Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 27
Print
Author  (Read 23685 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #45 on: April 25, 2008, 07:18:53 PM »
Bohot khoob....sab ne bohot achchi shayari yahan post ki hai...

Ye ashaar Sir Allama Iqbal ke hain, aur mujhe behad pasand hain..bohot gehra matlab rakhe hain ye apne main...


mumkin hai ke tu jisko samajhtaa hai bahaaraa.N
auro.n kii nigaaho.n me.n wo mausam ho Khizaa.N kaa

shaayad ki zamii.N hai wo kisii aur jahaa.N kii
tu jisko samajhtaa hai falak apane jahaa.N kaa

"DER AAYAD DURUST AAYAD"
CELMIRA JI AADAB.. KYA BAAT HE ALLAHM'H IQBAL [RAH.] KI.  Applause
UMMID HE AAP PARWEEN SHAKIR SAHIBA KE ASH'AAR BHI YAHAN PESH KARENGE B-SHART-E-SAHULAT.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
syednaami
Guest
«Reply #46 on: April 25, 2008, 07:20:50 PM »
SHUKRIYA AZEEM BHIA... OR BOHOT UMDA ASH'AR PESH KIYE HEN AAPNE, JAZAKALLAH!

HAME AAP KI SAJAI YE MEHFIL SABSE ZYADA PASAND HE, ISI TARHA JARI RAKHYE, LIKHNE KO TO BOHOT KUCHH HE KHAS KAR MEN "AAMIR SURTI" [RH.] KE KALAM KO BEHAD PASAND KARTA HUN MAGAR UNKE OR DIGAR SHO'ARA KE KALAM ME URDU KAFI SAQEEL HE, [BOHOT SI JAGAH TO ME KHUDHI NAHI SAMAJH PAYA]  icon_scratch OR SAB KO SAMAJH ME AAE AESE ASH'AAR LIKHNA CHAHTA HUN, WARNA ABTAK YAHAN EK KITAAB LIKH DETA.  laughing4

KOSHISH KARTAHUN AAM ZUBAN ME KUCHH MILE, JESE AAP NE ALLAMA'H IQBAAL [RH.] KE ASH'AAR LIKHE HEN.


Hum bhi aap se ittafaq rakhte hain, is liye ki phir alfaaz ke matlab bhi khud hi likhna padta hai, kya karen aajkal adab se lagao kam hi nazar aata hai.
           Khair, aap ke chuninda ash'aar bhi khaas-ul-khaas hain, aur Surti Saahib ke umda Ash'aar se humen josh-o-jazaba dete rahen.

Shukriya

S Naami
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #47 on: April 25, 2008, 07:24:38 PM »
~~=l=~~(Nasamajh Hai Yeh Insaan)~~=l=~~

Ramz-e-takhleeq ki talaash men magan hai yeh insaan,-
Tabinda-e-Akhlaaq se kyun Ghaafil hai yeh insaan.-

Jo Kaainaat men rabt hai woh hai Mazhar-e-Ilaahi,-
Intni badi misaal se kyun Ajnabi hai yeh insaan.-

Jaamid hai har haqeeqat wujood-e-Kaainaat se,-
Phir bhi maghrooriat men dooba hai yeh insaan.-

Wird-e-Zubaan ho har waqt uski hi Hamd-o-Sana,-
Jaane Kyun Maadah Parasti men khoya hai yeh insaan.-

Aamaal-e-beImaani se inki khafa hai woh Zaat-e-Ahad,-
uss par bhi maafi ka talabgaar nahin hai yeh insaan.-



(Syed Naami)

BOHOT UMDA S.NAAMI SAHAB..   Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #48 on: April 25, 2008, 07:30:59 PM »
Janaab ka maskoor hun, aap ki duaon ka talabgaar.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #49 on: April 25, 2008, 07:31:52 PM »
Samajh main to aya na, ya phir se kahoge, meanings ke liye.
I guess this one is not that difficult.

BOHOT KHOOB S.NAAMI JI LAGTA HE HAM TALIB-E-ILMON KI LAILMI SE MAZA AARAHA HE AAP KO  tongue3

ME TO ITNA HI KAHUNGA:   ZUBAN-E-YAR-E-MAN TURKI
                                         MAN TURKI NAMI DANAM

Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: April 25, 2008, 07:35:24 PM »
Bohot bohot shukriya Sayyid Usual Smile

Zaroor, ye thread bohot achcha laga...yahan koshish karenge ki kuch kalam share karen..

Parveen Shakir Sahiba ka kalam hai:

jinke aaNgan meN amiirii kaa shajar lagtaa hai
unkaa har aib zamaane ko hunar lagtaa hai

(shajar : tree; aib : vice; hunar : skill)

chaaNd taare mere qadmoN meN biche jaate haiN
ye buzurgoN kii duaaoN kaa asar lagtaa hai

maaN mujhe dekh ke naaraaz na ho jaaye kahiiN
sar pe aaNchal nahiiN hotaa hai to Dar lagtaa hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #51 on: April 25, 2008, 07:36:37 PM »
mai to app sabko hi padati hu... ya gazals sunati hu.. wo gazal section mai already hai!!! Phir bhi kabhi kahin najar mai aai to jaroor yaha post karugi Usual Smile

POOJA JI PADHNE OR PASAND KARNE KA SHUKRIYA, AAP KI HOSLA AFZAI HI KAFI HE HAMARE LIYE.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #52 on: April 25, 2008, 07:42:06 PM »
Bohot bohot shukriya Sayyid Usual Smile

Zaroor, ye thread bohot achcha laga...yahan koshish karenge ki kuch kalam share karen..

Parveen Shakir Sahiba ka kalam hai:

jinke aaNgan meN amiirii kaa shajar lagtaa hai
unkaa har aib zamaane ko hunar lagtaa hai

(shajar : tree; aib : vice; hunar : skill)

chaaNd taare mere qadmoN meN biche jaate haiN
ye buzurgoN kii duaaoN kaa asar lagtaa hai

maaN mujhe dekh ke naaraaz na ho jaaye kahiiN
sar pe aaNchal nahiiN hotaa hai to Dar lagtaa hai

JAZAKALLAH CELMIRA JI...

BOHOT UMDA ASH'AAR HE OR HAR KISI KI SAMAJH ME AASAKE ITNI AASAN ZUBAAN BHI.

Logged
syednaami
Guest
«Reply #53 on: April 25, 2008, 07:50:22 PM »
BOHOT KHOOB S.NAAMI JI LAGTA HE HAM TALIB-E-ILMON KI LAILMI SE MAZA AARAHA HE AAP KO  tongue3

ME TO ITNA HI KAHUNGA:   ZUBAN-E-YAR-E-MAN TURKI
                                         MAN TURKI NAMI DANAM


Aey, Maktoob-e-Danishwari ke rahaaishi, kyun humen kham dete ho,
kahte ho yaar har baar phir bhi gham dete ho.

Ab farsi ke darpaye kyun kar.? Ek Musafir Ek Hasina ka asar.
Mazaah to koi aap se ssekhe.

Bohot bohot shukriya Sayyid Usual Smile

Zaroor, ye thread bohot achcha laga...yahan koshish karenge ki kuch kalam share karen..

Parveen Shakir Sahiba ka kalam hai:

jinke aaNgan meN amiirii kaa shajar lagtaa hai
unkaa har aib zamaane ko hunar lagtaa hai

(shajar : tree; aib : vice; hunar : skill)

chaaNd taare mere qadmoN meN biche jaate haiN
ye buzurgoN kii duaaoN kaa asar lagtaa hai

maaN mujhe dekh ke naaraaz na ho jaaye kahiiN
sar pe aaNchal nahiiN hotaa hai to Dar lagtaa hai

Buhat hi umda namoona, inko padhne ka ishtiaq kam hua hai.
Zabardast pick hai.
Thanks
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: April 25, 2008, 07:54:04 PM »
Bohot bohot shukriya Sayyid and S.Naami Usual Smile koshish rahegi ki yahan share karte rahen, Inshallah.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #55 on: April 25, 2008, 08:18:12 PM »
Kuchh ash'ar "KHAT" ke liye pesh karta hun, ye to nahi janta kiske hen magar mashhoor he aap hazrat mese bohoto ne ise sune honge, ab khat ka zamana nahi raha magar kuchh ash'ar aaj bhi sada bahar hain, jese ye amar hone ko hi rache gaye the.
--------------------------------------------------------------

KHAT LIKHUN TO KYA LIKHUN QABOO ME DIL HAMDAM NAHIN
KHAAK AESI ZINDAGI KE HAM KAHIN OR TUM KAHI'N

--------------------------------------------------------------

KYA LIKHUN DIL KI HAQIQAT AARZOO BEHOSH HAI
KHAT PE AANSOO GIRRAHE HEN OR QALAM KHAMOSH HAI

--------------------------------------------------------------

KHAT MILE AAP KE AANKHON SE LAGAE HAM NE
DIL KE BEHLANE KO TAAWEEZ BANAE HAM NE

--------------------------------------------------------------
Logged
syednaami
Guest
«Reply #56 on: April 25, 2008, 08:24:27 PM »
KHAT LIKHUN TO KYA LIKHUN QABOO ME DIL HAMDAM NAHI
KHAAK AESI ZINDAGI KE HAM KAHIN OR TUM KAHI'N


Bala ashaar kamaal ke lage, to likhye humen khat, bhaya.
Aaj kal to post waale sirf bills aur promo letters de jaate hain.
Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: April 25, 2008, 08:27:44 PM »
Wah wah ...kya asha'ar hain Sayyid....!!

Sach kaha, Naami ki posts main bas bills aur ads hi nazar aate hain  DOH
Logged
syednaami
Guest
«Reply #58 on: April 25, 2008, 08:32:34 PM »
Wah wah ...kya asha'ar hain Sayyid....!!

Sach kaha, Naami ki posts main bas bills aur ads hi nazar aate hain  DOH

Kya Karen Marketing men padha hai bhaya.
issliye asar kab jaata hai bhaya
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #59 on: April 25, 2008, 08:38:53 PM »
KHAT LIKHUN TO KYA LIKHUN QABOO ME DIL HAMDAM NAHI
KHAAK AESI ZINDAGI KE HAM KAHIN OR TUM KAHI'N


Bala ashaar kamaal ke lage, to likhye humen khat, bhaya.
Aaj kal to post waale sirf bills aur promo letters de jaate hain.

Ab shayad aese likhna padega.....

mail pe aansoo ghir rahe hen or keyboard khamosh he  Laughing hard
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:01:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer