Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 ... 27
Print
Author  (Read 23575 times)
Roja
Guest
«Reply #270 on: August 05, 2008, 04:06:11 PM »
Dushwariyon se aajmaish ka silsila rahe
har thokar par seene mein badhta hausla rahe

rukta nahin waqt kabhi kisi ke intezaar ko
jaanib-e-manzil badhta tera kaafila rahe

najdikiyaan gar badhe to ulajhne ka hai khatra
rishton ke darmiyaan bhi jara faasla rahe

khushiyan kharidi ja sakti hai choti si kamaai mein
imaan kar gar usmein pasina mila rahe

dushmani ne dil ke darwaje band kar diye mana
dosti ke liye koi to raasta khula rahe

dil-e-sehra mein naumeedi ki kitni aadhiyan chale
koshish karo umeed ka koi gul khila rahe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #271 on: August 05, 2008, 06:13:53 PM »
Azeem bhia & roja ji umda kalaam pesh kiyaa he aap donoN ne.
Logged
Roja
Guest
«Reply #272 on: August 05, 2008, 06:18:22 PM »
Bahut bahut shukhriya sayyid ji
Logged
syednaami
Guest
«Reply #273 on: August 05, 2008, 09:01:41 PM »
Roja jee, kya khoob ghazlen paish ki hain aap ne, bahut sundar aur dil ko bha lene wali. Aisi hi post karte rahiye. -
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #274 on: August 06, 2008, 05:39:19 AM »
Badi der se aaya Fir durust aaya Hoon...dosto
Ek K Baad Ek Behtarin Kalaam Padhne Ko Mila muje.
sub ke sub " Raah-e-Sukhan K aadmiyo'n " k waqaee Badhiya sharing Hota Hein aur Ye Sub Likhte Bhi Hai Bada Kamaal Ka....!!!!
   
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #275 on: August 07, 2008, 02:15:35 PM »
Shukriya Roja Sis,.
And Nice One,.
Shukriya randeri Bhai,.
Raza Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #276 on: August 07, 2008, 02:23:42 PM »
Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko ji Chahta Hai,.
Aisi Tanhaai Ke Mar Jaane Ko Jee Chahta Hai,.

Ghar Ki Wehshat Se Larazta Hoon Magar Jaane Kyun,.
Shaam Hoti Hai To, Ghar jaane Ko jee Chahta Hai,.

Doob Jaaoon To Koi Mauj Nishaan Tak na Bataaye,.
Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Jee Chahta Hai,.

Kabhi Mil Jaaye To Raaste Ki Thakaan jaag pade,.
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Jee Chahta Hai,.

Wohi Paimaan Jo Kabhi Jee Ko Khush Aaya Tha Bahoot,.
Usi Paimaan se mukar jaane Ko jee Chahta Hai,.

_______________________-Iftikhar Arif-
Logged
Roja
Guest
«Reply #277 on: August 07, 2008, 02:24:04 PM »
Bahut bahut shukhriya Syed ji, Muhammed ji and Jaanasheen bro
Logged
Pooja
Guest
«Reply #278 on: August 07, 2008, 04:18:11 PM »
wah kaya baat hai... good sharing by all!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #279 on: August 10, 2008, 10:35:51 AM »
Shukriya Roja Sis,.
Pooja Sis,.
Apne Kuch Kyun Nahi Likha,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #280 on: August 10, 2008, 10:45:24 AM »
Log Har Mord Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain,.
Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyun Hain,.

Main Na Jugnu Hoon Diya Hoon Na KOi Taara,.
Roshni Waale Mere Naam Se Jalte Kyun Hain./

Neend Se Mera tallukh Hi Nahi Barson Se,.
Khwaab Aa Aa Ke Meri Chat Pe Tahalte Kyun Hain,.

Mord Hota Hai Jawaani Ka Sambhalne Ke Liye,.
Aur Sab Log Yaheen Aake Phisalte Kyun Hain..

_________________________-Rahat Indori
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #281 on: August 10, 2008, 10:47:14 AM »
Log Har Mord Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain,.
Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyun Hain,.

Main Na Jugnu Hoon Diya Hoon Na KOi Taara,.
Roshni Waale Mere Naam Se Jalte Kyun Hain./

Neend Se Mera tallukh Hi Nahi Barson Se,.
Khwaab Aa Aa Ke Meri Chat Pe Tahalte Kyun Hain,.

Mord Hota Hai Jawaani Ka Sambhalne Ke Liye,.
Aur Sab Log Yaheen Aake Phisalte Kyun Hain..

_________________________-Rahat Indori

Super Sharing Azeem bhai jaan.. Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #282 on: August 10, 2008, 10:56:38 AM »
Shukriya Didi Jaan,.
Aap Bhi Kuch Share Kariye Na
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #283 on: August 10, 2008, 11:07:41 AM »
Ye Mujhe Bahoot Pasand Aayi,.
Isliye Share Kar raha Hoon,.


Dukh Ki Lehar Ne Chera Hoga,.
Yaad ne Kankar Phenka Hoga,.

Aaj To Mera Dil Kehta Hai,.
Tu Is Waqt Akela Hoga,.

Mere Choome Hue Haathon Se,.
Auron KO Khat Likhta Hoga,.

Bheeg Chali Ab Raat Ki Palkein,.
Tu Ab Thak Kar Soya Hoga,.

Rail Ki Gehri Seeti Sunkar,.
Raat Ka Jungle Goonja Hoga,.

Shehar Ke Khaali Station Par,.
Koi Musfair Utra Hoga,.

Aangan Main Phir Chidiyaan Boli,.
Tu Ab Sokar Uthaa Hoga,.

Yaadon Ki Jalti Shabnam Mein,.
Phool Sa Mukhra Dhoya Hoga,.

Moti Jaisi Shakl Banakar,.
Aaine Ko Takta Hoga,.

Shaam Hui ab Tu Bhi Shayad,.
Apne Ghar Ko Lauta Hoga,.

Neeli Dhoodli Khamoshi Mein,.
Taaron Ki Dhun unta Hoga,.

Mera Saathi Shaam Ka Taara,.
Tujhse Aankh Milaata Hoga,.

Shaam Ke Chalte haath Ne Tujhko,.
Mera Salaam Bheja Hoga,.

Pyaasi Kurlaati Kunjun Ne,.
Mera Dukh Sunaaya Hoga,.

Main To Aaj Bahoot Roya Hoon,.
Tu Bhi Shayad Roya Hoga,.

"Nasir" Tera Meet Puraana,.
Tujhko Yaad Aata Hoga,.

________________-Nasir Kazmi-
Logged
Roja
Guest
«Reply #284 on: August 10, 2008, 11:51:02 AM »
Nice Sharing Jaanasheen bro
Logged
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:21:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer