Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 27
Print
Author  (Read 23581 times)
Sonia01
Guest
«Reply #195 on: July 04, 2008, 12:09:42 AM »
Subhanallah,.
Nice Sharing Sweet Heart,.
Yunhi Likhte rahiye,.
Aur Sabko In Behtareen Kalaamo Ka Mazaa Chakaathe rahiye,.


Bahut bahut shukhriya Jaanasheen bhaiya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Sonia01
Guest
«Reply #196 on: July 04, 2008, 12:11:06 AM »
Is raat ki tanhaiyuon kay sub rang badul gayay hain
Chand nikla hay waisay he andheray badul gayay hain

Jin kay bhrosay thi duniya wo badal ther gayay hain
Manzalain tu ab bhi wohi hain kuch rustay badal gayay hain

Jin per kia tha bhrosa wo dost bicher gayay hain
Dekhay they jo khuab hum nay wo khuab badul gayay hain

Jo banay they kabhi humsafar aaj wo he muker gayay hain
Is tootay huay dil kay jazabat badul gayay hain

Na badlay kabhi hum na badlay humaray khialat shah
Bus rona hay yehi kay kuch log badul gayay hain


(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #197 on: July 04, 2008, 12:12:15 AM »
gum sum huwa awaz ka drya tha jo ik shuks -
pathar bhee nahin abb, jo sitara tha ik shuks --

shaid woh koi hurfe wafa dhond raha tha -
chehron ko bare ghor sae purhata tha ik shuks --

sehra kee turha der sae payasa tha woh shaid -
badal kee turha tot k bursa tha jo ik shuks --

ae tez huwa koi khabar iss k janon kee -
tanha safre shook pae niklla tha jo ik shuks --

abb akhri satron pae kahin nam hai iss ka -
ahbab kee fahrist main pehla tha jo ik shuks --

hathon main chupae hoae phirta hai kaee zakham -
sheeshae k khilonon sae behalta tha jo ik shuks --

mur mur k isse dekhna chahain meree ankhain -
kuch dor mujhe chorne aya tha jo ik shuks --

abb iss nae bhee apna liye duniya k kareenae -
saye kee rafaqat sae bhee darta tha jo ik shuks --

hur zahan main kuch naqshae wafa chor gaya hai -
kehne ko bhare sheher main tenha tha jo ik shuks --

munkir hai wohi abb meree pehchan ka mohsin -
aksar mujhe khut khon sae likhta tha jo ik shuks --


(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #198 on: July 04, 2008, 12:15:19 AM »
(Yeh sher mujhe bahut pasand hai)

Puch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Paas Aate Ho Chute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.

Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.
Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.
[/color]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #199 on: July 04, 2008, 10:05:30 AM »
Nice Sharing Again Sonia Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #200 on: July 04, 2008, 10:08:13 AM »
Dum Labon Par Hai Agar Ab Bhi Nahi Aaaoge,.
Laash Paaoge Meri Mujhko Nahi Paaoge,.

Behtar Hai ke Yum Mujhse Mera haal Na Poocho,.
Mera haal Sunoge Tum To tadap jaaoge,.

_____________________-Ata Ullah Khan-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #201 on: July 04, 2008, 12:06:25 PM »
Wah wah wah,,, aaj to Sonia01 ne kamaal ke chuninda ashaar post kiye hain... Buhat khoob...

Azeem bhaya... buhat umda shayiri dhoondh laaye...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #202 on: July 04, 2008, 01:32:05 PM »
Shukriya Syed Naami Bhai,.
Aap Bhi Post karte Raho Yaar,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #203 on: July 04, 2008, 01:34:04 PM »
Raaste Khud Hi Tabaahi Ke Nikaale Humne,.
Kar Diya Dil Kisi patthar ke Hawaale Humne,.

Humko Maloom Nahi Kya Shaai hai Mohabbat Yaaron,.
Apna Ghar Phoonk Ke dekhe Hain Ujaale Humne,.

__________________________-Jaanasheen-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #204 on: July 04, 2008, 04:58:37 PM »
Wah,,, Azeem bhaya kya lajavaab si rubaai paish ki...
Bas ek ek sitr kamaal hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #205 on: July 14, 2008, 11:01:44 AM »
Shukriya Naami Brother,.
Waise Tum Bhi Kuch Pesh Karo Na,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #206 on: July 14, 2008, 11:09:09 AM »
Pareshaan Raat Saari Hai Sitaaron Tum To Sojaao,.
Sukut-e-Marg Taari Hai, Sitaaron Tum To Sojaao,.

Kya Hua Wo, Jo Aaaye Na Aaj Phir Lekin,.
Ye Baazi Humne Haari Hai, Sitaaron Tum To Sojaao,.

Hume Bhi Neend Aaa Hi Jaayegi, Hum Bhi Sojaayenge,.
Abhi Kuch Bekaraari Hai, Sitaaron Tum To Sojaao,.

__________________________-Qateel Shifaai-


Logged
syednaami
Guest
«Reply #207 on: July 16, 2008, 07:32:37 AM »
Buhat khoobsurat nazmen paish ki aapne Azeem bhai...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #208 on: July 16, 2008, 07:47:04 AM »
Bahut khoob... lovely collections Azeem jee
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #209 on: July 16, 2008, 07:47:56 AM »
Kadam jakhmi hai to kya hua;
Hum aa jaayenge! Tum bula kar to dekho.

Jo tere hothon par kaanp raha hai, mera naam hai
Hum jaante hain ! Tum bhi bula kar to dekho.

Tera mera rishta to janmo ka hai.
Log maan jayenge! Tum bata kar to dekho.

Tujhi se shuru thujhi pe khatm hoti hai, meri har nazam
Kuch aur bhi likhunga! Tum pal bhar mujhe bhula kar to dekho.

Teri har ada par mit-ta chala gaya hoo mai
Aane do ab hosh main! Is ada se na dekho.
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:35:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer