJHBURI HAIN.

PILA PILA AHISTA PILA,ZORSEY PILA,
JAB TAK BADAN KA HAR PURJAA NA HILA.

APNE HAATON SE PILA,APNE HONTHON SE PILA,APNE NAZRON SE PILA,
PEETE PEETE MAR BHI JAAOUN TOH MAT DARNA,
WAHAN TOH ROZ MARTA HUN,YAHAN EK BAR HAI MARNA.



Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #6 on: September 12, 2009, 04:10:24 PM »
Bahut Hi Khoob Likha Hai TGR Ji,..!!! Wah Wah!! Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Pilana aaj iss kadar mujhe ki
nashe me yaar-e-didaar ho jaye,

Dil to choor-choor ho hi gaya
kyun na saanse bhi bejaar ho jaye,

Pathar bann chuki hai jo aankhein
Aaj shayad unme aansoo bhi shumaar ho jaye.

Shally.


shukriya Shally ji apne pada aur saraaha

aur bahut hi khoob likha hai
padkar mazaa aa gaya


Applause Applause Applause Applause Applause
thumbsup thumbsup thumbsup thumbsup
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #7 on: September 12, 2009, 04:13:44 PM »
KYA BAAT HAI   THEGRIMREAPER JI.......

PILA PILA SAKI AAJ ITNA PILA,
KI SAARI RAAT CHALTA RAHE, PEENE KA SILSILA,

SHARAB PILA,SHABAB PILA,CHAHE PILA MUJHE HUKAA,
KAHI DIN DE NAHIN MILA HAI PYAAR,PYAAR KA HUN BHUKHA.

JAB BHI MAANG TA HUN DILBAR SE PYAAR,AISA LAGTA HAI BEEKH MAANGTA HUN,
KAHETI HAI MAUF KARO AAJ MOOD NAHIN HAI,MAUF KARO AAJ KAMJORI HAI,
ARE HAM KAHAN JAAYEN,APNE JO KHADE HOTE HAI VICHAAR,HAM PYAAR KAISE  PAAYEN.

ISILEYE UNKE AUR HAMARE BEECH DOORI HAIN,
TERE PAAS AANE KI MAJHBURI HAIN.

PILA PILA AHISTA PILA,ZORSEY PILA,
JAB TAK BADAN KA HAR PURJAA NA HILA.

APNE HAATON SE PILA,APNE HONTHON SE PILA,APNE NAZRON SE PILA,
PEETE PEETE MAR BHI JAAOUN TOH MAT DARNA,
WAHAN TOH ROZ MARTA HUN,YAHAN EK BAR HAI MARNA.





shukriya Cara ji, aapko pasand aayi
Aapki peshkash bhi bahut hi kaabil-e-taarif hai, padkar bahut accha lagaa

Applause Applause Applause Applause Applause
thumbsup thumbsup thumbsup thumbsup
Aise hi likhte rahiye
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #8 on: September 12, 2009, 04:21:36 PM »
Peene ka shauk zyaada na tha
Aur tauba ka bhi koi Iraada na tha

Jannat jo mile laakar Use maikhaane mein rakh dena
Aur qausar ko mere Choote se paimane mein rakh dena

Arre maiyyat na meri Jaakar Viraane mein rakh dena
Balki paimaane mein dafnakar Maikhaane mein rakh dena

Fasle Gul hai sharaab pi lijiye, Sharm kaisi janaab, pi lijiye
Aaage chalkar hisaab hona hai, is liye Behisaab pi lijiye

NOT MINE
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 14, 2009, 05:07:12 PM »
good work and sharing TGR ji, nice work shally and cara!!
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #10 on: September 14, 2009, 09:38:31 PM »
good work and sharing TGR ji, nice work shally and cara!!


thanks  a  lot pooja ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:29:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer