Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 27
Print
Author  (Read 23569 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #120 on: June 17, 2008, 01:40:41 PM »
Bol Raha tha Kal Wo Mujhse Haath Mein Haath liye,.
Chalte rahenge Sukh Dukh Ke Hum saare mausam Saath liye,.

Usne Apni Jholi Se kal Pyaar Ke Humko Phool Diye,.
laut Aaaye hain Daaman bhar Ke uski ye Saugaat liye,.

Rang Daalo Tann Mann Ki Bagiya Mein, Fizaa banke Aaa jaao,.
Baras pado dil ke aaangan Mein Rangon Ki barsaat liye,.

Humne Apni Saari shaamein likhdi unke Naa "Qateel",.
Umr Ka Lamha Lamha Beeta Unko Apne saath liye,.

_________________________________-Qateel shifai-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
honeyrose
Guest
«Reply #121 on: June 17, 2008, 02:02:53 PM »
Very nice sharing Azeem bro...Usual Smile
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #122 on: June 17, 2008, 02:12:41 PM »
very nice sharing Jaanasheen jee...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #123 on: June 17, 2008, 02:13:29 PM »
Teri talaash main niklay thay hum haath maltay huay
Rula diya aaj humain suraj ne dhaltay huay

Utaar Zehan Ke Gaaron Main Roshni Bhuzate huay
Zamana Guzar gaya Seenon main dard Paltay Huay

Kisi ghata se kaho, Hum ko ab utha le jaaye
Ke Umer Beet gayee hum ko jaltay huay

Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke
Kahan tak aagaye hum is raastay per chaltay huay

Sikha rahi hai zamanay ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail Dewane, Patrian badaltay huay.
(Author Not Known)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #124 on: June 17, 2008, 02:32:29 PM »
Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye
Dil mein the kaid mager rasm-e-wafa bhool gaye.

Jin aankhoN meiN chhalakte the sharaab her dum yuiN,
Kya ghula Zeher, maikede ka nasha bhool gaye.

Zakhm dete rahe Lawa bhhi ugalta hi raha,
Guzre haiN Ishq mein per Rooh-e-wafa bhool gaye.

Shumaar rehte kabhie the aziz logoN meiN,
Ab khyaloN meiN bhi woh dil ka pata bhool gaye.

Be-piye 'musafir' Gunah kerne ko mazboor hua,
Saza toh yaad rahi our khata bhool gaye.


Author : unknown
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #125 on: June 17, 2008, 02:33:41 PM »
Guftagoo ke lamhon mein
dekh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...
jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...
kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat toor dete hain...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #126 on: June 17, 2008, 02:53:26 PM »
Qateel Saahib to Azeem Shayir hain... inka likha to dil ko jhanjhod kar rakh deta hai... Shukriya Azeem bhai...

Sonia01 jee... aap ne bhi umda kalaam mahfil-e-khaas men paish kiye hain...
Khaas tor par

Quote from: sonia01
Teri talaash main niklay thay hum haath maltay huay
Rula diya aaj humain suraj ne dhaltay huay
Yeh buhat kamaal ka hai...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #127 on: June 17, 2008, 04:28:42 PM »

Sonia01 jee... aap ne bhi umda kalaam mahfil-e-khaas men paish kiye hain...
Khaas tor par
Yeh buhat kamaal ka hai...

bahut bahut shukhriya aapko jee hamara sharing pasand aaya aapko thanks
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #128 on: June 17, 2008, 05:33:14 PM »
Lambi umar ki dua dene ka tumhara andaz nirala hai
Tumhe dekh dekh jeete the, tumhi ne maar dala hai

Jis mod par tumhara, kabhi jo sath diya tha maine
Uss mod par ab mera hath, kisi aur ne sambhala hai

Naam se tha jo dhadakta, tadapta tha teri yaad mein
Kiss khoobi se meine jism se, us dil ko ab nikala hai

Jinn hathon ki lakeeron mein jo basaya tha tujh ko
Badi safai se maine, har us lakeer ko mita dala hai

Wo lakhon.., Kasmein, wo wade aur wo batein bhoola kar
Tumne muhabbat ko ik bilkul naya matlab de dala hai

Sab apne liye hain jeete, Main tumhare liye jeeya
Ye baat tum samajh jaoge, wo waqt bhi ab aane wala hai


Author : Not Known
Logged
Talat
Guest
«Reply #129 on: June 17, 2008, 05:36:44 PM »
WoW Beautiful sharing Sonia Applause
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #130 on: June 17, 2008, 05:41:46 PM »
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Darr Lagta Hai...
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Darr Lagta Hai...
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Darr Lagta Hai...
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Darr Lagta Hai...


(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #131 on: June 17, 2008, 05:43:49 PM »
Thanks celmira jee
Logged
syednaami
Guest
«Reply #132 on: June 17, 2008, 08:16:28 PM »
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
.............
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Darr Lagta Hai...


(NM)

Wah... yeh to kamaal ka submission hai... superb...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #133 on: June 17, 2008, 08:18:43 PM »
wah bahoot khoob Sonia!!! Good sharing!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #134 on: June 17, 2008, 08:20:19 PM »
Thanks syed jee and Pooja di..
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:01:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer