Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 27
Print
Author  (Read 23807 times)
Sonia01
Guest
«Reply #150 on: June 19, 2008, 04:00:09 AM »
Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!

MAGAR

Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main  khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai....

(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Sonia01
Guest
«Reply #151 on: June 19, 2008, 04:01:47 AM »
Do ghoont dard tumne piya nahi
Dunia ko dard ka darshan samjhaane lage
Ek chingari ko chookar bhi dekha nahi
Kapde faadkar majnu hi ban jane lage
Yahan gamo ki suraahiyan khali ker di,
Peene ko taiyar, ishq ka zaher abhi baki hai
Lapeton me ghire rahe zindagi ber hum to
Aane ko fir kaun sa keher abhi baki hai?

Tumne to ishq ka udaya hai mazak hi
Per ishq koyi khelne ki cheez  to nahi hai?
Ek haqikat judayi ki, milan ki saugat hai,
Roohon ki sargam hai, tamasha geet to nahi hai
Par tumhara jajbat se kahan rishta nibha hai,
Dard ke samandar me kahan lahar abhi baki hai
Ishq ki minaron ke is par andhera hi andhera
Din nikalne ko to kayee pahar abhi baki hai

Jo mil jaye jaam me wahi to peena hoga
Jaise bhi mili hai zindagi waise hi jeena hoga
Ek sooyi vishwas ki aur dori aasha ki
Fate huye sapnon ko is se hi ab seena hoga
Kalikh bhari kothari naseebon ko rothi rahi
Jiske naseeb me aane ko sahar abhi baki hai
Chaav mile ya dhoop mile chalte hi rehna hai
Manzil bahut hai dhur, lamba safar abhi baki hai

Barbaad ho chuka zamane me apnapan bhi
Chal-kapat, swart aur brashtachar ki maar se
Aao kya rote baite hai yahan dukhda apna
Yahan to is dhariya se bacha hua parantu
Meri kalpanao ka ek shehar abhi baki hai

Ab bhi laut aa sakte hai wahan se aap
Aapke bhi dil main milne ki chah agar abhi baki hai..

Chaah Hai Na?


(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #152 on: June 19, 2008, 04:04:38 AM »
Aaj mujh per yeh ajab kaifiiyat tumhari hoi
Teri deed ki aas thi phir tujhe dekh ker kyun ruswaai hoi

beywafa tu hai mein jaanta tha hamesha se
teri beywafai per phir kyun mujhe hairaani hoi

nazrein bacha ker bhi na bach saka tujhse
meri nazarein pohanchi wahan jahan se teri aamad hoi

dil jo tuta mera mein kirchiyan na sambhaal paya
mere saamney meri dil ki khoob ruswai hoi

mujhe akailepan ki aysi aadat hoi kay
kisi kay aaney sey mere jeevan mein tanhai hoi

(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #153 on: June 19, 2008, 04:06:04 AM »

Aansoo jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do


(NM)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #154 on: June 19, 2008, 04:21:23 AM »
 Applause

Nice sharing Syyid ji ,,Sonia..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #155 on: June 19, 2008, 06:35:34 PM »
Ek se badkar ek... wah wah wonderful superb... sharing Sayyid jee  Applause Applause

Shukriyah Sonia ji aap ki pasnad ka bhi jawaab nahi umda or me'ayaari ash'aar pesh kiye hen aap ne...

khas kar "Liya tha aik wada tumne " or "Aansoo jo beh rahey hein" bohot umda he.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #156 on: June 19, 2008, 06:43:53 PM »
Applause

Nice sharing Syyid ji ,,Sonia..

Aap ki nazar yahan bhi he ye jaan kar khushi hui, himmat afzai ka shukriya.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #157 on: June 19, 2008, 07:22:19 PM »

teri khushbuu kaa pataa karati he
mujh pe ehasaan hawaa karati he

shab ki tanhaai me'n ab to aksar
guftagoo tujh se rahaa karati he

dil ko us raah pe chalanaa hi nahi'n
jo mujhe tujh se judaa karati he

zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane me'n rahaa karati he

us ne dekhaa hi nahi'n varnaa ye aankh
dil kaa ehavaal kahaa karati he

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa'n
baat kuchh aur huaa karati he

abar barase to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karati he

masalaa jab bhi uthaa chiraago'n ka
faisalaa sirf hawaa karati he

[Parveen Shakir]

Parveen Shakir, meri pasand aapne post kar di Sayyid !
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #158 on: June 19, 2008, 07:25:56 PM »
Parveen Shakir, meri pasand aapne post kar di Sayyid !

Ha..Ha.. to aap yahan he, bohot khoob, parveen shakir ke ash'aar ki jaanib aap hi ne pehli baar tawajjoh dilai thi, ab ye hamari bhi pasand he....
Logged
Talat
Guest
«Reply #159 on: June 19, 2008, 07:29:10 PM »
Usual Smile


hu_ii hai shaam to aa.Nkho.n me.n bas gayaa phir tuu
kahaa.N gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu


[shaKhs = individual/person]

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huu.N
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tuu


[misaal = example; taa_ir = bird]
[naKhl-e-Khushk-e-saharaa = dry tree in the wilderness]

mai.n jaanataa huu.N ke duniyaa tujhe badal degii
mai.n maanataa huu.N ke aisaa nahii.n bazaahir tuu

[bazaahir = appear to be]

ha.Nsii Khushii se bichha.D jaa agar bichha.Danaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu


[saahib-e-zar = wealthy]

Ahmad Faraz
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #160 on: June 19, 2008, 07:33:38 PM »
Bohot Umda ghazal he ji...
Logged
Talat
Guest
«Reply #161 on: June 19, 2008, 07:35:55 PM »
Shukriya Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #162 on: June 22, 2008, 09:39:00 AM »
Subhan Allah,.
Ek Ek Sher Bhi Bahoot Hi Badiya Hain,.
Dil Choone Waale,.

Nice One Sayyid Bhiajaan,.
Sonia Sis,.
Celmira Sis,.

Kamaal Ke Shers hain,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #163 on: June 22, 2008, 09:40:48 AM »
Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,
Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai,

Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,
Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,

Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,
Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

Har Taraf Uska AQs Hai Ab To,
Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,

Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,
Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...


NM
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #164 on: June 23, 2008, 12:55:49 AM »
Shukriya azeem bhai or achha kalaam pesh kiya aapne...

=========     =========     ==========
Seedhi si baat he jo mujhe jaanta nahi'n
Mein bhi phir ayse shakhs ko pehchhanta nahi'n

Pehle wo khud sari thi ki sunta nahi tha mein
Ab kuchh dino'n se kuchh bhi bura maanta nahi'n
=========     =========     ==========

{Sha'ms Tabreiz}
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:18:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer