Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 27
Print
Author  (Read 23557 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #15 on: April 20, 2008, 05:13:01 PM »
Bohot umda azeem bhai jari rakhiye i.a. ham bhi sath denge.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Prateek Mardia
Guest
«Reply #16 on: April 20, 2008, 05:18:49 PM »
jaansheen ji,

bohut khoob. bohut hi badhiya sharing he.urdu poori tarah na samjh paane ki khalish zarror mun me aa jaati he.

Prateek
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #17 on: April 20, 2008, 05:48:53 PM »
Prateek Mardia ji aadab...
Urdu ka koi lafz agar samajh me na aae to aap yahan syednaami ji se daryaft kar sakte hen, ummid he aap ko tasalli bakhsh jwab miljaega.

http://www.yoindia.com/shayariadab/the-yoindian-summit-news-yoindians-in-real-world/urdu-talaffuz-aasan-t27271.0.html
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #18 on: April 21, 2008, 03:26:04 PM »
Shukriya Syeed Ji,.
And Prateek Bhaisa,.
Aap Ke Bhi Shayariyon Ka Intezaar Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: April 21, 2008, 03:45:46 PM »
Labon Pe Narm Tabbassum Rachaa Ke Dhal Jaaye,.
Khudaa Kare Mere Aanswoon, Kisi Ke Kaam Aajaaye,.

Jo Ibtadaa-e-Safar Mein Diye Bujhaa Baithe,.
Wo Badnaseeb Kisi Ka Sraag Kya Paaye,.

Talaash-e-Husn Kahaan Le Chali Khudaa Jaane,.
Umang Thi Ki Faqat Zindagi Ko Apnaaye,.

____________________________-Ahmed Nadeem-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: April 21, 2008, 03:47:48 PM »
Ek Aur Behtareen Kalaam Pesh Karta Hoon,.

Na Raasta, Na Koi Dagar Hai Yahaan,..
Magar Sab Ki Kismat Safar Hai Yahaan,.

Sunaai Na Degi Dilon Ki Sadaa,.
Deemaago Mein Wo Shor-o-Shar Hai Yahaan,.

Havaaon Ki Ungli Pakad Kar Chalo,.
Vasila Ek Yahi Motabar Hai Yahaan,.

Na Is Shehar-e-Behis Ko Sehra Kaho,.
Suno" Ek Hamaara Bhi Ghar Hai Yahaan,.

Palak Bhi Jhapakte Ho, "Makhmoor" Kyun,.
Tamaasha Bahot Mukhtasar Hai Yahaan,.

___________________-Makhmoor Saeedi-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #21 on: April 21, 2008, 04:43:01 PM »
Kya baat he makhmoor sahab ki or Ahmad nadeem bhi la-jwaab he, jazakallah Azeem bhai...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #22 on: April 21, 2008, 05:35:18 PM »
Hazrat aap ki khidmat me Mufi-e-sukhan "aamir surti" sahab ka kalam pesh karta hun.

Khyal aese bhi rahe zindagi me bar bar aae
N-subh-e-aarzoo aae n-sham-e-intezaar aae

N-is andaz se bhi inqilab-e-rozgaar aae
Kisi ka aetebar utthe kisi par aetebar aae

Nazar aate nahi aasaar kuchh isme baharon ke
Muhabbat wo chaman he jis me phool aae n-khaar aae

Ye baaten he'n muqaddar ki ke jis ke gam me ham roe'n
Hamare haal par unko hansi be-ikhtiyaar aae

Tro tazah gulista'n ho ke koi dast-e-wehshat ho
Usi ka naam jannat he, jaha'n dil ko qaraaar aae


  ========== -: Aamir Surti :- ===========
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: April 21, 2008, 05:37:52 PM »
Maine socha tha ki yaha per apni likhi shayri likhani hai!!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #24 on: April 21, 2008, 05:47:13 PM »
Maine socha tha ki yaha per apni likhi shayri likhani hai!!!

Pooja ji apne pasan deedah asha'ar se hame bhi nawazen, aap ko jis shayar ka kalaam pasand ho aap brah-e-karam hame bhi unhen padhne ka moqa den.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: April 24, 2008, 01:56:28 AM »
Main mamoor hun teri chaahat ke minaaron par
Shiqn aaye naa mere jism par aisa jalva de de,.

Teri sukhanwari pe mar mita hun main
Mujh faqir ko khazeenon men se khote sikke de de,.


-=-=-======-=--=-=-=-=-=-=-=-=-=-===----=-=-=-==-=-

Ghustakhi hai par, dil se raha na gaya, is misl-e-bahar se hum bhi agar kuchh le paye to koi muzaiqa nahin.

Buhat achha laga.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #26 on: April 24, 2008, 05:18:44 PM »
Bohot Khoob syednaami ji... aap ko is mehfil me shariq dekh badi khushi huai.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #27 on: April 24, 2008, 05:25:11 PM »

KHAN TAK AE JHAN TU ZULM DHAEGA KHFA HO KAR
TUJHE REHNA PADEGA MERE HASB-E-MUDDUA HO KAR

N-KAR QAT-E-TALLUQ WAHMO ME MUBTILA HO KAR
BOHOT PACHHTAEGA AEK DIN HAQIQAT AASHNA HO KAR

SUKUN-E-DIL KI HALKI SI JHALAK BHI DEKH SAKTE HEN
N-HAM TUM SE JUDA HOKAR, N-TUM HAM SE JUDA HO KAR

ME ITNA HI KAHUNGA AAP KE SHAYAN NAHIN HARGIZ
NIGAHEN PHER LENA MERI JANIB SE KHFA HO KAR

N-AAYA HE YAQI'N AE-DIL N-AAEGA YAQI'N MUJH KO
MUHABBAT, OR KASHTI KO DUBODE NAKHUDA HOKAR?

MUJHE BE INTIHA JOR-O-JFA KA GAM NAHI LEKIN
N-REHJAE'N KISI DIN AAP MAJBOOR-E-WAFA HO KAR

KOI JHUTHI TASALLI DENE WALA BHI NAHI MILTA
N-REH JAEN KAHIN HAM ISQ ME BE-AASRA HO KAR

KHAN MILTA MUJHE "AAMIR" FNA-FIL-ISHQ KA DARJA
WAFA KI INTIHA KARDI KISI NE BE-WAFA HO KAR

   ------------------- Aamir Surti ------------------

Logged
syednaami
Guest
«Reply #28 on: April 24, 2008, 05:27:43 PM »
Are huzoor Aadab,
Mukhlis-e-nazar, kahan hain aap, shukriya aamad ka.

Wah Wah, Wah

Kya andaaz hai, kya khaka banaya hai Surti Saaheb ne. Taareef karta hun.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #29 on: April 24, 2008, 05:50:49 PM »
syednaami ji Aadab....
Kal YO par aana nahi huwa, warna to yahin he ham, aap ki tareef ka tahe dil se shukrguzaar hun.
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:56:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer