Saans Hawaa Ban Kar Seene Ki.....

by Aryaan on July 13, 2005, 09:13:42 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2518 times)
Aryaan
Guest

Saans hawaa ban kar seene ki aatish ko barhkaaye tau
Jeevan phir bhi jeevan tehra, daaman maut bachaaye tau

Kaise jeete hain jeevan mein, kaise sath nibhaate hain
Aa kar thaam le koi hum ko aur koi samjhaaye tau

Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau

Apni maazi ki yaadon ke hum iklaute waaris hain
Jo bhi maang raha hai hum ko, unn ko bhi apnaye tau

Hum bhi bilkul toot gaye, unki bhi hain aankhein num
Lekin apne beech mein aa kar baat koi suljhaye tau

Khud ko ruswa karne se behtar hai khaamosh rahein
Aa kar beech kahaani mein tum jo kahin ghabraye tau

Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hawaa Ghamon Kii,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Hawaa chaley saanyn-saanyn; raat jamhareeree! by abdbundeli in Ghazals
hawaa chhutne wali hai by rahulbhandari3 in Other Languages
Mujhe Aur Hawaa Dene Lage by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2005, 09:20:52 PM »
Jitani tareef likhu kam hogi Aryaan ji........bahoot hi acha likha hai apne.....

Dil se likhe shabad dil tak jaty hai
dekh kar teri tarap, kayun dard mere ubhar atty hai
Sochati hu kabhi, kayun iss dard se hum bach nahi paty hai
jitana bhi duniya dharmo per larr le, dard ke rishty phir sabko ek kar jaty hai!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2005, 09:21:18 PM »
Naam likhne bethe unka to nazam ban gayi,
Ashq sayahi, dard ki lahre kalam ban gayi,
Woh alfaz kuchh aise bikhre fizaaon me,
Ki zindagi ek dard bhari gazal ban gayi.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2005, 09:29:01 PM »
Quote from: "Pooja"
Jitani tareef likhu kam hogi Aryaan ji........bahoot hi acha likha hai apne.....

Dil se likhe shabad dil tak jaty hai
dekh kar teri tarap, kayun dard mere ubhar atty hai
Sochati hu kabhi, kayun iss dard se hum bach nahi paty hai
jitana bhi duniya dharmo per larr le, dard ke rishty phir sabko ek kar jaty hai!!!!!


Bohat shukriya Pooja.... & Nice reply...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2005, 09:30:07 PM »
Quote from: "Pooja"
Naam likhne bethe unka to nazam ban gayi,
Ashq sayahi, dard ki lahre kalam ban gayi,
Woh alfaz kuchh aise bikhre fizaaon me,
Ki zindagi ek dard bhari gazal ban gayi.

Kya kahoon main Pooja....... Bohat hi khubsoorat....
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #5 on: July 13, 2005, 09:55:48 PM »
Quote from: "Pooja"
Naam likhne bethe unka to nazam ban gayi,
Ashq sayahi, dard ki lahre kalam ban gayi,
Woh alfaz kuchh aise bikhre fizaaon me,
Ki zindagi ek dard bhari gazal ban gayi.



nice
Logged
jalpari
Guest
«Reply #6 on: July 14, 2005, 03:49:59 AM »
Quote from: "Aryaan"

Saans hawaa ban kar seene ki aatish ko barhkaaye tau
Jeevan phir bhi jeevan tehra, daaman maut bachaaye tau

Kaise jeete hain jeevan mein, kaise sath nibhaate hain
Aa kar thaam le koi hum ko aur koi samjhaaye tau

Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau

Apni maazi ki yaadon ke hum iklaute waaris hain
Jo bhi maang raha hai hum ko, unn ko bhi apnaye tau

Hum bhi bilkul toot gaye, unki bhi hain aankhein num
Lekin apne beech mein aa kar baat koi suljhaye tau

Khud ko ruswa karne se behtar hai khaamosh rahein
Aa kar beech kahaani mein tum jo kahin ghabraye tau

Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau.....

wowwwwww Aryaan.... bohut ache...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2005, 03:51:20 AM »
Quote from: "Pooja"
Naam likhne bethe unka to nazam ban gayi,
Ashq sayahi, dard ki lahre kalam ban gayi,
Woh alfaz kuchh aise bikhre fizaaon me,
Ki zindagi ek dard bhari gazal ban gayi.

very nice Pooja ji...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2005, 07:16:40 AM »
nice one pooja G n Aryaan........................................... .!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2005, 07:31:58 AM »
Quote from: "Aryaan"


Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau




amazing Aaryan ... n pooja ji ... n every one ..!!1
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2005, 07:35:26 AM »
very nice Aryaan ...............

Na kar aise dard ki baaton ko
na soch tu kisi bedard ki baaton ko
ki gum tuh bas kuch wakt teherne ter ghar aaye hai
jamane main bahut hai teri hi tarhan tanha
na ho maaus itna Hum bhi hain gum main phir bhi tujhe samjane aayen hai
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2005, 07:42:04 AM »
Quote from: "sandhaya"
very nice Aryaan ...............

Na kar aise dard ki baaton ko
na soch tu kisi bedard ki baaton ko
ki gum tuh bas kuch wakt teherne ter ghar aaye hai
jamane main bahut hai teri hi tarhan tanha
na ho maaus itna Hum bhi hain gum main phir bhi tujhe samjane aayen hai
buht acha ji
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2005, 10:04:50 AM »
Quote from: "Yoindian Ghunda"
Quote from: "sandhaya"
very nice Aryaan ...............

Na kar aise dard ki baaton ko
na soch tu kisi bedard ki baaton ko
ki gum tuh bas kuch wakt teherne ter ghar aaye hai
jamane main bahut hai teri hi tarhan tanha
na ho maaus itna Hum bhi hain gum main phir bhi tujhe samjane aayen hai
buht acha ji
sukhriay Gunda ji .......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: July 14, 2005, 12:31:01 PM »
Bohat bohat shukriya Jalpari, Salma, Tosha & Sandhaya........

Nice One Sandhaya.....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #14 on: July 14, 2005, 12:40:29 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat bohat shukriya Jalpari, Salma, Tosha & Sandhaya........

Nice One Sandhaya.....
Ur welcome aryaan ji aur bahut sukhirya ............
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:16:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer