SAPNA~~yeh aankhen marne k baad hi dekh paayengi~~ SAAHIL

by salil2002 on September 14, 2009, 01:30:19 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2322 times)
salil2002
Guest
yeh ek bahut hi maarmik kahaani thi jise maine ek poem k roop main aapke saamne prastut kiya hai aap sabhi yoindians se meri gujarish hai kii please ise jaroor pade aur apni pratikiyan de.kyunki .yeh kahaani mere dil k qaafi kareeb hai....aapke jawabo k intzaar main ....saahil

aaj meri beti beith kar doli main vidaa ho jaayegi
oothengi ooski palkein dhoondne ko mujhe aur phir gir jaayengi
kaise kahoon oose kii dil kitna chahta tha duaein dena usko
kaise kahoon kii is baap kii hasratein ab kabhi rang na laayengi

bahut badnaseeb hoon main yeh soch k woh aansu bahayegi
magar mere rooh ooske aansu bhi na aankhon se ponch paayengi
kya kehta dahej kii khatir jal gayi meri chita,
nahin yeh sach jaan kar shayad woh ji nahin paayegi

bahut maanga tha dahej oonhone,main gareeb kahaan se laata
joda tha jo kucch ek arse se, oosme kucch bhi toh na aata
isliye hi maine chhu li thi woh taar jisme bijli daudti thi
socha tha kii jeete ji na sahi, yeh booda mar k toh kaam aata

yeh ek kadwi sachchai hai kii baad mere marne k paisa ghar aaya
chheen kar meri zindgi kii akhiri kisht, woh beeme main dhal k aaya
dekha tha maine tu kis tarah meri laash ko aur paise ko dekhti thi
shayad meri oos aakhiri muskaan ka raaz tujhe tab ho samajh aaya

tu meri jaan thi, tu mere dil ka tukda thi,tu hi toh sab kucch thi
main mar gaya toh kya,meri maut meri beti k kaam toh aayengi
bas yahi socha tha maine, aur teri tasveer qaid kar li thi aankhon main
kyunki jis sapne kii khatir main mara,oose yeh aankhen marne k baad hi dekh paayengi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERE MARNE KE BAAD by TOUCHY in Shairy-E-Watan
Baad Marne Ke Mere Tum Jo Kahani Likhna..................... by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
mere marne ke baad by abhishek_gaurav in Shayri-E-Dard
mere marne ke baad by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 14 15 »
marne ke baad..... by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
cara
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2009, 02:16:53 PM »
KYA BAAT HAI SAAHIL JI.....BAHUT DARD HAI ......

JEETE JI MAIN TERI  KHUSHI MEIN TOH KAAM NA AAYA,
KHUSHI HAI ,MARNE KE BAAD TO AAYA.
GAM HAI US BAAT KA,MAIN TERI KHUSHI MEIN NA THA SHAMIL,
KYUN KE JEETE JI TERI KHUSHIYON KE LIYE MAIN NAHIN THA KAABIL.
LOG JEETE JI SAPNA DEKHTE HAI,AUR POORA KARTE HAI,
AJEEB HAI MERA SAPNA,JO MARNE KE BAAD POORA HO PAYAA.
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #2 on: September 14, 2009, 04:57:04 PM »
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

Iconic poetry
Something you dont get often to read

.Just expressive and at the same time illusive
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 14, 2009, 05:04:11 PM »
apne to rooh ko rula diya lil bro.... Good creation...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 14, 2009, 06:27:14 PM »
Very good work Salil  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: September 15, 2009, 07:05:03 AM »
Wah Sahil ji,bahut khoob,really touched,mindblowing creation,excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: September 15, 2009, 07:43:29 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause

Kya kahe Saahil ji.....dil ko hila kar rakh diya aapki iss poetry ne.....
i m totally speechless....

Kya poora hoga wo sapna jo dekha uss baap ki aankho ne
Kya rakhege dahej k lalchi log uski beti ko khushiyo mein
Aaj jo maange hai paise unhone,wo dekar beti ki doli toh chali gayi
Kya hoga aage kaun jaane darr hai kahi doli na badal jaaye arthi mein
tearyeyed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: September 15, 2009, 08:12:38 AM »
Wah bahut khoob Cara ji,Nikhar ji,really touching lines,excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: September 15, 2009, 11:32:58 AM »
SubhanAllah!!!Bahaut kam aisa hota hai Sahil bhaijan ke hum ek kalam padte hai aur dusra koi aur kalam padne ka mann nahin hota kyun ki pada hua kalam apko loot leta hai...Apne bhi loot lia...Bahaut acha likha hai...Tooooooooo goood!!!

Bas ek cheez kehna chahunga...Apke kalam main jo maut ka hissa hai, main ko lagta hai jo insaan zindagi se har kar khudkhushi karle;usse jeene ka adikar nahin hota...Main janta hoon bahaut majboor log hai duniya main lekin ager hum saab yeh ek baat pe ghaur karen, toh khush rehna seekh jaenge...Woh baat hai "Jiss uper wale ne tumhe zinda kiya hai, sabkon un-ginat(uncountable/infinite)naematen ada ki hai, kisi ko mal se toh kisi ko ibadat se amir banaya hai, woh uper wale ke khazana khali nahin hai...Insaan ke khazane ka kya hai...Woh toh uss parvardigar ke khazanne ka nukta bhar bhi hissa nahin hai...Ager woh le sakta toh woh de bhi sakta hai...Ager uski azmaish pe khade hogaye, toh Jannnat paa jaoge..."  Never and ever think of suicide at any cost...Just keep ur faith in him and see how beautiful life shall be...

Kisi ko meri baat achi nahin lagi ho toh main maafi mangna chahunga...

Once again Sahil bro...Tooooo good... Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahaut khoob Cara jee aur Nikhar jee... Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 15, 2009, 01:35:05 PM »
Superb, Superb, Behad Zabardast Likha Hai Yaar, Simply Superb,.

Har Baar Ki Taraah,.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: September 15, 2009, 05:44:32 PM »
SubhanAllah!!!Bahaut kam aisa hota hai Sahil bhaijan ke hum ek kalam padte hai aur dusra koi aur kalam padne ka mann nahin hota kyun ki pada hua kalam apko loot leta hai...Apne bhi loot lia...Bahaut acha likha hai...Tooooooooo goood!!!

Bas ek cheez kehna chahunga...Apke kalam main jo maut ka hissa hai, main ko lagta hai jo insaan zindagi se har kar khudkhushi karle;usse jeene ka adikar nahin hota...Main janta hoon bahaut majboor log hai duniya main lekin ager hum saab yeh ek baat pe ghaur karen, toh khush rehna seekh jaenge...Woh baat hai "Jiss uper wale ne tumhe zinda kiya hai, sabkon un-ginat(uncountable/infinite)naematen ada ki hai, kisi ko mal se toh kisi ko ibadat se amir banaya hai, woh uper wale ke khazana khali nahin hai...Insaan ke khazane ka kya hai...Woh toh uss parvardigar ke khazanne ka nukta bhar bhi hissa nahin hai...Ager woh le sakta toh woh de bhi sakta hai...Ager uski azmaish pe khade hogaye, toh Jannnat paa jaoge..."  Never and ever think of suicide at any cost...Just keep ur faith in him and see how beautiful life shall be...

Kisi ko meri baat achi nahin lagi ho toh main maafi mangna chahunga...

Once again Sahil bro...Tooooo good... Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahaut khoob Cara jee aur Nikhar jee... Applause Applause
Shukriya Rahim ji

Aapne jo bhi kha bilkul sahi kha.....zindagi to bhagwaan ka diya hua tohfa hoti hai jisse yu hi nahi gwaana chahiye....maine jo lines likhi wo issi soch par aadhaarit hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: September 16, 2009, 01:25:17 PM »
KYA BAAT HAI SAAHIL JI.....BAHUT DARD HAI ......

JEETE JI MAIN TERI  KHUSHI MEIN TOH KAAM NA AAYA,
KHUSHI HAI ,MARNE KE BAAD TO AAYA.
GAM HAI US BAAT KA,MAIN TERI KHUSHI MEIN NA THA SHAMIL,
KYUN KE JEETE JI TERI KHUSHIYON KE LIYE MAIN NAHIN THA KAABIL.
LOG JEETE JI SAPNA DEKHTE HAI,AUR POORA KARTE HAI,
AJEEB HAI MERA SAPNA,JO MARNE KE BAAD POORA HO PAYAA.
Very good work Salil  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
cara and talat di bahut bahut shukriya aapne kalam pada aur pasand kiya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: September 16, 2009, 01:26:42 PM »
icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

Iconic poetry
Something you dont get often to read

.Just expressive and at the same time illusive
 Applause Applause Applause Applause Applause

apne to rooh ko rula diya lil bro.... Good creation...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
udit bhai bahut bahut shukriya izzat bakshi aapne
pooja di thanks a lot kii aapne pada aur pasand kiya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: September 16, 2009, 01:28:30 PM »
Wah Sahil ji,bahut khoob,really touched,mindblowing creation,excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Superb, Superb, Behad Zabardast Likha Hai Yaar, Simply Superb,.

Har Baar Ki Taraah,.
bahut bahut shukriya
madhu dear aap hamesha hosla badati rehti hai iska bahut bahut shukriya
aur azeem bhai aapko apni thread par dekh kar bahut khushi huyi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: September 16, 2009, 01:34:08 PM »
SubhanAllah!!!Bahaut kam aisa hota hai Sahil bhaijan ke hum ek kalam padte hai aur dusra koi aur kalam padne ka mann nahin hota kyun ki pada hua kalam apko loot leta hai...Apne bhi loot lia...Bahaut acha likha hai...Tooooooooo goood!!!

Bas ek cheez kehna chahunga...Apke kalam main jo maut ka hissa hai, main ko lagta hai jo insaan zindagi se har kar khudkhushi karle;usse jeene ka adikar nahin hota...Main janta hoon bahaut majboor log hai duniya main lekin ager hum saab yeh ek baat pe ghaur karen, toh khush rehna seekh jaenge...Woh baat hai "Jiss uper wale ne tumhe zinda kiya hai, sabkon un-ginat(uncountable/infinite)naematen ada ki hai, kisi ko mal se toh kisi ko ibadat se amir banaya hai, woh uper wale ke khazana khali nahin hai...Insaan ke khazane ka kya hai...Woh toh uss parvardigar ke khazanne ka nukta bhar bhi hissa nahin hai...Ager woh le sakta toh woh de bhi sakta hai...Ager uski azmaish pe khade hogaye, toh Jannnat paa jaoge..."  Never and ever think of suicide at any cost...Just keep ur faith in him and see how beautiful life shall be...

Kisi ko meri baat achi nahin lagi ho toh main maafi mangna chahunga...

Once again Sahil bro...Tooooo good... Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahaut khoob Cara jee aur Nikhar jee... Applause Applause
aapki baat bikul wajeeb hai.......... chhote bhai ab theek hai na
magar kabhi kabhi insaani majbooriyan itni bad jaati hai kii insaan chah kar bhi aisa kadam ootha leta hai jise wohg oothana nahin chahta
aur mere dost mere khayal se jo insaan apni jaan deta hai woh bujdil nahin hota .bas waqt ka maara hota hai
kyunki apni jaan dena koi asaan kaam nahin
waise tumhaara nazariya bahbut bahut pasand aaya is par kucch likhne kii koshish jaroor karoonga


na maut kii chahat hai , na zindgi se dushmani meri
mujhe toh kbhuda ne bhaja tha, keh , jab mann kare laut aana
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:51:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer