Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27
Print
Author  (Read 23692 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #330 on: September 10, 2008, 03:37:22 PM »
Ghazab Kiya, Tere Vade Pe Aitbaar Kiya,.
Tamaam Raat Qayamat Ka Intezaar Kiya,.

Hansa Hansa ke Shab-e-Vasl Ashq-Baar Kiya,.
Tassaliyaan Mujhe De de Ke bekaraar Kiya,.

Hum Aise Mahv-e-Nazaara Na the, Ke Hosh Aata,.
Magar Tumhaare Tagaful ne Hoshiyaar Kiya,.

Fasaana-e-Shab-e-GHam Unko Ek Kahaani thi,.
Kuch Aitbaar Kiya, Aur Kunch Na Aitbaar Kiya,.

Ye Kisne jalwa Hamaare Sar-e-Mazaar Kiya,.
Ke Dil se Shor Uthaa Haay" Bekaraar Kiya,.

_____________________---Daag Dehalvi-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
honeyrose
Guest
«Reply #331 on: September 10, 2008, 07:01:16 PM »
Shukriya ...Bohat khoob bhai jaan...





voh mera phenka hua khat uThaaya kisne
soi hui Thi tamanna jagaaya kisne

meiN to khud hi rakib apna banaa
kayoN poochhte ki ghar jalaaya kisne

guzar gaiee Thi ghaTa chhoR sahraa payaasa
yeh barasta hua baadal bulaaya kisne

rakhaie rahtaa Thaa mera gul seene se lagaa
aaj khiRki se use giraaya kisne

shammaaN se kahne lagaa jaltaa hua parvaana
is treha karna jafaa sikhaaya kisne

taRap uThi shammaN ai duniya walo suno
khud jalaa parvaana mujhe jalaaya kisne

Thaa jiska tasavvar kabse begaana hua
dil ke pannoN pe voh chehra banaaya kisne

hai mohabbat rab ki barkat nayaab
fir yeh Taj Mahal daam lagaaya kisne

poochhe rahta hai dil se zahan aksar
banaaya jisne hameiN use banaaya kisne

"Ashk" benaam Thaa gum apni duniyaaN meiN
ai kazaa ghar ka pataa bataaya kisne
_______________________________Ashk
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #332 on: September 12, 2008, 02:41:02 PM »
Nice Sharing Didi jaan,.
And Thank U,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #333 on: September 12, 2008, 02:49:10 PM »
Kabhi Kitaabon Mein Phool Rakhna,.
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna,.

Hume Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo,.
Nazar Se Harf-e-Salaam Likhna,.

Wo Chaand Chehre Wo Behki Baatein,.
Sulagte Din The, Mehakti Raatein,.

Wo Chote Chote Se Kaagzon Per,.
Mohabbaton Ke Payaam Likhna,.

Gulaab Chehron Se Dil Lagaana,.
Wo Chupke Chupke Nazar Milaana,.

Wo Aarzoon Ke Khwaab Bunna,.
Wo Qisa-e-Natamaam Likhna,.

Mere Nagar Ki Haseen Fizzao,.
Kahin Jo Unke Nishaan paao,.

Tu Poochna Ye Khaan Base Hain,.
Kahaan Hai Unka, Khyaam Likhna,.

Gayi Rooton Mien "Hassan" Hamara,.
Bas Ek Hi To Ye Mashgala tha,.

Kisi ke Chehre Ko Subah Kehna,.
Kisi Ki Zulfon Ko Shaam Likhna,.

____________________-Hassan Rizwi-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #334 on: September 13, 2008, 04:11:38 AM »
Waah ! Azeem Aur Honey.....Kya Hi Badhiya Sharing k dariya bahaa rahe ho.
aub " Teenage Symbol " Azeem To collection ka Dhanie Hai.
Aur Honey bhi aaj kal Kalaam Likhne k saath sharing bhi..badhiya kar lete hai..bahut achchhe kalaam padhne ko mile hai yahaan par..badhiya 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #335 on: September 13, 2008, 02:04:45 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
Aap Bhi Share Karo Na Koi Achche Shayaris Yahaan,.
Taaki Sab Pard Sake,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #336 on: September 13, 2008, 02:13:16 PM »
Ye Ab Khula Hai Ke Koi Bhi Manzar Mera Na Tha,.
Main Jis Mein Reh Raha tha, Wohi Ghar Mera Na Tha,.

Main Jis Ko Ek Umar Sambhaale Phira Kiya,.
Mitti Bataa Rahi, Wo Paikar Mera Na tha,.

Mauj-e-Hawaa-e-Shahar-e-Muqaddar Jawaab De,.
dariya Mrera Na Tha, ke Samander Mera Na Tha,.

Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hoon Main,.
Kehte Hain Naam Tak Sar-e-mahzaar Mera Na Tha,.

Sab Log Apne Apne Kabeelon ke Saath the,.
Ek Main Hi tha ke Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha,.

_________________________-Iftikhaar Arif-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #337 on: September 13, 2008, 02:15:52 PM »
Very nice sharing Azeem bhai jaan

Bohat bohat shukriya Razaa aapka
Shukriya bhai jaan...



Is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

Sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

Mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

 Har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai
_____________________________NM
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #338 on: September 14, 2008, 08:22:41 AM »
Starting Ke Chaar Lines Dil Ko Choo Gaye,
Nice Sharing Once Again Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #339 on: September 14, 2008, 08:33:05 AM »
Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jaana Hai,.
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jaana Hai,.

Us Tak Aati Hai To Har Cheez Tehar Jaati Hai,.
Jaise Paana Hi Use Asl Mein, Mar Jaana Hai,.

Bol Aye Shaam-e-Safar Rang-e-Rihaai Kya Hai,.
Dil Ko Rukaana Hai Ke Taaron Mein Tehar Jaana Hai,.

Kaun Ubharte Hue Mehtaab Ka Raasta Roke,.
Us Ko Har Taur Su-e-Daasht-e-Sahar Jaana Hai,.

Main Khilaa Hoon To Isi Khaak Mein Milna Hai Mujhe,.
Wo To Khusboo Hai Use Agle Nagar Jaana Hai,.

Wo Tere Husn Ka Jaadoo Ho Ke Mera Gham-e-dil,.
Har Musfair Ko Isi Ghat Utar Jaana Hai,.

____________________-Amjad Islam Amjad,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #340 on: September 28, 2008, 12:10:44 PM »
Aye Zindagi Ek Baar Tu Nazdeek Aa, Tanhaa Hoon Main,.
Ya Door Se Phir De Sadaa, Tanhaa Hoon Main,.

Duniya Ki Mehfil Mein Kaheen,.
Main Hoon Bhi Shayad Ya Naheen,.
Ek Umar Se is Soch Mein Doobaa Tanhaa Hoon Main,..

__________________________-Nm-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #341 on: September 28, 2008, 12:21:30 PM »
Bohat khoob bhai jaan...



safar me.n raah ke aashob se na Dar jaanaa
pa.De jo aag kaa dariyaa to paar kar jaanaa

ye ik ishaaraa hai aafaat-e-naagahaanii kaa
kisii jagah se pari.ndo.n kaa kuuch kar jaanaa

ye intaqaam hai dasht-e-balaa se baadal kaa
samu.ndaro.n pe barasate hue guzar jaanaa

tumhaaraa qurb bhii duurii kaa istiaaraa hai
ki jaise chaa.Nd kaa taalaab me.n utar aanaa

merii yaqii.n ko ba.Daa badagumaan kar ke gayaa
duaa-e-niim_shab teraa be-asar jaanaa

ajab hai.n rasm-e-gah-e-zindagii ki ye a.ndaaz
usii ne vaar kiyaa jisane besipar jaanaa

hamaare dam se hii aavaargii-e-shab thii
hame.n ajiib lage ab shaam hii se ghar jaanaa
____________________________________NM_________
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #342 on: September 28, 2008, 05:34:05 PM »
Honeyrose ji azeem bhai bohot hi umda asha'ar hein, ye shairi ki ek azeem mehfil he, zauq rakhne waalon ke liye umda tohfa he.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #343 on: September 29, 2008, 10:54:27 AM »
Shukriya Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #344 on: September 29, 2008, 11:36:40 AM »
Tere Daaman Ki Hawaa Maangte Hain,.
Hum Bhi Jeene Ki Duaa Maangte Hain,.

___________________________-Nm-
Logged
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:42:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer