Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 27
Print
Author  (Read 23699 times)
Roja
Guest
«Reply #90 on: May 14, 2008, 02:50:16 PM »
Quote
aadmii se insaaN tak aa gaye to samjhoge
kyuuN chiraaGh ke niiche roshnii nahiiN miltii

(chiraaGh : lamp)

be-libaas hone se bach gayaa to kyaa “Manzar”
aaj gaaNv meN kal kii saadgii nahiiN miltii

(be-libaas : without clothes; gaaNv : village)

Manzar Bhopali

Wah talat sis... bahut pyara kalam share kiya hai aapne. Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #91 on: May 14, 2008, 03:03:46 PM »
Thanks Roja dear Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #92 on: May 14, 2008, 10:22:40 PM »
harf harf raT kar bhii aagahii nahiiN miltii
aag naam rakhne se roshnii nahiiN miltii

(harf : letter; aagahii gnosis)

sochne samajhne ko faasilaa hii behtar hai
raat din kii qurbat se dostii nahiiN miltii


(faasilaa : distance; qurbat : intimacy)

miiThii miiThii baatoN meN sirf sach nahiiN hotaa
maslehat-pasandoN meN sar-kashii nahiiN miltii


(sach : truth; maslehat-pasand : rational, pragmatic people; sar-kashii : tyranny)

aadmii se insaaN tak aa gaye to samjhoge
kyuuN chiraaGh ke niiche roshnii nahiiN miltii


(chiraaGh : lamp)

be-libaas hone se bach gayaa to kyaa “Manzar”
aaj gaaNv meN kal kii saadgii nahiiN miltii


(be-libaas : without clothes; gaaNv : village)


Manzar Bhopali

 Applause Applause Applause

Bohot khoob Celmira ji mene manzar bhopali ki bohot si nazm mushayron me suni he, laajwaab....
Or unka tarz or aawaaz bhi kamal he, ham to yahi kahenge:

Sab ko is saleeqe ki, saadgi nahi milti
Har kisi ko "manzar" si, dil kashi nahi milti

Logged
syednaami
Guest
«Reply #93 on: May 15, 2008, 06:06:43 PM »
Badiya shayari ke thread se hat kar s.naami ji ki kuchh or badiya khidmat ki baaten ho rahi tahi bahi.  Usual Smile

Arey wah re Randeri miyan, Aap ne humen Bair se shair bana diya, SubhanAllah...
Bas aap hamara saath nibhaate raho aur hum khidmat men paish paish rahenge.
Buhat Shukriya...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #94 on: May 25, 2008, 03:19:42 AM »
 
Kalam-e-manzar
=============================
judaai ho ke milan, har adaa hamaari he
Tumhara shahar ha, lekin fizaa hamaari he

Shikayate'n bhi kare'n ham, to kis zaba'n se kare'n
Khuda banaya he ham ne, Khataa hamaari he

Hamaare jism ki uriyaaniyat pe mat hansna
Ke tum jo odhe hue ho, ridaa hamaari he


[Uryaaniyat = nakedness.  Ridaa = Chadar]

Hamare saamane zebaa nahi Gurur tumhe'n
Jahaa'n pe bethe ho tum, vo jaga hamaari he


[zebaa nahi = Shobha nahi deta]
=============================
{Manzar Bhopaali}
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #95 on: May 25, 2008, 10:50:13 AM »
Subhan Allah,.
Waise Manzar Bhopali Saab To Hum Sabke Idol Hain,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #96 on: May 25, 2008, 10:55:38 AM »
Ek Nazraana Pesh Karta Hoon,.
Ummeed Hai Sabko Pasand Aaye,.

Main Nazar Se Pee Raha Hoon, Ye Samaa Badal Na Jaaye,.
Na Jhukaao Tum Nigaahein Kahin Raat Dhal Na Jaaye,.

Mere Ashq Bhi Hain Is Mein Ye Sharaab Ubhal Na Jaaye,.
Meraa Jaam Choone Waale Tera Haath Jal Na Jaaye,.

______________________________-Anwar Mirzapuri-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #97 on: June 11, 2008, 11:41:54 AM »
lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang me.n rusvaa hogaa

dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
abr gul_zaar pe barasaa hogaa

tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
ko_ii tum se bhii hasii.n kyaa hogaa

ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baiThoge to charchaa hogaa

zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa

kis qadar karb se chaTakii hai kalii
shaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

umr bhar roye faqat is dhun me.n
raat biitii to ujaalaa hogaa

saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
ko_ii ham-saa bhii na tanhaa hogaa

________________________-Ahmed Nadeem Qasmi-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #98 on: June 11, 2008, 06:08:13 PM »
Bohot umda ash'aar he azeem bhaai bade dino baad is thread ko yaad kiya aapne, bohot khoob...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #99 on: June 15, 2008, 01:05:37 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
Jo Aapne Yahaan Pe Gaur Kiya,.
Waise I Was Missing The Company yaar,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #100 on: June 15, 2008, 01:10:15 PM »
Unse Kehde Koi Ke Hamaari,.
Takdeer Se Chalna Chord De,.
Humto Wo Badnaseeb Hain,.
Jo Kafan Bhi Bechein To Log Marna Chord De,.

________________________-Jaanasheen-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #101 on: June 15, 2008, 04:58:07 PM »
Unse Kehde Koi Ke Hamaari,.
Takdeer Se Chalna Chord De,.
Humto Wo Badnaseeb Hain,.
Jo Kafan Bhi Bechein To Log Marna Chord De,.

________________________-Jaanasheen-


Ha Ha Ha badi door ki sochi.... Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard

kamal ki baat kehdi azeem bhaai mere bade bhai aksar bolte rehte hen "jahan doodh lene jaata hun bhens mar jaati he" ab unhe'n aap ka sher pesh karunga.  laughing4
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #102 on: June 15, 2008, 05:10:26 PM »
Mujh se Mukhlis na Waqif mere Jazbat se tha
Us ka Rishta to Faqat apne Mafadaat se tha
Ab jo Bichda hai to kya roain Judai pe teri
Ye Andesha to Hame'n Pehli Mulaqat se tha
[shaair namaloom]
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #103 on: June 15, 2008, 05:15:06 PM »
Itna socha hai kuch sawalon per
barf si girne lagi hai balon per
rone wale to hans nahi sakte
log hanste hain rone walon per

[shaair: gum naam he koi]
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #104 on: June 15, 2008, 05:17:37 PM »
Ik din ki baat ho to usay bhool jaayen ham
Naazil hon roz dil pay balaayen to kya karen

[shaair: anjaan he koi]
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:12:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer