Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 27
Print
Author  (Read 23808 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #165 on: June 23, 2008, 09:25:10 AM »
Shukriya azeem bhai or achha kalaam pesh kiya aapne...

=========     =========     ==========
Seedhi si baat he jo mujhe jaanta nahi'n
Mein bhi phir ayse shakhs ko pehchhanta nahi'n

Pehle wo khud sari thi ki sunta nahi tha mein
Ab kuchh dino'n se kuchh bhi bura maanta nahi'n
=========     =========     ==========

{Sha'ms Tabreiz}


Bahoot Khoob Bhaijaan,.
Nice One,.
last ki Do lines Behad pasand Aaaye,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #166 on: June 23, 2008, 09:34:16 AM »
Kya Bhala Mujhko Parakhne Ka natija Nikla,.
zakham-e-Dil Aapki Nazron Se Bhi gehra Nikla,.

Tordkar Dekh Liya Aaina-e-Dil Tune,.
Teri Surat Ke Siwa Aur Bataa Kya Nikla,.

Pyaas Jam Gayi Patthar ki Tarah Hoton Par,.
Doob Ke Teri Dariya Me Main Pyaasa Nikla,.

______________________-Muzaffar Warsi-
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #167 on: June 23, 2008, 09:36:22 AM »
bahoot umda mahfil hai ye mai thoda deri se aaya......
sabhi ne bahoot achcha sahyog diya hai bahoot achchi shayri padhne ko mili yahan..meri taraf se "Sahir ludhiyanvi" sahab ka ye mash-hoor kalam...

rang aur noor kee baaraat kise pesh karoon
ye muraadon kee haseen raat kise pesh karoon

maine jazabaat nibhaaye hain usoolon kee jagah
apane aramaan peero laayaa hoon, phoolon kee jagah
tere chehare kee ye saugaat kise pesh karoon
ye muraadon kee haseen raat kise pesh karoon

kaun kahataa hai, ke chaahat pe sabhee kaa haq hai
too jise chaahe teraa pyaar usee kaa haq hai
mujh se kah de, main teraa haath kise pesh karoon
ye muraadon kee haseen raat kise pesh karoon

surkha jode kee tabotaab mubaarak ho tujhe
teree aankhon kaa nayaa khwaab mubaarak ho tujhe
main ye khwaayish ye khayaalaat kise pesh karoon
ye muraadon kee haseen raat kise pesh karoon
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #168 on: June 23, 2008, 09:41:30 AM »
ye kalam 1968 me "HASRAT JAIPURI" SAHAB ne likh aur khas mash-hoor bhi hua....apki nazar

Phalak Pe Jitne Sitaare Hein Voh Bhi Sharamaaye,
Voh Dene Wale Mujeh Itni Zindagi Dede,
Yahi Sazaa Hai Meri Maut Bhi Na Aaye Mujeh,
Kisi Ko Chain Mile, Mujh Ko Be Kali De De..

Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga..
Saaz Ki Lay Pe Tera Naam Liye Jaavunga..
Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga..

Haye Tune Mujeh Ulphat Ke Siva Kuch Na Diya,
Aur Maine Tujeh Nafarat Ke Siva Kuch Na Diya..
Haye Tune Mujeh Ulphat Ke Siva Kuch Na Diya..
Aur Maine Tujeh Nafarat Se Siva Kuch Na Diya,
Tujh Se Sharaminda Hun Ay Meri Wafa Ki Devi..
Tera Mujarim Hun Musibat Ke Siva Kuch Na Diya..

Tu Khayalon Mein Meri Ab Bhi Chali Aati Hai,
Apne Palkon Ke Un Ashkon Kaa Janaza Lekar,
Tu Khayalon Mein Meri Ab Bhi Chali Aati Hai,
Apne Palkon Ke Un Ashkon Kaa Janaza Lekar,
Tune Neenden Kari, Kurubaan Meri Raahon Mein..
Mein Nashe Mein Raha, Gairon Kaa Sahaara Lekar..

Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga..
Saaz Ki Lay Pe Tera Naam Liye Jaavunga..
Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #169 on: June 23, 2008, 09:47:41 AM »
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa

[taali'-e-bedaar = good fortune]

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa

raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se
mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa

haider ali "aatish"
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #170 on: June 23, 2008, 09:57:51 AM »
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii

[muattar=full of itr]

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii

aga hashr
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #171 on: June 23, 2008, 10:07:52 AM »
havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale
mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa

ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa

mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa

phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa
Ahmed Faraz
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #172 on: June 23, 2008, 10:30:15 AM »
Subhan Allah Bahoot Hi Badiya Shayaris Aapne Share kiye hain,.
Yunhi Sabko Padhaate rahiye,. hello
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #173 on: June 23, 2008, 10:39:23 AM »
Khoon se jab jala diya ek diya bujha hua
Phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

Ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai
Ek diya jala hua ek diya bujha hua

Mehfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yad a gai
Phir mujhe yad a gaya ek diya bujha hua

Mujh ko nishat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai
Mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua

Dard ki kainat main mujh se bhi raushani rahi
Waise meri bisat kya ek diya bujha hua

Sab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan main dhal gai
Aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua,.

____________________________-Pir Zada Qasim-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #174 on: June 23, 2008, 10:44:27 AM »
Tumhen jafa se na yun baz ana chahiye tha
Abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha

Tawil rat k pahlu main kab se soi hai
Nawid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha

Bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
Ke kaun dube kinhen dub jana chahiye tha

Bujhe chiragon main kitne hain jo jale hi nahin
Sawad-e-waqt inhen jagmagana chahiye tha

Ajab na tha k qafas sath leke ur jate
Tarapna chahiye tha pharpharana chahiye tha

Ye meri har k kar-e-janan se hara magar
Bicharne wale tujhe yad ana chahiye tha

Taman umr ki asurdagi-e-wasl k bad
Firaq akhiri dhoka tha khana chahiye tha,.

____________________________-PirZada Qasim-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #175 on: June 24, 2008, 02:02:47 PM »
Banaa Gulaab to Kaante Chubhaa Gaya Ek Shaks,.
Hua Chiraag to ghar hi Jalaa Gaya Ek shaks,.

Tamaam Rang Mere, aur Saare Khwaab Mere,.
Fasaana kehke Fasaana Banaa gaya ek shaks,.

Main Kis hawaa Mein Uroon Kis Fizaa Mein Lehraaoon,.
Dukhon Ke Jaal Har soo Bichaa Gaya ek shaks,.

Palat sakoon Main Na aage bard sakoon Jis par,.
Mujeh ye Kaunse Raaste Lagaa Gaya Ek shaks,.

Mohabbatein Bhi Ajeeb uski, Nafratein Bhi Kamaal,.
Meri Tarah Ka Hi Mujhme Samaa Gaya Ek Shaks,.

Khulaa Ye Raaz ke Aaina Khaana Hai Duniya,.
Aur is Mien Mujhko Tamaasha Banaa gaya Ek shaks,.

_____________________________-Obaid Ulla Aleem-
 
Logged
syednaami
Guest
«Reply #176 on: June 25, 2008, 10:07:10 PM »
Bekarar Bhaya aur Azeem bhaya aur sab log...
Aapne to aaj mahfil ko jila bakhsh di... wah...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #177 on: June 27, 2008, 02:56:47 PM »
Shukriya Bhai nami,.
waise Tum Bhi yahaan Kuch Share Karo,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #178 on: June 27, 2008, 02:58:04 PM »
guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage

mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage

main is liye manta nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage

wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage

tark-e-wafa k bad ye us ki ada 'Qateel'
mujhko sataye koi to us ko bura lage,

_____________________-Qateel Shifaai-
 
 
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #179 on: June 29, 2008, 05:19:32 AM »
Bohot khoob bohot umda azeem bhai or bekarar sb. tamam gazaliyat w ash'ar behtareen he,
khas kar akheeri qateel shifaai ki ghazal to bohot hi pasand aai, or unka ye shear to ghzab ka he:

main is liye manaata nahin wasl ki khushi
mere raqeeb ki na mujhe badduaa lage

Or maqta bhi kamaal he:

tark-e-wafa k bad ye us ki ada 'Qateel'
mujhko sataye koi to us ko bura lage

Dil ko chhu gaya.

Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:28:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer