Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Author  (Read 23695 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #285 on: August 10, 2008, 12:00:55 PM »
Shukriya Ji,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #286 on: August 10, 2008, 12:01:57 PM »
Tamam Umer Mujhey Tootna Bikharna Thaa
Woh Meharban Bhi Kahan Tak Samait-ta Mujhe..
Logged
Roja
Guest
«Reply #287 on: August 10, 2008, 12:03:30 PM »
Ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

Kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

Ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

Sung by Gulam Ali
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #288 on: August 12, 2008, 10:01:04 AM »
Nice One,.
Thanx For Sharing,.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #289 on: August 12, 2008, 05:19:28 PM »
Bohot khoob azeem bhai & roja....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #290 on: August 17, 2008, 09:47:05 AM »
Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi,
Neel Gagan Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi,

Rang-O-Nasl Ka Jhagda Kaisa, Kumba Ek Qabila Ek,
Tera Khoon Ka Laal Hai Rang, Waisa Hi Rang Mera Bhi,

Tera Mera Mazhab Kaisa, Pyaar Hi Sabka Mazhab Hai,
Ek Khuda Hai Tera Bhi Aur Tera Khuda Hai Mera Bhi,

Kaun Kisika Dost Hua, Jab Haath Mein Sabke Khanjar Ho,
Band Pitare Mein Rakhta Hai Apna Saanp Sapera Bhi,

Diar Hui Jab BurQ, Giri Thi, Ab Tak Wehshat Tari Hai,
Thak Kar Sooraj Dooblega To Chhayega Andhera Bhi...


NM
Logged
diya786
Guest
«Reply #291 on: August 17, 2008, 11:07:41 AM »
Tum door sahi par teri sanson ka ehsaas ab bhi meri sanson mein hain
Tu meri zindagi mein ab nahin par tu hi tu mere khayalon mein hain
Tumhe bhool jate hum magar tu mahfilon mein hain tanhayion mein hain
Tujh se gila ab kya karen tu hi sawalaon mein hain jawabon mein hain {NM}
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #292 on: August 20, 2008, 09:50:22 AM »
Nice One Diya Ji,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #293 on: August 20, 2008, 09:53:50 AM »
Bhai Azeem Roja Jee Aur Diya........
Waqaee aap sub Ne Badhiya Sharing Kiya...
Kuch Naye Naye alfaz Ko Padhne Ka Surf Mila..
Isi Liye Thread Ko "Sabse Badhiya Shayri" Keh Diya.....

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #294 on: August 20, 2008, 10:05:44 AM »
Thank U Bhaijaan,.
Waise Aap Bhi Kuch Share Karte To Achcha Lagta
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #295 on: August 20, 2008, 10:11:42 AM »
Ajnabi Khauf Fizaaon Mein Basaa Ho Jaise,.
Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise,.

Raat ke Peeche Pehar Aati Hai Awaazein Si,.
Door Sehra mein Koi Cheeck Raha Ho Jaise,.

Dar-o-Deewar pe Chaai Hai Udaasi Aisi,.
Aaj Har Ghar Se Janaaza Sa Uthaa Ho Jaise,.

Muskuraata Hoon Pa-e-Khatir-E-Ahbaab Magar,.
Dukh To Chehre Ke Lakeeron pe Sajaa Ho Jaise,.

Ab Agar Doob Gaya Bhi To Maroonga Na "Kamal".
Behte paani Pe Mera Naam Likhaa Ho Jaise,.

____________________-Ahmed Kamaal-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #296 on: August 20, 2008, 06:14:06 PM »
Azeem bhai diya ji bohot achhe ashar hein, or ahmed kamaal ne to kamaal kar diya, "shaher ka shaher hi aaseb zada ho jese" Waaaah...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #297 on: August 21, 2008, 08:27:38 PM »
Muskuraney se mera dard chhupa rahta hai
Ek parda sa zamane se bana rahta hai
 
Har naye mod par halaat naye hote haiN
Umr bhar yaad kise ahd-e-wafa rahta hai
 
BarisheiN maNgta ik ped jogioN ki tarha
Umr bhar ek hi paoN pe khada rahta hai
 
Marham-e-ashk lagana bhi hum ne chhod diya
Kab talak dekhiye yeh zakham hara rahta hai
 
Khak sahraoN ki chhani thi magar woh na mila
Zarre-zarre meiN suna tha ke khuda rahta hai
 
Ek tasbih mere haath meiN rahti hai feroz
AastiN meiN meri, khaNjar bhi chhupa rahta hai
 
______________________Dashmesh Gill 'Feroz'
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #298 on: August 22, 2008, 12:28:22 AM »
honeyrose ji bohot hi umda ghazal he, behtareen alfaaz or rawaani ki to baat hi kyaa.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #299 on: August 24, 2008, 03:21:00 PM »
Wah Jaya Sis,.
kamaal Ki Ghazal Bayaan Ki hai,.
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 12:55:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer