Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 27
Print
Author  (Read 24042 times)
Sonia01
Guest
«Reply #105 on: June 15, 2008, 05:22:44 PM »
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujhko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujhko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujhko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

ISRAR ANSARI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Sonia01
Guest
«Reply #106 on: June 15, 2008, 05:24:23 PM »
dhuaa.N uThaa thaa divaane ke jalate ghar se saarii raat
lekin vo Khaamosh rahaa duniyaa ke Dar se saarii raat

raat yuu.N jalate dil par terii yaado.n kii barasaat hu_ii
jaise ik pyaase kii chitaa par barkhaa barase saarii raat

saarii raat to sapane dekhe subah ko ye mahasuus huaa
ham ne apanaa sar Takaraayaa ik patthar se saarii raat

Shamim Shahabadi
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #107 on: June 15, 2008, 05:26:08 PM »
Jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye
hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaaye

[rasm = custom/tradition]

tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii
ik nadii dard ke shaharo.n me.n bahaa dii jaaye

[tishnagii = thirst; tishnaalab = extremely thirsty]

dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraa.N ke tale
jaise ik laash chaTTaano.n me.n dabaa dii jaaye

ham ne insaano.n ke dukh dard kaa hal Dhuu.NDh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaa u.Daa dii jaaye

[afvaa = rumour]

ham ko guzarii hu_ii sadiyaa.N to na pahachaane.ngii
aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye

[lamhaa = moment; sadaa = call]

phuul ban jaatii hai.n dahake hue sholo.n kii lave.n
shart ye hai ke unhe.n Khuub havaa dii jaaye

kam nahii.n nashe me.n jaa.De kii gulaabii raate.n
aur agar terii javaanii bhii milaa dii jaaye

[ja.Daa = winter]

ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
chand lafzo.n me.n ko_ii aah chhupaa dii jaaye

Jaan Nissar Akhtar
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #108 on: June 15, 2008, 05:27:31 PM »
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujhko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujhko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujhko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

ISRAR ANSARI

[/quot

are wah ye to meri pasandeeda gazlon me se hai........
Itna socha hai kuch sawalon per
barf si girne lagi hai balon per
rone wale to hans nahi sakte
log hanste hain rone walon per

[shaair: gum naam he koi]
bahoot achche syed sahab
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #109 on: June 15, 2008, 05:52:32 PM »
bahoot achche syed sahab

shukriya bekarar ji.. {wayse me'n syed nahi sayyid hun}
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #110 on: June 15, 2008, 05:56:25 PM »
Sonia01 ji "ISRAR ANSARI" ki ghazal bohot behtareen he, or "jaa'n nisaar akhta" ki to baat hi kya, kamaal ke ash'ar he'n unke.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #111 on: June 15, 2008, 05:59:37 PM »
Ankho main raha dil main utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samander nahi dekha
Pat'ther mujhe kehta hai mera chahne walaa
main moom hoo'n us ne muji chookar nahi dekha

[nm]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #112 on: June 16, 2008, 11:35:03 AM »
Ha Ha Ha badi door ki sochi.... Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard

kamal ki baat kehdi azeem bhaai mere bade bhai aksar bolte rehte hen "jahan doodh lene jaata hun bhens mar jaati he" ab unhe'n aap ka sher pesh karunga.  laughing4


Shukriya Bhaijaan,.
Jo Aapko Hamari Koshish pasand Aayi,.
Likhne Ke Baad Mujhe Bhi Ye Bahoot Pasand Aaay,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #113 on: June 16, 2008, 11:52:28 AM »
i would Just tell subhan allah,.
Bahoot Khoob,.
Kamaal ki Shayaris likhi HaimnAap Dono ne,.
yunhi likhte rahiye,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #114 on: June 16, 2008, 11:58:23 AM »
Ab Khushi Hai na Koi gham Rulaane waala,.
Humne Apna Liya hai Rang Zamaane waala,.

Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na tha,.
Saara Ghar Le Gaya, Ghar Chord Ke Jaane waala,.

Ek Musafir Ke safar Jaisi Hai saari Duniya,.
Koi Jaldi Mein Koi Der Se Jaane waala,.

Ek bechehre Si Ummid Hai Chehra-Chehra,.
Jis Taraf dekhiye Aaane ko Hai Koi aaane waala,.

_________________________-Nida fazli-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #115 on: June 16, 2008, 12:25:20 PM »
Tamam ghazlen aur nazmen waqai chunni hui aur sabaq aamuz hain...
Buhat bahtareen kaam saranjaam de rahe sab...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #116 on: June 16, 2008, 12:48:40 PM »
Shukriya Naami Ji,.
Aap bhi Kuch Likhaa karo Yaar,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #117 on: June 16, 2008, 01:10:10 PM »
Buhat hi umda hai shayari syyid ji aur Azeem bro
acha likha hai aapne... Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #118 on: June 16, 2008, 09:06:52 PM »
Shukriyah azeem bhai or honeyrose sahiba.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #119 on: June 17, 2008, 01:35:50 PM »
Shukriya Jaya sis,.
And welcome randeri Ji
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:53:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer