Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 27
Print
Author  (Read 23580 times)
Sonia01
Guest
«Reply #210 on: July 16, 2008, 07:48:48 AM »
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.

Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.

Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.

Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.

Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.

Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #211 on: July 17, 2008, 02:32:57 PM »
Waah Sonia behan,.
Kamaal Ka Likha Hai Tumne,.
Subhan Allah,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #212 on: July 17, 2008, 02:37:40 PM »
Aata hai yad mujhko guzara hua zamana
Wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana


Azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
Apni khushi se ana apni khushi se jana


Lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
Shabnam k anson par kaliyon ka muskurana


Wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
Abaad jis k dam se tha mera ashiyana

____________________-Allahm Iqbal-


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #213 on: July 17, 2008, 02:39:39 PM »
Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
Auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka


Hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
Aye salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka


Shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
Tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka
 
_______________________-Allama Iqbal- 
Logged
syednaami
Guest
«Reply #214 on: July 17, 2008, 06:44:21 PM »
buhat umda Sani baba... Buhat pasand aaya...
Azeem bhai,,, Doctor Iqbal saahib ke ashaar to lajavaab hain,,, dil khush kar diya aap ne... wah...
Logged
Talat
Guest
«Reply #215 on: July 17, 2008, 06:50:53 PM »
Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
Auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka


Shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
Tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka
 
_______________________-Allama Iqbal- 


Nice sharing Azeem.....   Sir Muhammad Iqbal ke likhe ye ashaar mere favourite hain.....bohot gehraayi hain inmain....!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #216 on: July 18, 2008, 03:49:07 PM »
Shukriya celmira Ji,.
Naami Bhai,.
Ke Aapko Bhi Iqbal Ji Ki Shayari Pasand Aaayi,.
Inshallah Koshish karenge ke Aap Ko Har Mashoor Shayar se wabasta karwaayoon,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #217 on: July 18, 2008, 03:53:34 PM »
kash main tere hasin hath ka kangan hota


tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath
apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein a kar mujhe chuma karti
tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata


rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati
marmari hath ka ik takya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta
main tere jism k angan mein khanakta rahta
kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota


kash main tere hasin hath ka kangan hota


_______________________-Wasi Shah
Logged
syednaami
Guest
«Reply #218 on: July 18, 2008, 07:52:08 PM »
Hahahaha,,, Azeem bhai Wasi Shah ne to Kangan ban kar buhat kuchh kah dala...

Ek baat yeh thread Shayiri-e-Dard se Move karke Miscellaneous men karden to bahtar rahega... choonki har maozoo par ashaar post ho rahe hain...

Shukriya...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #219 on: July 20, 2008, 02:53:38 PM »
bhai mere,.
ye bhi dard ki kahaani hai,.
i dont think that this should be edited,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #220 on: July 20, 2008, 03:05:14 PM »
Kam Nahi Meri Zindagi Ke Liye,.
Chain Mil Jaaye Do Ghari Ke Liye

Aye Dil-e-Zaar Kaun Hai Tera,
Kyun Tadapta Hai Yun Kisi Ke Liye,.

Kitne Saamaan Kar Liye Paida,.
Itni Choti Si Zindagi Ke Liye,.

Aisa "Hume" Gham Ne Ghera Hai,.
Lab Taras Hi Gaye Hansi Ke Liye,.

________________-Fayaz Hashmi-
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #221 on: July 20, 2008, 03:07:35 PM »
hamain koi gam nahin tha gam-e-ashiqi se pahle
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahle


hai ye meri bad nasibi tera kya qasur is main
tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pahle


mera pyar jal raha hai ai chand aj chup ja
kabhi pyar tha hamain bhi teri chandni se pahle

main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
k hazaron gam milenge mujhe ik khushi se pahle

______________________________-Fayaz Hashmi-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #222 on: July 20, 2008, 05:00:24 PM »

DOOR KIYAA JAA RAHAA HUN MEIN
======
Ye to nahi dimaag-e-muhabbat nahi mujhe
Lekin gam-e-hayaat se fursat nahi mujhe

Arz-e-wafaa ke baad wo sharmindagi hui
Zoq-e-wafaa se jitni nadaamat nahi mujhe

Tuu khwaah mujh ko dekh kisi bhi nigaah se
Teri kisi nigaah se nafarat nahi mujhe

Wo khoob jaante hein meraa maajraa-e-gam
Izhaar-e-mudduaa ki zarurat nahi mujhe

Yun fasl-e-gul mein door kiyaa jaa rahaa hun mein
Gulshan se jese ab koi nisbat nahi mujhe

Mein faash karduN raaz-e-muhabbat kabhi nahi
Ae dost kuchh junooN nahi, wehshat nahi mujhe

MajbooriyoN ne torh diyaa risht-e-wafaa
"Aamir" kisi se koi shikaayat nahi mujhe

--------------- Aamir Surati ---------------
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #223 on: July 21, 2008, 07:51:35 AM »
Thankz For Sharing It,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #224 on: July 21, 2008, 07:56:31 AM »
chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yadein a jati hain mujhko rulane sham dhale


teri zulfein in kandhon par tera chehra hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitne khwab suhane sham dhale


har din ham se wada kar k yun hi agar tarpaoge
ik din yun hi ho jayeinge ham bhi diwane shaam dhale


din k ujale mein to mana lun lakh yatan se bahla lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane shaam dhale


_____________________________-Hassan Imaam-
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:35:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer