<>*Sang apne le jao tum*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 23, 2010, 08:32:39 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 884 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Sang apne le jao tum*<>

Haan jao iss kamre se chale jao tum
sang apne yaadein bhi le jao tum
ye jo dard aur aansu diye tumne
inhe bhi sang apne le jao

iss kamrey me jisme tum rehte the
 hum ghanto baatein karte the
isme gunjegi baatein wo
unko kaise chup karaungi
mere kanon me jab gunjegi
teri awaz ye bolo main
kaise use khanosh kar paungi

iss deewaar k sat ke hi
tumne pehli bar chhua tha mujhe
 main jab yahn aaungi
 ye mujhe paas bulayengi
 bolo kaise mana kar paungi
isko bhi sang apne le jao tum

ye jo iss kamre me teri khushbu hai
 jo sang mere hi rehti hai
 meri saanson me jo basti hai
 isko kaise  khudse alag kar paungi
isko bhi sang apne le jao tum
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: October 23, 2010, 08:41:48 PM »


jaana main chaahta nahi tujhse duur
par kya karun jaana pad raha hai mujhe
dur chaahe rahun main tujhse par
teri hi yaadein yad aayengi mujhe

haan tujhe in deewaaron ke saath
aj chhod ke jaa raha hoon main
isme meri khushboo to hai na
tere saath unhe chhod raha hoon main

maaloom hai mujhe ki tadap kya hoti hai judaai ki
par kya karun mujhe jaana hoga aaj tujhse dur
kuch bandishein hain jinhe main toda nahi sakta
un me baandhne khud ko jaa raha hoon tujhse dur

duur chaahe rahun jitna bhi tujhse
duur na ja paayegi kabhi tu mujhse
yaad banke har lamha tere saath rahunga main
aur yahi yaadein tujhe jode rakhengi mujhse

aaunga main laut ke tere paas ek din
din wo bahut duur nahi hai aaj se
kaat le kuch din judaai ke tu yahaan
intezaar ki ghadiya meri bhi shuru hain aaj se

main aaunga fir roz roz ladne tujhse
main aaunga tujhe bahon me bharne firse
ye meethe jhagde ye pyaar bhari ladaayi
in me tujhe uljhaane main aaunga firse

tu intezaar karna mera marte dum tak
aaunga ye mera waada hai tujhse
duur na reh paaunga main tujhse
dauda chala aaunga milne tujhse
haan main aajaunga milne tujhse
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: October 24, 2010, 01:50:53 PM »
Waah bahut khoob kasak ji kuch bite pal apki kavita ne yad dila diye...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:00:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer