~~"SADIYOO BAAD"~~

by k.shael on June 23, 2008, 09:06:59 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1632 times)
k.shael
Guest
KAL SADIYO BAAD USKI AWAAJ SUNI,
JAISE DIL MEIN EK NAYI AAS JAGI,

WAHI ANDAAJ WAHI,WAHI LEHJA USKI
BAAT MEIN THA,WO DOOR THA MUJHSE
BAHUT PAR AHSAAS HUA JAISE WO MERI
DHADKAN SE BHI PASS THA,

KAL SADIYO BAAD USKI....

DIL DHAKK SE REH GAYA JAB USNE BINA
HAMARE KUCH BOLE HAME PEHCHAAN LIYA,
EK BAAR TO LAGA AISE JAISE KHUDA NE
MERA PYAR LOTA DIYA,

KAL SADIYO BAAD USKI....

THAM SI GAYI SAANSE MERI JAB USNE
MERA NAAM LIYA,YEH SUNTE HI HAMNE
UNSE KAHA SHAYAD AAPKO DHOKHA HAI HUA,

KAL SADIYO BAAD USKI....

HAM WO NAHI JISKA AAPNE NAAM LIYA,
HAM TO EK AJNABI HAI, JANE KYUN AAPNE
HAMME KISI AUR KO BHAANP LIYA,

KAL SADIYO BAAD USKI....

ITNA KEHTE HI AANKH BHAR AAYI MERI,
MAINE BADI JIDD SE AANSOO KO THAM LIYA
WO MERE KARIB THA PAR MAINE KHUD KO USSE
DOOR KAR LIYA,YE TO YAQEEN HUA MUJHE SHAYAD

KAL SADIYO BAAD USKI....

MERI DOORI KA USE BHI GAM HUA, MERE LIYE
USKA PYAR NA KAM HUA,EK BAAR PHIR KHUDA NE
THAMAYA HAATH USKA MERE HAATHON ME,PAR ISS
BAAR JANE KUYN HAMNE HAATH PICHE HATA LIYA

KAL SADIYO BAAD USKI....

SHAYAD EK BAAR PHIR APNA KHOYA PYAR PAKAR
GAWA LIYA....
BY. K.SHAEL


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"baad tere"~~ by agr_navneet in Shayri-E-Dard
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
~~~~~~""'"nazar-e-ishq"""~~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
"Tere Baad" by angel4u in Shayri-E-Dard
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 23, 2008, 09:21:13 AM »
Shally,

Mujhe ehsaas hua ek ek baat ka tumhara yeh kalam padh kar !

Magar...

Meri abhi bhi sadiyon se us se baat na hui... tearyeyed
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: June 23, 2008, 09:43:04 AM »
nice creation shally

khushnasibi thi teri jo usne tera naam liya
par kyu tune apna dil thaam liya
ek baar fir kismat hui thi tujhpar mehrbaan e-dost
kyu tune fir apna hath uske haathon se chuda liya
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: June 23, 2008, 09:45:12 AM »
Bhawna,

Bilkul durust farmaya aap ne ! Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: June 23, 2008, 09:49:02 AM »
shukriya rajbir ji

yu to har koi wafadaar nahi hota
par sach ye b hai ki har kisi ko bewafaai ka ehsaas nahi hota
shayad shally k pyaar mei bhi thi kuch sachai
warna uska pyaar usse milno ko betaab nahi hota
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: June 23, 2008, 09:55:52 AM »
THANX KAUSHIK JI & RAJBIR,

SACHAI THI MERE PYAR MEIN ISLIYE
SHAYAD USNE MERI SAANSO KI AAWAJ
SE MUJHE PEHCHAN LIYA,PAR JANE KYA
RAZA THI USS KHUDA KI USSE MILWAKAR
MUJHE DOBARA USI SE BEGANA KARWA DIYA,
BY. K.SHAEL


Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: June 23, 2008, 11:17:02 AM »
Shally aapa,
Main apne Tute fute Andaj Me Kuch Kahun..?

Wo To Khuda Ki Raza Thi,
Do Dilo Ki Aajmaeesh Thi,
Kaun Ba-Wafaa Hai,
Kaun Bewafaa Hai,
Zamane Baad Mulaqaat Thi,
Kis Ko Kiski Zaroorat Thi,
Kis Me Baaki Chaahat Thi,
Wo To Khuda Ki Raza Thi..

                           --Raza 
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: June 23, 2008, 12:04:07 PM »
THANX MUHAMMED JI,

JANE KHUDA KI AISI RAZA KYUN THI,
USE MERI JARA BHI FIKAR KYUN NA HUI,
MARTI HO PAL-2 USKE BINA, ISKE BAAD
BHI WO MERA HOTA HAI BAAR -2 PHIR BHI
JANE KYUN HO PATA MERA NAHI....
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #8 on: June 24, 2008, 05:28:57 AM »
Main To Ye Samaz Ta Hun,
Khuda Ki Raza Chah Ta Hun,

Juda Ho gaye Aap Taqqdir se,
Milaya Usne Bhi To Yakin se,

Bharam Rakhta Hai Khuda Bar-bar,
Dua o Ka Hota Hai Assar Bar-bar,

Kuch To Khuda Ka Raz Hai,
Bar-Bar Bajte Ye Saaz Hai,

Milkar Bhi Wo Nahi Milta Hai Tum Ko,
Juda Ho Kar Bhi Juda Nahi Hai Tum Se,

Mere Rub Ki Raza To Ye 'Raza' Kya Jaane,
Nasib Ki Lakire Usne Banayi Koi Kya Jaane,

E Khuda Meri Dua o Me Ye Assar Ho Jaaye,
Haath Uthate Hi Sub Muraade Puri Ho Jaye,

Shally Ki Har Ilteza Puri Ho Jaaye,
Bar-bar Nahi,
Ek bar sahi,
Usko Uska Pyar Mil Jaaye,
Tamanna Ye Puri Ho Jaaye.....!!!

                                -- Raza
     
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: June 24, 2008, 07:12:46 AM »
THANX SOOOO MUCH,
MUHAMMED JI,
AAPNE HAMARE LIYE DUA KI SHUKRIYA,


KHUDA TUJHSE HAI ILTAZA ITNI,
MERI MOHABBAT KO MIL JAYE PANAH
USKE DIL KI,MERI ZINDAGI KI HO UTNI UMAR
JITNI USKI DIL MEIN JAGAH HO MERE LIYE,


Logged
Muhammed
Guest
«Reply #10 on: June 24, 2008, 11:46:10 AM »
Aap Thanx Kyon Kehti Ho...?
Muje Bahot Bura Lagta Hai shally aapa.

                                            --- Raza
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: June 24, 2008, 11:49:09 AM »
Nice creations K.Shael, Bhawna and Muhammed
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: June 24, 2008, 12:18:27 PM »
THEEK HAI HAM AAGE SE THANX
NAHI KARENGE,
THANX CELMIRA JI....
BY.K.SHAEL
Logged
punam
Guest
«Reply #13 on: June 24, 2008, 12:23:00 PM »
Bahot khoob K.Shael sis..aap bhi bahot ache likhe Bhawna and Muhammed ji...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: June 25, 2008, 09:54:23 AM »
Dil Ki Geharaee To Khuda Jaanta Hai,
Usme Wafaa Ki Gunjaeesh Kitni Hai,
Shally
Tum Umar-e-dil Ki Baat Karte Ho,
Ek Dil Me Kitni Zindagi Sama Jaati Hai,
Uska Shumar Nahi Hai,
Wo Sub Ki Baat Nahi Hai,
Sirf Ek Zindagi Ki Baat Hai,
Balke Kuch Lamho Ki Baat Hai,
Bas Ek Saans Hi Kaafi Hai,
Uske Dil Me,
Agar Panaah  Muze Miley,
To,
Meri wafaa Ko Sukoon Miley….

                                ---Raza

*********

Ek  GazalGit Yaad  Aaee :

Ruth Kar Hum Unhe Bhul Jaane Lage,
Wo Hume Aur Bhi Yaad Aaane Lage…

Hum Ne Dil Se Kahi Apni Majboori,
Dil Ko Lekin Ye  Saare Bahaane Lage…

Unke Kadmo’n Me Gir Jaa ea Mar Jaa ea Hum,
Is Tarhaa  Apani Mitti Thikane Lage..

Unse Ek Pal Kaise Bichhad Jaye Hum,
Jin  Ko Milne Me Saare Zamaane Lage…

Aur

Jo Soch Rahe Hai  Kabhi Dekha Hi Nahi Tha,
Jo Dekh  Rahe Hai Kabhi Socha Hi Nahi Tha… 

**********

Ek Aur Aarzoo Bano Ki Gazal Se Teen Ashaar Yaad Aaye

Aub Tere Dil Me Wo Chahat Wo Muhabbat Na Rahi,
Tu Wohi Hai Magar Aankho’n Me Muravvat Na Rahi,

Apne Waado’n  Ki  Hasee’n Raat Bhula Di Tune,
Mere Pyaar Ki Harr Baat Bhulaadi Tune,

Be-wafaaei Ka Teri Tuz se Gilaa Kaise Karu’n,
Teri Yaado’n  Ko Main Is Dil Se Juda Kaise Karu’n…

**********

Shally Ki  Zubaani Hai,
Baat Ye Puraani Hai,
Sun Ne Waalo Suno,
Meri Apni Kahaani Hai…

Hum Ne Usko Chahaa Hai,
Dil Me Basaaya Hai,
Phir Bhi Usne Yaaro,
Kyon Muje Thukrayaa Hai…

Gairo Se Tumhe Chahat Hai,
Is Dil Se  Nafrat Hai,
Kyon Karte Nahi Kubul,
Wohi Puraani Aadat Hai…

   -------------------

Garrdish Me Sitaare Hai,
Hum Ishq Ke Maare Hai,
Tum  To Kisi K Ho Liye,
Hum Aub Bhi Tumare Hai…

Din Roz  Nikal Ta Hai,
Dukh Roz Badal Ta Hai,
Zakh Mo Ka Nahi Marham,
Bas Aap Hi Bhartaa Hai….

Khuda Se Ye Duaa Hai,
“Raza” Ki Ilteza Hai,
Shally  Ki Jo Wafaa Hai,
Salaamat Use Rakna Hai…..
                               ---Raza       


**********

Unhe Ruth Ne Ki Aadat Wahi Hai,
Hume Manaane  Ki Aadat Wahi Hai,

Unhe Sang Uthane Ki Aadat Wahi Hai,
Hume Zakhm Khane Ki Aadat Wahi Hai…!!Conti..

**********

Mere Rab Ka Badaa Darbaar Hai,
Jisme Duaa o Ki  Bharmaar Hai,
Usme Shamil Ye Dua Hai,
Jisme Maangi Shally Ki Khusia’n Hai….

                                     ---Raza
Thax Aur Sorry Mana Hain.
Aur Dantanaa criticize Kar sakte Ho.
Kyonki Muje Shayari Nahi aati


   




 
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:00:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer