Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 27
Print
Author  (Read 23562 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #315 on: August 27, 2008, 10:33:19 AM »
Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke,.
Wo Jaa Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke,.

Veeran Hai Maikhada Khum-o-Sagar Udaas Hai,.
Tum Kya Gaye Ke, Rooth Gaye Din Bahaar Ke,.

Ek Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din,.
Dekhe Hain Humne Hausle Parvar Digaar ke,.

Bhool Se Muskuraa To Diye Wo Aaj "Faiz"..
Mat Pooch vasvase Dil-e-Na Kardaar Ke,.

___________________-Faiz Ahmed Faiz-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #316 on: August 27, 2008, 10:38:34 AM »
Nice sharing Jaanasheen brother Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #317 on: August 27, 2008, 10:39:41 AM »
Poet: Hafeez Hoshiarpuri


aaj unhe.n kuchh is tarah jii khol kar dekhaa kiye
ek hii lamhe me.n jaise umr bhar dekhaa kiye

dil agar betaab hai dil kaa muqaddar hai yahii
jis qadar thii ham ko taufiiq-e-nazar dekhaa kiye

Khud_faroshaanaa adaa thii merii suurat dekhanaa
apane hii jalve ba-andaaz-e-digar dekhaa kiye

[ba-andaaz-e-digar = in a different way/style; digar = second]

naashanaas-e-Gam faqat daad-e-hunar dete rahe
ham mataa-e-Gam ko rusvaa-e-hunar dekhaa kiye

[naashanaas-e-Gam = unacquainted with sorrow]
[daad-e-hunar = praise for one's skills; rusvaa = disgrace]

dekhane kaa ab ye aalam hai ko_ii ho yaa na ho
ham jidhar dekhaa kiye paharo.n udhar dekhaa kiye

husn ko dekhaa hai mai.n ne husn kii Khaatir 'Hafeez'
varnaa sab apanaa hii me_aar-e-nazar dekhaa kiye

[me_aar-e-nazar = scale/level of comparison]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #318 on: August 31, 2008, 09:27:05 AM »
Thank You Sis,.
And Nice One Again,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #319 on: August 31, 2008, 10:30:44 AM »
Ye Mukhaam-e-Ulfat Tum Aaj Bhi Yaad Rakhna,.
Jab Had se Gir Aao Sajda Gieera Rakhna,.

Meri Rooh Kyun Bechain Hain Mere Jism ke Darse,.
Jab Dil Dahel Jaaye Meri Rooh Bechain Rakhna,.

Kuch Maazi Ki Baatein Jo Mujhse Keh Na Sake To,.
Tujhe Padhne Ke Waaste Ye Aankhein Khuli Rakhna,.

Teri ab Har Saans Par Dhadakta Dil Hai Mera,.
Jab Tujhse Joda Ho Apna Dilko Thaam Rakhna,.

Wo waqt Shanasayi Tum aaj Bhi Yaad Rakhna,.
Wo Shaam Ka paher Tha Wo waqt Thaam Rakhna,.

Phir Sarakta Aanchaal Wo aankhon Se Behta Kajal,.
Jab Dhoop Si Na Paao, Meri Chaanv Yaad rakhna,.

Ye Duniya Badi Zalim Hai Tum Kiske paas Jaaogi,.
jab Sab Se Thokar Khaalo era Dar Yaad Rakhna,.

Ye Mukhaam-e-Ulfat Tum Aaj Bhi Yaad rakhna,.
Jab had se Gir Jaao To sahda Geera Rakhna,.

_________________________________-NM_
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #320 on: September 04, 2008, 04:25:00 PM »
Yaaron Kisi Kateel Se Kabhi Pyaar Na Maango,.
Apne Hi Gale Ke Liye Talwaar Na Maango,.

Girr Jaaoge Tum Apne Masiha Ki Nazar Se,.
Mar kar Bhi Ilaaj-e-Dil-e-Beemaar Na Maango,.

Khul Jaayega Is Tarah Nigaahon Ka Bharam hi,.
Kaanton Se Kabhi Phool Ki Mahkaar Na Maango,.

Sah Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyaala,.
Jeena hai To Phir Jeene ka Izhaar Na Maango,.

Us Cheez JKa Kya Zikr Jo Mumkin Hi Nahi hai,.
Sehra Mein Kabhi Saaya-e-Deewaar Na Maango,.

_______________________-Qateel Shifaai-



Logged
Aryaan
Guest
«Reply #321 on: September 05, 2008, 12:35:45 AM »
Bohat khoob Azeem & All..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #322 on: September 05, 2008, 03:04:09 PM »
Shukriya Aryaan Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #323 on: September 05, 2008, 03:26:46 PM »
Aye Dost Jhoot Aam tha Duniya Mein is Kadar,.
Tune Bhi Sach Kaha To Fasaana Laga Mujhe,.

Wo Dekh Kho Raha Hoon Main Use,.
Jiske Dhoondne Mien zamaana Laga Mujhe,.

____________________________-Nm-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #324 on: September 06, 2008, 03:35:00 PM »
Aa Chahat Ka Ek Meetha Dard Jagaane Shaam Dhale,.
Teri Yaadein Aa Jaati Hain Mujhko Rulaane Shaam Dhale,.

Teri Zulfein In Kandhon Par Tera Chehra haaton Mein,.
Main Ne Bhi Dekhe Hain Kitne Khwaab Suhaane Shaam Dhale,.

Har Din Humse Wada Kar ke Yunhi Agar Tardpaaoge,.
Ek Din Yunhi Hojaayeinge Hum Bhi Deewaane Shaam Dhale,.

Din Ke Ujaale Mein To Maana Loon Laakh Yatan Se Bahla Loon,.
lekin Dil Ka Pagal Panchi Ek Na maane shaam Dhale,.

______________________________-Hassan Imaam-
 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #325 on: September 07, 2008, 04:36:17 PM »
Very nice sharing bhai jaan...



Ulfat kaa jab kisii ne liyaa naam ro pa.De
Apanii vafaa kaa soch ke a.njaam ro pa.De

Har shaam ye savaal muhabbat se kyaa milaa
Har shaam ye javaab ke har shaam ro pa.De

Raah-e-vafaa me.n hamako Khushii kii talaash thii
Do gaam hii chale the ke har gaam ro pa.De

Ronaa nasiib me.n hai to auro.n se kyaa gilaa
Apane hii sar liyaa koii ilzaam ro pa.De

NM
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #326 on: September 08, 2008, 04:24:33 PM »
Wah Didijaan,.
Kya KHoob Shayari Share Ki Hai,.
bahoot Hi Achchi hai Aap Hi Ki Tarah,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #327 on: September 08, 2008, 04:47:29 PM »
Baat Phoolon Ki Sunaa Karte The,.
Hum Kabhi Sher Kahaa Karte The,.

Mashaalein Lekar Tumhaare Gham Ki,.
Hum Andheron Mein Chala Karte The,.

Ab Kahaan Aisi Tabiyat Waale,.
Chot Khaake Jo Duaa Karte The,.

Tark-e-Ehsaas-e-Mohabbat Mushkil,.
Haan Magar ahle-e-Wafaa karte The,.

Bikhri Bikhri Zulfein Waale,.
Kaafile Ro Liyaa Karte the,.

Aaj Gulshan Mein Shaguf-e-Sagar,.
Shikwe Bad-e-Sabaa Se Karte the,.

_____________________-sagar siddiequi-


Logged
honeyrose
Guest
«Reply #328 on: September 08, 2008, 05:10:53 PM »
 Very nice sharing bhai jaan aur shukriya  .. happy9


Kaun is raah se guzartaa hai
dil yuuN hii intizaar kartaa hai

Dekh kar bhii na dekhne vaale
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai

Shah’r-e-gul meN gayii hai saarii raat
dekhiye din kahaaN guzartaa hai

Dhyaan kii siiRhiyoN pe picchle pahar
ko’ii chupke se paaNv dhartaa hai
 
Dil to meraa udaas hai “Nasir”
shah’r kyuuN saaeN saaeN kartaa hai

-------------------------Nasir Kazmi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #329 on: September 10, 2008, 03:26:55 PM »
Shukriya Didi Jaan And Nice One,.
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:03:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer