Savera Kab Aayega ________ {Angel}

by angel4u on August 02, 2009, 05:40:32 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3385 times)
angel4u
Guest
Akeli Koyle Si Raat Mein Jhijakte Chaand Ko Takte Hue,
Bujh Gaya Aakhir Zindagi Ka Diya Savere Ki Raah Dekhte Hue,

Kuchh Uktaaye Hue Khwaab Dard Ki Chaadar Mein Paanv Simete,
Palkon Ke Kinaaron Mein Chhup Chhup Ke Sisakte Hue,

Mere Armaano Ki Qabr Par Ek Murjhaya Hua Haseen Gulaab,
Ek Pankhudi Ne Phir Bhi Ro Diya Achanak Muskurate Hue,

Na Jaane Kin Paheliyon Ke Jaal Mein Ulajh Kar Reh Gaye,
Bechain Duwayon Ke Qaarvaan Apni Manzil Talab Karte Hue,

Meri Peshani Pe Ye Laqeerein Tera Naam Kyon Nahi Leti,
Bujh Gayi Tere Haathon Ki Laqeerein Aakhir Dhundlate Hue,

Tujhe Nahi Pasand Kaali Raaton Ki Tanhaiyaan Is Baat Ka Ehsaas Hai,
Intezaar Hai Us Savere Ka, Aa Jaaye Jab Tu Is Basti Bhatakte Hue...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2009, 06:13:52 AM »
bahut achche huzena dear oems dino din dard main hi dhalti ja rahi hain

dar laga mujhko bahut tere jaane k baad
isliye ood li chadar roshni khone k baad
socha kii tum muskuraoge dekh band palkein meri
par tum toh ro pade mere jaane k baad

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2009, 06:18:24 AM »
Wow.. Angel Bahoot bahoot Khusbsoorat andaaz se yea rachna pesh ki hai bahoot bahoot khoob!


Salil Tumne bhi bahoot bahoot khoob likha hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: August 02, 2009, 07:42:24 AM »
bahut achche huzena dear oems dino din dard main hi dhalti ja rahi hain

dar laga mujhko bahut tere jaane k baad
isliye ood li chadar roshni khone k baad
socha kii tum muskuraoge dekh band palkein meri
par tum toh ro pade mere jaane k baad



Dard bhi to badhta jaa raha hai, to poems me chhalkega hi...

Thanks for liking, beautiful creation by you dear.

Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: August 02, 2009, 07:42:47 AM »
Wow.. Angel Bahoot bahoot Khusbsoorat andaaz se yea rachna pesh ki hai bahoot bahoot khoob!


Salil Tumne bhi bahoot bahoot khoob likha hai

Thank you so much sweetiee,,
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 02, 2009, 07:51:52 AM »
Akeli Koyle Si Raat Mein Jhijakte Chaand Ko Takte Hue,
Bujh Gaya Aakhir Zindagi Ka Diya Savere Ki Raah Dekhte Hue,

Kuchh Uktaaye Hue Khwaab Dard Ki Chaadar Mein Paanv Simete,
Palkon Ke Kinaaron Mein Chhup Chhup Ke Sisakte Hue,

Mere Armaano Ki Qabr Par Ek Murjhaya Hua Haseen Gulaab,
Ek Pankhudi Ne Phir Bhi Ro Diya Achanak Muskurate Hue,

Na Jaane Kin Paheliyon Ke Jaal Mein Ulajh Kar Reh Gaye,
Bechain Duwayon Ke Qaarvaan Apni Manzil Talab Karte Hue,

Meri Peshani Pe Ye Laqeerein Tera Naam Kyon Nahi Leti,
Bujh Gayi Tere Haathon Ki Laqeerein Aakhir Dhundlate Hue,

Tujhe Nahi Pasand Kaali Raaton Ki Tanhaiyaan Is Baat Ka Ehsaas Hai,
Intezaar Hai Us Savere Ka, Aa Jaaye Jab Tu Is Basti Bhatakte Hue...


Bahut Bahut Khooob Angel!!!

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: August 02, 2009, 12:48:02 PM »
bahut pyara likha hi aapne Angel ji.....dard bhi hai aur intzaar bhi...shayad
intzaar hai isliye dard badhta ja rha hai.....bahut khub Applause Applause Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: August 02, 2009, 01:14:55 PM »
Bahut Bahut Khooob Angel!!!

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahut shukriya Khwaish Ji... Aapke comment ka hi intezaar tha Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 02, 2009, 01:15:39 PM »
haan wo baat bhi sahi hai.

Dard badh gaya hai intezaar ke saath saath...
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: August 02, 2009, 02:07:14 PM »
Bahut accha likha hai tumne dear. Bahut dard hai is shayari mein.  sad5 Apna khayal rakhna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: August 02, 2009, 02:21:57 PM »
Thanks Roja Usual Smile
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: August 03, 2009, 08:14:43 AM »
KYA BAAT HAI     ANGEL JI.......

TANHA KHOI-KHOI SI RAHETI HUN MEIN,
DIN-RAAT ROI-ROI SI RAHETI HUN MEIN.

KYUN MERE HAR ARMAAN MURJA JAATE HAI,
KYUN DARD KA SILSILA THAM NAHIN JAATE HAI.

NA JAANE KAB AAYI THI ROSHNI ZINDAGI MAIN, MERI,
JAHAN TAK MUJHE YAAD HAI,ANDHERA HI DEKHTE AAYI HUN MEIN.

HAR TAMANAA TOOTI NAZAR AATI HAI, ROSHNI KI CHAHE MEIN,
KI ZINDAGI WIRAN HOTI JAA RAHI HAI, ANDHERE KI RAHA MEIN.

KYA MALUM ZINDAGI SE YEH ANDHERA JAAYEGA, KI NAHIN JAAYEGA,
BETAABI SE INTEEZAR HAI US GHADI KA, JAB "SAVERA  AAYEGA"




Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: August 03, 2009, 08:18:30 AM »
Wah bahut khoob Angle ji,Saahil ji,Cara ji,aap sabne kamaal ke likha hai,
mindblowing creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: August 03, 2009, 08:42:38 AM »
Akeli Koyle Si Raat Mein Jhijakte Chaand Ko Takte Hue,
Bujh Gaya Aakhir Zindagi Ka Diya Savere Ki Raah Dekhte Hue,

Kuchh Uktaaye Hue Khwaab Dard Ki Chaadar Mein Paanv Simete,
Palkon Ke Kinaaron Mein Chhup Chhup Ke Sisakte Hue,

Mere Armaano Ki Qabr Par Ek Murjhaya Hua Haseen Gulaab,
Ek Pankhudi Ne Phir Bhi Ro Diya Achanak Muskurate Hue,

Na Jaane Kin Paheliyon Ke Jaal Mein Ulajh Kar Reh Gaye,
Bechain Duwayon Ke Qaarvaan Apni Manzil Talab Karte Hue,

Meri Peshani Pe Ye Laqeerein Tera Naam Kyon Nahi Leti,
Bujh Gayi Tere Haathon Ki Laqeerein Aakhir Dhundlate Hue,

Tujhe Nahi Pasand Kaali Raaton Ki Tanhaiyaan Is Baat Ka Ehsaas Hai,
Intezaar Hai Us Savere Ka, Aa Jaaye Jab Tu Is Basti Bhatakte Hue...

Good one Angel Ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: August 04, 2009, 02:02:02 PM »
Wow Angellllllll....... yaar Jab se tu tera Operation karwa Ke Lauti hai.. Tab se tu aur Zyada Mast Likhne Lag gai hai.. Aakhir Baat kya hai..? Hehehe  tongue3 tongue3

Is baar Teri Ice-Cream Pakki..  Grin Grin

Bahut Hi Khubsoorat Rachna Likhi hai Dear.. Lafzon ko Behad Khubsoorati se Sajaaya hai.. Dil ke dard ko Bakhoobi Bayan kiya hai.. Bahut Bahut Khooooob.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:46:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer