...~~Saqi teri Sharaab~~...

by HumTum on May 16, 2005, 03:33:28 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1233 times)
HumTum
Guest
saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj
hai pyaas un labon ki pareshaan kiye huye

qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
darya-e-dil main mere toofaan kiye huye

aaye nahin hai ab to woh gham gusaar bhi
mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye huye

laakhon hain har shaher main tu ek hi nahin
husn-e-badr pe dil ko Qurbaan kiye huye

mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye huye

gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
raahon main mat padho yun majmaa kiye huye


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Saaki Teri Sharaab Ne Muzko Sula Diya by harashmahajan in Ghazals « 1 2  All »
Na Naqab utha saqi by atul chauchan in Shayri for Khumar -e- Ishq
saqi ki har nigah by aziz hijazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
saqi (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
Sharaab Aur Teri Yaad {AS} by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Meena
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2005, 03:35:24 PM »
wowwww, sab kuch samajh me nahin aya  sad5  par jitna samajh aya bohot acha tha!!!!!

 :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: May 16, 2005, 04:53:33 PM »
Quote from: "HumTum"
saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj
hai pyaas un labon ki pareshaan kiye huye

qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
darya-e-dil main mere toofaan kiye huye

aaye nahin hai ab to woh gham gusaar bhi
mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye huye

laakhon hain har shaher main tu ek hi nahin
husn-e-badr pe dil ko Qurbaan kiye huye

mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye huye

gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
raahon main mat padho yun majmaa kiye huye




wah humtum,bohat khoob............. :!:
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2005, 05:34:06 PM »
Quote from: "HumTum"
saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj
hai pyaas un labon ki pareshaan kiye huye

qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
darya-e-dil main mere toofaan kiye huye

aaye nahin hai ab to woh gham gusaar bhi
mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye huye

laakhon hain har shaher main tu ek hi nahin
husn-e-badr pe dil ko Qurbaan kiye huye

mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye huye

gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
raahon main mat padho yun majmaa kiye huye




wah!!!!!!!!!  hum  tum  bahot  khoob.....................very  nice..........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2005, 08:31:35 PM »
NAZARE HO ITNE HASEEN
JI CHAHTA HAI MASTI ME CHUM LU
GAR PAHLU MEI HO SANAM MERA
JA KE SITARO KO BHI CHUM LU.
Logged
vitasta
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2005, 08:31:16 AM »
Quote from: "Meena"
wowwww, sab kuch samajh me nahin aya  sad5  par jitna samajh aya bohot acha tha!!!!!

 :D

same here!!!!!!!! :D  :D  keep it up!!!
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #6 on: June 26, 2005, 01:55:51 PM »
Quote from: "HumTum"
saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj
hai pyaas un labon ki pareshaan kiye huye

qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
darya-e-dil main mere toofaan kiye huye

aaye nahin hai ab to woh gham gusaar bhi
mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye huye

laakhon hain har shaher main tu ek hi nahin
husn-e-badr pe dil ko Qurbaan kiye huye

mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye huye

gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
raahon main mat padho yun majmaa kiye huye





aapki ye lines to hame maikhane ki yaad dila rahi hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2005, 03:31:14 PM »
Shukriya ...  Meena, Nidhi, waheed, Vitasta, fak, Rohit .....   tak gya !!!  
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:41:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer