Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 27
Print
Author  (Read 24040 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #75 on: April 30, 2008, 10:59:56 AM »
Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.
Sukut-e-Marg Taari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Hanson Aur Hanste Hanste Doobote Jaao, Khayalon Mein,.
Hume Ye Raat Bhaari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Tumhe Kya? Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaaya,.
Ye Baazi Humne Haari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Kahe Jaate Ho, Ro-Ro Ke Hamaara Haal Duniya se,.
Ye Kaisi Raazdaari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Hume To Aaj Ki Shab Pau Phate Tak Jaagna Hoga,.
Yahi Kismat Hamaari Hai, Sitaaron Tum To Sojaao,.

Hume Bhi Neend Aa Jaaayegi, Hum Bhi So Hi Jaayenge,.
Abhi Kuch Bekaraari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

___________________________-Qateel Shifaai-

One Of My Fav8




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
syednaami
Guest
«Reply #76 on: April 30, 2008, 04:14:54 PM »
MashaAllah, Qateel Mian ke iqtabaasaat ke to dildada hain hum.
Aise hi mahfil ko muattar karte rahiye.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #77 on: April 30, 2008, 04:20:57 PM »
wah kaya baat hai, a very good sharing lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #78 on: May 06, 2008, 12:48:54 PM »
Shukriya Syed Naami Ji,.
And Pooja Sis,.
Aapne Koi badiya Shayari Share Nahi Ki,.
Intezaar Hai,.  Feared.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #79 on: May 06, 2008, 12:54:50 PM »
Very Nice Sharing Azeem bro.Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #80 on: May 08, 2008, 08:19:40 AM »
Shukriya Didi Jaan,.
Apne Kuch Nahi Luikha,.
Kyun,. cussing
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #81 on: May 08, 2008, 08:28:30 AM »
Mooh Ki baatein Sune Har Koi, Dil Ka Darda Jaane Kaun,.
Aaawazon Ke Baazaron Mein Khamoshi, Pehchaane Kaun,.

Sadiyon Sadiyon Wohi Tamaasha, Rasta Rasta, Lambi Khoye,.
Lekin Jab Hum il Jaate Hain Kho Jaate Hain Jaane Kaun,.

Wo Mera Aaaina Hai, Main Uski Parchaai Hoon,.
Mere Hi Ghar Mein Rehta Hai, Mujh Jaisa Jaane Kaun,.

Kiran Kiran Halka sa Suraj, Palak Palak Khulti Neendein,.
Yunhi Dil Pighal Raha Hai, Zara Zara Jaane Kaun,.

__________________________________--NM_
Logged
syednaami
Guest
«Reply #82 on: May 10, 2008, 11:47:14 AM »
Prateek Mardia ji aadab...
Urdu ka koi lafz agar samajh me na aae to aap yahan syednaami ji se daryaft kar sakte hen, ummid he aap ko tasalli bakhsh jwab miljaega.

http://www.yoindia.com/shayariadab/the-yoindian-summit-news-yoindians-in-real-world/urdu-talaffuz-aasan-t27271.0.html

Randeri Miyan,

Aap ne iss khaadim ke kaam ko gulfishaan karke jo izzat bakhshi uss ka men buhat shukarguzaar hun.
Yeh dekh kar buhat hi dil ko lutf mila ki mere khidmat ka nateeja kissi tarah to mufeed ho paya hai.

S Naami
Logged
syednaami
Guest
«Reply #83 on: May 11, 2008, 03:29:23 AM »
Randeri Miyan,

Yeh to aap doston ki itni shafqat hai jo hum naazheez kuchh na kuchh kaam kar rahe hain warna, kaahil itne hain ki sahaara bhi mile to sochte hain ki wohi saath le chalen.
Umeed hai yeh safar ta-Hayyat qaim rahega, InshaAllah.
Duagoo
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #84 on: May 14, 2008, 01:30:57 PM »
Kya Guftagu Ho Rahi hai Doston,. Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #85 on: May 14, 2008, 01:36:39 PM »
Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Ka To Nahi,
Gher Le Mujhko Sab Aankhe, Main Tamasha To Nahi..

Zindagi Tujh se Har Ek Saans Pe Samjhota Karu,
Shaoq Jeenay Ka Hai Mujhe Par Itnaa To Nahi....
.
Rooh Ko Dard Milaa, Dard Ko Aankhe Na Milee,
Tujhko Mahesoos Kiya Hai Maine Dekha To Nahi,

Sonchte Sonchte Dil Doooobne Lagta Hai Mera,
Zahen Ki Tehh Mein Muzaffar Koi Dariya To Nahi.....

______________________________________--NM-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #86 on: May 14, 2008, 01:51:45 PM »
Azeem bro very nice sharing ..Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #87 on: May 14, 2008, 02:38:23 PM »
Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.
Sukut-e-Marg Taari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Hanson Aur Hanste Hanste Doobote Jaao, Khayalon Mein,.
Hume Ye Raat Bhaari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Tumhe Kya? Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaaya,.
Ye Baazi Humne Haari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Kahe Jaate Ho, Ro-Ro Ke Hamaara Haal Duniya se,.
Ye Kaisi Raazdaari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

Hume To Aaj Ki Shab Pau Phate Tak Jaagna Hoga,.
Yahi Kismat Hamaari Hai, Sitaaron Tum To Sojaao,.

Hume Bhi Neend Aa Jaaayegi, Hum Bhi So Hi Jaayenge,.
Abhi Kuch Bekaraari Hai, Sitaaron Tum To So Jaao,.

___________________________-Qateel Shifaai-

One Of My Fav8


I liked this one very much Jaanasheen ji. First time i read such a beautiful creation of Qateel Shifaai sb..
Logged
Talat
Guest
«Reply #88 on: May 14, 2008, 02:44:41 PM »
All the poems are good...but I liked Qateel Shifaai's poem a lot...Thanks for sharing Azeem !
Logged
Talat
Guest
«Reply #89 on: May 14, 2008, 02:48:11 PM »
harf harf raT kar bhii aagahii nahiiN miltii
aag naam rakhne se roshnii nahiiN miltii

(harf : letter; aagahii gnosis)

sochne samajhne ko faasilaa hii behtar hai
raat din kii qurbat se dostii nahiiN miltii


(faasilaa : distance; qurbat : intimacy)

miiThii miiThii baatoN meN sirf sach nahiiN hotaa
maslehat-pasandoN meN sar-kashii nahiiN miltii


(sach : truth; maslehat-pasand : rational, pragmatic people; sar-kashii : tyranny)

aadmii se insaaN tak aa gaye to samjhoge
kyuuN chiraaGh ke niiche roshnii nahiiN miltii


(chiraaGh : lamp)

be-libaas hone se bach gayaa to kyaa “Manzar”
aaj gaaNv meN kal kii saadgii nahiiN miltii


(be-libaas : without clothes; gaaNv : village)


Manzar Bhopali
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:44:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer