SAANP AAKHIR SAANP HI NIKLA ................. HASAN

by F.H.SIDDIQUI on June 18, 2012, 06:15:21 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 6033 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #30 on: June 21, 2012, 02:16:11 PM »
Hausla  afzai  ke  liye  bahut  bahut  shukriya , Khamosh Aawaaz  ji. Khush  rahiye .
doosra sher kyaa kahne FHS. VERIII NAAAAAAAAICE------ONE RAU
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aasteen Ka Saanp by harashmahajan in Ghazals
Saanp by Prateek Mardia in Miscellaneous Poetry in Punjabi
HAR KHAZANE PE SAANP HOTA HAI .............( QAIS ) by Qais in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Astin ke saanp. by sanjiv gaikwad in Other Languages
Jaadui Saanp.... By Masoom Shahzada by Masoom Shahzada in General Stories
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #31 on: June 21, 2012, 03:58:33 PM »
BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA , SATISH  JI .
Waah waah...Hasan Sahab...bahut khoob...Raqeeb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #32 on: June 22, 2012, 10:56:53 AM »
THANKS ,  PANKAJ  JI . GOD  BLESS  YOU . HASAN
Very true and nice writing Hasan Sir ......
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #33 on: June 22, 2012, 04:37:52 PM »
Pilaaya   doodh   lekin  ,  Saanp   aakhir   Saanp   hee   nikla ,
Azeez  - az - jaaN   jise   samjha , mera  qaatil  wahee   nikla


Wafa   hoti  hai  sub  meiN ,  aur   phir   Bhai   to  Bhai   hai ,
YaqeeN   mera   ghalat   thha   ,  tera   Andesha   sahee   nikla

bahut acha sher hai hasan sahab Usual Smile
saani bahut acha laga
lekin kafiyaa ghalat lag raha hai... sahi lafz asal mai sahiH hota hai... plz check and let me know ..




Chale  thhe   Doodh   karne   Doodh , aur   Paani  ko  hum  Paani ,
Kiya    Paani   alag   to   saare    ka    saara    Dahee    nikla

oolaa agar aisa ho to thoda clear ho raha hai .. mere hisaab se baakia ap dekh le

chale they doodh ko hum doodh karne paani ko paani

HaiN   yaksaaN   Dard   ke   Qisse  ,  Haqeeqat   ho   gai   saabit ,
Fasaana   tera  ,  jub    meri  ,   kahani    ankahee    nikla

mere khayal se ... haqeeqat ka zahir honaa jydaa suit karega sabit kahne ke bajaye ....!!!


Kisi  per   aankh   band   kar  ke  ,  Bharosa  mat  'Hasan'  karna ,
Hamaare    tajruboN    se    ye    Usool - e - Aagahee    nikla


acha makta hai saheb ....
acha laga aapko padhnaa

regards
Hausla afzai aur mufeed mashviron ke liye shukriya.

 * Main muttafiq hoon ki 'saabit' se 'zaahir' zyada suit karta hai. Darasl main bhi in dono alfaaz ke beech muzabzab mein thha lekin post karte waqt 'sabit' hi kiya.

 * Doodh paani... waale misre mein original hi zyada munasib hai kyunki 'paa NI ko paani' ke NI se zyada choti aawaaz 'KO hum paani' ke KO mein hai jo rawaani aur wazan ke aitbaar se main samajhta hoon zyada sahi hai.

  Waise upar ke dono hi cases mein tajweez karda tarmim bhi mumkin hai .Bulki koi doosre reader apne  aql o faham  ke mutabiq kuch aur tareeqa bhi bata  sakte  hain .

 * 'Sahi' lafz hijje ke aitbaar se 'sahiH' hi hai lekin aawaaz au itemaal ke aitbaar se H pe nahi toot'ta hai.Aur jahaan tak main samajhta hoon 'Sahi' ki tarah istemaal kiya jaata hai. Lekin main yaqeeni taur per aap ki raai ko ghalat nahi kahta hoon . Guzarish karunga ki agar 'Sahi' ka 'sahiH' ki tarah wazan ya qafiyon mein istemaal ke kuch ashaar hon to bataur misaal rahnumaai ke liye likh dein.
 Duago,Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #34 on: June 24, 2012, 10:55:17 AM »

Saheb...Lajawaaaaab!!!!

Kya Kehne....Itni Gehri Baatein Kam se Kam LafzoN Mein Keh Dena Koi Aapse Seekhe...Bahut Bahut Aur bahuttttttttttttttt Khooob

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA , KHWAISH  JI . DUAAEIN.
Logged
janumanu
Guest
«Reply #35 on: June 24, 2012, 11:49:33 AM »
Hausla afzai aur mufeed mashviron ke liye shukriya.

 * Main muttafiq hoon ki 'saabit' se 'zaahir' zyada suit karta hai. Darasl main bhi in dono alfaaz ke beech muzabzab mein thha lekin post karte waqt 'sabit' hi kiya.

 * Doodh paani... waale misre mein original hi zyada munasib hai kyunki 'paa NI ko paani' ke NI se zyada choti aawaaz 'KO hum paani' ke KO mein hai jo rawaani aur wazan ke aitbaar se main samajhta hoon zyada sahi hai.

  Waise upar ke dono hi cases mein tajweez karda tarmim bhi mumkin hai .Bulki koi doosre reader apne  aql o faham  ke mutabiq kuch aur tareeqa bhi bata  sakte  hain .

 * 'Sahi' lafz hijje ke aitbaar se 'sahiH' hi hai lekin aawaaz au itemaal ke aitbaar se H pe nahi toot'ta hai.Aur jahaan tak main samajhta hoon 'Sahi' ki tarah istemaal kiya jaata hai. Lekin main yaqeeni taur per aap ki raai ko ghalat nahi kahta hoon . Guzarish karunga ki agar 'Sahi' ka 'sahiH' ki tarah wazan ya qafiyon mein istemaal ke kuch ashaar hon to bataur misaal rahnumaai ke liye likh dein.
 Duago,Hasan



behr aur rawani ke hisaab se merea misra bhi theek hai par. choice aapki hai.. aap ahle ghazal hai.... actualy mai muhaware pe dhyaan de raha tha... khair... apni apni rai ho sakti hai ..

-- aur sahi waali baat to.. example mere pas na ... "sahi" ke liye hai na hi "sahiH" ke liye ....

maine ek sher likhaa tha ..

ajab log haiN aur ajab khaahisheN
ghalat ko bhi sab kuch sahi chahiye"

to mujhe "sahi" pe toka gaya tha.. isliye maine aapko ye baat kahi ...

jinhone mujhe tokaa... mai unki bata taal nahi saktaa ... to socha shayed aapse kuch maloomaat ho... isliye kaha

bas itna hi likhte raheN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #36 on: June 24, 2012, 04:25:23 PM »
SHUKRIYA , SHIHAB  MIYAN . AAP  BHI  CHUST  MAST  AUR  SWASTH RAHEIN .
kya kehne Hasan Sahab Kya Wah
Bahut Bahut Jhub Janaab...

ALLAH pak Aapko Chust, Mast, Aur Swast Rakhey Aameen...
Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #37 on: June 26, 2012, 09:20:58 AM »

behr aur rawani ke hisaab se merea misra bhi theek hai par. choice aapki hai.. aap ahle ghazal hai.... actualy mai muhaware pe dhyaan de raha tha... khair... apni apni rai ho sakti hai ..

-- aur sahi waali baat to.. example mere pas na ... "sahi" ke liye hai na hi "sahiH" ke liye ....

maine ek sher likhaa tha ..

ajab log haiN aur ajab khaahisheN
ghalat ko bhi sab kuch sahi chahiye"

to mujhe "sahi" pe toka gaya tha.. isliye maine aapko ye baat kahi ...

jinhone mujhe tokaa... mai unki bata taal nahi saktaa ... to socha shayed aapse kuch maloomaat ho... isliye kaha

bas itna hi likhte raheN
Bhai , bahut achha laga aap se baat kar ke . Aapke
tabsiron aur  mashviron ka hamesha khair maqdam hai .
Bahut khubsurat sher  aap  ne  inayat  kiya  hai. Isi
se  milta julta apni eik puraani ghazal  ka sher pesh
karte hue ikhtitaam karta hoon :

KaheiN  ghalat  ko  ghlat  maana itna  zarf  naheeN,
Magar  yeh  kya  ki ghalat  hi kaheiN  Sahi ko log
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #38 on: June 28, 2012, 04:21:40 AM »


very very nice
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #39 on: June 28, 2012, 01:45:58 PM »
THANKS , LIVINGBYTHEDAY JI .

very very nice
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:31:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer