Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27
Print
Author  (Read 23567 times)
honeyrose
Guest
«Reply #360 on: October 05, 2008, 10:03:19 AM »
Very nice sharing Azeem bhai ..

Very nice sharing Roja dear..

Very nice sharing Celmira sis..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #361 on: October 05, 2008, 10:07:26 AM »
Kabhi Mujhko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Ke,.
Wo Badal Gaya Aachanak, Meri Zindagi Badal Ke,.

Huwe Jis Pe Meharbaan Tum, Koi Khushnaseeb Hoga,.
Meri Hasratein To Nikali Mere Aansooun Mein Dhal Ke,.

Koi Phool Bangaya Hai Koi Chaand Koi Taara,
Jo Charaag Bhuj Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke,.

Teri Bejhijhak Hasi Se Na Kisi ka Dil Ko Maila,.
Ye Nagar Hai Aaino Ka Yahaan Saans le Sambhal Ke,.

_____________________________-Ehsaan Daanish-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #362 on: October 08, 2008, 12:07:40 PM »
Sab hazraat ne dilchasp aur umda qalaam paish kiye hain.
Logged
ibaadat
Guest
«Reply #363 on: October 09, 2008, 12:44:35 PM »
 Applause Applause Applause :clap:very ery nice
Logged
angel4u
Guest
«Reply #364 on: October 09, 2008, 01:22:24 PM »
sab qalaam ek se badhkar ek...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #365 on: October 10, 2008, 11:06:18 AM »
Shukriya Syed Nami Bhai,.
Husnaina ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #366 on: October 10, 2008, 11:19:44 AM »
Tumhaare Khatr Mein Naya Ek Salaam Kis Ka Tha,.
Na tha raqeeb To Aakhir Wo Naam Kiska Tha,.

Wo Qatl Kar Ke Har Kisi Se Poochte Hain,.
Ye Kaam Kisne Kiya Hai, Ye Kaam Kiska Tha,.

Wafa Karenge, Nibhaayenge, Baat Manenge,.
Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kiska Tha,.

Hamaare Khat Ke To Purze Kiye, Parha Bhi Nahi,.
Sun Jo Tumne Ba-Dil Wo Payaam Kiska Tha,.

Inhi Sifat Se Hota hai Aadmi Mashoor,.
Jo Lutf Aap Hi Karte To Naam Kiska Tha,.

Guzar Gay Wo Zamaana Kahein To Kis Se Kahein,.
Khayal Mere Dil KO Subhaa Shaam Kiska Tha,.

har Ek Se Kehta Hai Ke "Daag" Bewafa Nikla,.
Ye Pooche Inse Ye Wo Ghulaam Kiska Tha,.

________________________-Daag Dehalvi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #367 on: October 16, 2008, 12:28:20 PM »
Hay Tere Shehar Mein Ye Kaise Log Palte Hain,.
Dete Nahi Khushi Kisi Ko, Jo Khush Hain Unse Jalte Hain,.

Meri Kahaani Mujhe yaad Aati Hai, Jab Tune Tanha Chord Diya,.
Khwaabon, Khawaishon Se Bhara Bhara Tha Jo, Dil Usko Tord Diya,.

Aaina Haqeeqat Ke Dekhta Hoon To Aankhon Mein Jalan Hoti Hai,.
Sochta Hoon Jab, Meri Barbaadi ka Manzar To Ye Zindagi Roti Hai,.

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #368 on: October 16, 2008, 07:06:42 PM »
Jaanasheen Dost, kaafi umda shayiri hai. subhanAllah
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #369 on: October 17, 2008, 11:43:25 AM »
Shukriya Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #370 on: October 17, 2008, 11:59:37 AM »
Jo Bhi Gooncha Tere Hoton Par Khilaa Karta Hai,.
Wo Meri Tangi-e-Daaman Ka Gilaa Karta Hai,.

Dair Se Aaj Mera Sar Hai Tere Zaanon Par,.
Ye Wo Rutba hai Jo Shaahon Ko Milaa Karta Hai,.

Main To Baitha Hoon Dabaaye Hue Toofaano Ko,.
Tu Mere Dil Ke Dhadkne Ka Gilaa Karta Hai,.

Raat Yun Chaand Ko Dekha Hai Nadi Mien Raksan,.
Jaise Jhumar Tere Maathe Pe Hilaa Karta Hai,.

Kaun Kaafir Tujhe Ilzaam-e-Tagaful Dega,.
Jo Bhi Karta hai Mohabbat Ka Gilaa Karta Hai,.

_______________________-Qateel Shifaai-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #371 on: October 18, 2008, 09:44:00 PM »
Jo Bhi Gooncha Tere Hoton Par Khilaa Karta Hai,.
Wo Meri Tangi-e-Daaman Ka Gilaa Karta Hai,.

_______________________-Qateel Shifaai-


Subhan allah kya baat he azeem bhai bohot hi umda shear he, tamam ash'ar bohot achhe lage, magr ye shear to zabardast he, bar bar dohraya mein ne.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #372 on: October 19, 2008, 07:25:49 AM »
Shukriya Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #373 on: October 19, 2008, 09:01:58 AM »
Kiya Hai Pyaar Jise Humne Zindagi Ki Tarah,.
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,.

Badhaa Ke Pyaas Meri usne Haath Chord Diya,.
Wo Kar Raha Tha Murawwat Bhi Dillagi Ki Tarah,.

Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tariki,.
Chupega Wo Kisi Baadli Mein Chaandni Ki Tarah,.

Kabhi Na Socha Tha Humne "Qateel,Uske Kiye,.

Karega Humpe Sitam Wo Bhi Hai Kisi Ki Tarah,.

_________________________-Qateel Shifaai-

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #374 on: October 30, 2008, 11:28:54 AM »
Tum Meri Aankh Ke Tewar Na Bhoola Paaoge,.
Ankahi Baat Ko Samjhoge To Yaad Aaoonga,.

Humne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikhatte Dekhe,.
Safah-e-Zist Ko paltoge To Yaad Aaoonga,.

Isi Andaaz Mein Hote The Mukhatib Mujhse,.
Khat Kisi Aur Ko Likhoge To Yaad main Aaoonga,.

Sard Raaton Ke Mehakte Hue Sannaton Mein,.
Jab Kisi Phool Ko Chumoge To Yaad Main Aaonga,.

Ab Tere Ashq, Main Hoton Se Churaa Leta Hoon,.
Haath Se Khud Inhe Ponchoge To Yaad Main Aaoonga,.

Shaal Pehnaayega Ab Kaun Sardiyon Mein Tumhe,.
Barishon Mein Kabhi Bheegoge To Yaad Aaoonga,.

Aaj Tum Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Magroor Bahoot.,
Jab Kabhi Toot Ke Bikhroge To Yaad Aaoonga,.

_____________________-Wasi Shah,.
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:15:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer