Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
Print
Author  (Read 23783 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Shehar Mein Dhoond Raha Hoon Ke Sehra De De,.
Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kaasa De De,.

Ped Sab Nange Faqeero'n Ki Tarah Sehme Hain,
Kis Se Ummeed Ye Ki Jaaye Ki Saaya De De,.

Waqt Ki Sangzani Noch Gayee Saare Naqoosh,
Ab Wo Aaeena Kahaa'n Jo Mera Chehra De De,.

Dushmano ki Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaaye,
Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhoka De De,.

Main Bahot Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaaunga,
Meri Tanhayee Yahaa'n Kuch Dino'n Pehra De De,.

Doob Jaana Hi Muqaddar Hai To Behtar, Warna,.
Tune Patvaar Jo Chheeni Hai To Tinka De De ,.

Jis Ne Qatro'n Ka bhi Mohtaaj Kiya Mujhko,.
Wo Agar Josh Mein Aa Jaaye To Dariya De De,.

Tum Ko "Rahat" Ki Tabiyat Ka Nahi'n Andaaza
Wo Bikhaari Hai Magar, Maango To Duniya De De,.

_______________________________-Rahat-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2008, 04:47:41 PM »
nice sharing Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 18, 2008, 04:51:14 PM »
Shukriya Didi,.
Waise Is Topic Mein sabko,.

Behtareen Kalaam Post Karne Hain,.
Umeed Hai Aap Bhi Saath Denge,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2008, 04:58:17 PM »
Ajkal badia kaya kuch bhi likh nahi ho raha hai... jaise hi mood bana jaroor post karugi kuch!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 18, 2008, 05:28:33 PM »
Theek Hai Sis,.
Intezaar rahega,.
aur Hum Bhi Likhenge,.
inshallah.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: April 18, 2008, 05:43:26 PM »
Wah Jaanasheen bhai kamal ki gazal he ye, ab ye bhi mere pasandidah ash'aar me shamil ho gai he, ham bhi i.a. apne pasandedah ash'aar yahan post karenge.
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: April 18, 2008, 05:47:59 PM »
gud one jansheen...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 19, 2008, 10:10:41 AM »
Shukriya Sayyid Ji,.
Intezaar Rahega,.

Shukriya pandit Ji,.

Shukriya Majid Bhai,.
Waise aapne Kyun Kuch Nahi Likha,.
Logged
punam
Guest
«Reply #8 on: April 19, 2008, 01:09:48 PM »
Bahot khoob azeem bhaiya..
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: April 19, 2008, 01:12:22 PM »
sahi main badiya shayri hai Jaanasheen jee
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #10 on: April 19, 2008, 06:45:11 PM »
Azeem bhai salam! chand ash'aar RAHI sahab ke chand roz qabl hi nazar se guzre or dil tak pohonche, unhi me se ek ghazal pesh karta hun, ummid he tamam ahbab ko pasand aayegi.

                    -: MUSHKIL HE :-

JWANI ME AGAR DIL CHOOR HOJAE TO MUSHKIL HE
KISI KA YAAR MILKAR DOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

KOI PUCHE TO AAJATI HE DIL KI BAAT HONTO'N PE
AGAR WO BAAT NA-MANZOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

KISI DIN JHUTHA WAADA HO BHI JATA HE MAGAR AE DOST
AGAR YE ROZ KA DASTOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

BHARE NA ZAKHM DIL KA, TO USKA GAM NAHI LEKIN
AGAR WO ZAKHM SE NAASOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

NAZAR NA YAAR AAE, YAAR SE SHIKWA NAHI "RAHI"
NAZAR AAKAR NAZAR SE DOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

[RAHI]
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2008, 03:29:50 AM »
Bohat khoob likha hai Azeem aur syyid
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2008, 06:38:44 AM »
Aap ka bohot bohot shukriya honeyrose....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 20, 2008, 01:46:32 PM »
Azeem bhai salam! chand ash'aar RAHI sahab ke chand roz qabl hi nazar se guzre or dil tak pohonche, unhi me se kuchh pesh karta hun, ummid he tamam ahbab ko pasand aaenge.

                    -: MUSHKIL HE :-

JWANI ME AGAR DIL CHOOR HOJAE TO MUSHKIL HE
KISI KA YAAR MILKAR DOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

KOI PUCHE TO AAJATI HE DIL KI BAAT HONTO'N PE
AGAR WO BAAT NA-MANZOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

KISI DIN JHUTHA WAADA HO BHI JATA HE MAGAR AE DOST
AGAR YE ROZ KA DASTOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

BHARE NA ZAKHM DIL KA, TO USKA GAM NAHI LEKIN
AGAR WO ZAKHM SE NAASOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

NAZAR NA YAAR AAE, YAAR SE SHIKWA NAHI "RAHI"
NAZAR AAKAR NAZAR SE DOOR HOJAE TO MUSHKIL HE

[RAHI]

Walaikum As Salaam Bhaijaan,
Bahoot Khoob Pardhkar Mazaa Aaa gaya,.
Nice Sharing,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 20, 2008, 01:55:49 PM »
Ek Aur Kalaam umeed hai Aapko Pasand Aaayega,.

Har Baat Yahaan Baat Badhaane Ke Liye Hai,.
Ye Umar Jo Dhoka hai, To Khaane Ke Liye Hai,.

Ye Daaman-e-Hasrat Hai Wohi KHwaab-e-Gurezaan,.
Jo Apna Liye Hai Na, Zamaane Ke Liye Hai,.

Utre Hue Chehre Mein Shikayat Hai Kis Ki,.
Roothi Hui Rangat Hai, Manaane Ke Liye Hai,.

Gaafil Teri Aaankhon Ka Mukkadar Hai Andhera,.
Ye Farsh To raahon Mein Bichaane Ke Liye Hai,.

Ghabraa Na Sitam se, na Karam Se, Na Adaa Se,.
Har Mord Yahaan Raah Dikhaane Ke Liye Hai,.

____________________________-Mehboob Khizaan,.

Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:11:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer