Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 27
Print
Author  (Read 23686 times)
syednaami
Guest
«Reply #30 on: April 24, 2008, 06:20:30 PM »
Masrufiyaat hoti hain issliye hum bhi raat der se aaya, subah Prayers ke baad so paya.
Thanks Bhai Mian
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #31 on: April 25, 2008, 07:48:23 AM »
Subhan Allah,.
Wakhaai Sayyid Saheb Aapne Kamaal Ke Nazam Post Kiye Hain,.
And Nice One Syed Naami Ji,.
Bahot Khoob,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #32 on: April 25, 2008, 08:23:52 AM »
Aandhi Chali To Naksh-e-Kaaf-e-Paa Nahi Milaa,.
Dil Jis Se Mil Gaya Wo Dubaara Nahi Milaa,.

Aawaz Ko To Kaun Samajhta Ki Door Door,.
Khaamoshiyon Ka Dard-e-Shanaasa Nahi Milaa,.

Hum Anjuman Mein Sabki Taraf Dekhte Rahe,.
Apni Tarah Se Koi Akelaa Nahi Milaa,

Kachche Gadde Ne Jeet Li, Nadi Chadhi Hui,.
Mazboot Kashtiyon Ko Kinaara Nahi Milaa,.

______________________________-Mustafa Zaidi-

Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: April 25, 2008, 09:45:05 AM »
Bohot khoob....sab ne bohot achchi shayari yahan post ki hai...

Ye ashaar Sir Allama Iqbal ke hain, aur mujhe behad pasand hain..bohot gehra matlab rakhe hain ye apne main...


mumkin hai ke tu jisko samajhtaa hai bahaaraa.N
auro.n kii nigaaho.n me.n wo mausam ho Khizaa.N kaa

shaayad ki zamii.N hai wo kisii aur jahaa.N kii
tu jisko samajhtaa hai falak apane jahaa.N kaa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #34 on: April 25, 2008, 09:49:45 AM »
Subhan Allah,.
Bahoot Badiya,.
Waakhai Allah Iqbal Ji Great Hain,.

Logged
syednaami
Guest
«Reply #35 on: April 25, 2008, 09:54:12 AM »
Subhan Allah,.
Wakhaai Sayyid Saheb Aapne Kamaal Ke Nazam Post Kiye Hain,.
And Nice One Syed Naami Ji,.
Bahot Khoob,.


Are hum bas yun hi keh deti hain, kuchh bhi jo dil men aaya.
Aap ne hamare hoslon ko aur bhi buland kia hai.
Buhat buhat shukriya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #36 on: April 25, 2008, 09:58:02 AM »
U Are Always welcome Syed naami Ji,.
Waise Intezaar Hai,.
Dilkash Shayariyon Ka,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: April 25, 2008, 10:08:11 AM »
Aata Hai Yaad Mujhko, Guzra Huaa Zamaana,.
Wo Baagh Ki Bahaarein Wo Sab Ka Chah Chahaana,.

Aazaadiyaan Kahaan Wo, Ab Apne Ghonsle Ki,.
Apni Khushi Se Aaana, Apni Khushi Se Jaana,.

Lagti Hai Chot Dil Par, Aaata Hai yaad Jis Dum,.
Shabnam Ke Aaansuon Par, Kaliyon Ka Muskuraana,.

Wo Pyaari Pyaari Surat, Wo Kaamini Se Murat,.
Aabaad Jiske Dum Se Tha Mera Aaashiyaana,.

____________________-Sir Mohammed Iqbal-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #38 on: April 25, 2008, 11:18:03 AM »

~~=l=~~(Nasamajh Hai Yeh Insaan)~~=l=~~

Ramz-e-takhleeq ki talaash men magan hai yeh insaan,-
Tabinda-e-Akhlaaq se kyun Ghaafil hai yeh insaan.-

Jo Kaainaat men rabt hai woh hai Mazhar-e-Ilaahi,-
Intni badi misaal se kyun Ajnabi hai yeh insaan.-

Jaamid hai har haqeeqat wujood-e-Kaainaat se,-
Phir bhi maghrooriat men dooba hai yeh insaan.-

Wird-e-Zubaan ho har waqt uski hi Hamd-o-Sana,-
Jaane Kyun Maadah Parasti men khoya hai yeh insaan.-

Aamaal-e-beImaani se inki khafa hai woh Zaat-e-Ahad,-
uss par bhi maafi ka talabgaar nahin hai yeh insaan.-





(Syed Naami)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #39 on: April 25, 2008, 11:22:49 AM »
Nice One Again Syed Naami Ji,. Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #40 on: April 25, 2008, 03:20:09 PM »
Thanks for the compliments. Yours too are nice picks.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: April 25, 2008, 04:32:32 PM »
Pooja ji apne pasan deedah asha'ar se hame bhi nawazen, aap ko jis shayar ka kalaam pasand ho aap brah-e-karam hame bhi unhen padhne ka moqa den.

mai to app sabko hi padati hu... ya gazals sunati hu.. wo gazal section mai already hai!!! Phir bhi kabhi kahin najar mai aai to jaroor yaha post karugi Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #42 on: April 25, 2008, 04:55:11 PM »
Samajh main to aya na, ya phir se kahoge, meanings ke liye.
I guess this one is not that difficult.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #43 on: April 25, 2008, 07:08:23 PM »
SHUKRIYA AZEEM BHIA... OR BOHOT UMDA ASH'AR PESH KIYE HEN AAPNE, JAZAKALLAH!

HAME AAP KI SAJAI YE MEHFIL SABSE ZYADA PASAND HE, ISI TARHA JARI RAKHYE, LIKHNE KO TO BOHOT KUCHH HE KHAS KAR MEN "AAMIR SURTI" [RH.] KE KALAM KO BEHAD PASAND KARTA HUN MAGAR UNKE OR DIGAR SHO'ARA KE KALAM ME URDU KAFI SAQEEL HE, [BOHOT SI JAGAH TO ME KHUDHI NAHI SAMAJH PAYA]  icon_scratch OR SAB KO SAMAJH ME AAE AESE ASH'AAR LIKHNA CHAHTA HUN, WARNA ABTAK YAHAN EK KITAAB LIKH DETA.  laughing4

KOSHISH KARTAHUN AAM ZUBAN ME KUCHH MILE, JESE AAP NE ALLAMA'H IQBAAL [RH.] KE ASH'AAR LIKHE HEN.
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: April 25, 2008, 07:12:20 PM »
Subhan Allah,.
Bahoot Badiya,.
Waakhai Allama Iqbal Ji Great Hain,.



Shukriya Azeem
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:15:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer