Seh Chuka Hoon Main Apne MuQaddar Ke Dukh...

by Aryaan on May 25, 2005, 06:04:34 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4553 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: May 28, 2005, 05:55:26 PM »
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai ........Aryaan ji
and nice work by all...............

hasrate dil ki dil main hi reh gai hai sayad
ki aabh tuh koi ehsaash nahi hota hai mujhe

dard itna mila hai mujhe mere apno se
ki abh tuh dusmaan bhi lagte hai apno ki tarah mujhe

Thank you Sandhaya.....& Nice One.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Madhosh Ho chuka Hoon main by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Main bhool chuka hoon.....................................Rajan Kondal by RAJAN KONDAL in Shayri for Dard -e- Judai
nikki
Guest
«Reply #16 on: May 28, 2005, 06:01:30 PM »
Quote from: "Aryaan"
Seh chuka hoon main apne muQaddar ke dukh
Zindagi se kaho mujhe azaad ab kare

Dikhta nahi jinhein apne siwa kuch
Unn be-hison se kyun faryaad ab kare

Zulmatein itni dhaain keh ginn nahi sakta
Zakhm miley kahan kahan kyun yaad ab kare

Jab haQ maanga bhi dehshat gardi ban jaye
Tau kis tarha yahan koi jehad ab kare

Maayus ho chuka hoon apni tamannaon se ab
Jo chahe mera faisla saiyaad ab kare


again a good one Aryaan ji....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: May 28, 2005, 06:47:13 PM »
Thanks a lot Nikki..........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: May 28, 2005, 07:00:38 PM »
Quote from: "Aryaan"
Seh chuka hoon main apne muQaddar ke dukh
Zindagi se kaho mujhe azaad ab kare

Dikhta nahi jinhein apne siwa kuch
Unn be-hison se kyun faryaad ab kare

Zulmatein itni dhaain keh ginn nahi sakta
Zakhm miley kahan kahan kyun yaad ab kare

Jab haQ maanga bhi dehshat gardi ban jaye
Tau kis tarha yahan koi jehad ab kare

Maayus ho chuka hoon apni tamannaon se ab
Jo chahe mera faisla saiyaad ab kare


Wow Aryaan...very touchinf esp. these two shers :

Seh chuka hoon main apne muQaddar ke dukh
Zindagi se kaho mujhe azaad ab kare

Maayus ho chuka hoon apni tamannaon se ab
Jo chahe mera faisla saiyaad ab kare

Really very nice !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: May 28, 2005, 07:03:12 PM »
Bohat shukriya Talat........

Ruka huwa tha mera saans mere seene mein
Usay gale na lagata tau ghut ke marr jaata
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: May 28, 2005, 07:21:25 PM »
Nice Aryaan ...

Saansen bhi ruk ruk kar aati hain
In ankhon se nami nahin jaati hai
qadam bojhil, raaste hain uljhe se
koi manzil nazar ab nahin aat hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: May 28, 2005, 07:24:59 PM »
Bohat achey Talat....

Ab to zabt-e-gham ne pather kar diya warna Faraz
Dekhta koi ke dil ke zakhm jab aankhon mein they
[/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: May 28, 2005, 07:31:05 PM »
Thanks Aryaan n Good one again....

mohabbat main apni hume pathar bana gaya hai wo shakhs
pathraayi aankhon main lekin kuch khwaab hain rehne diye !!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #23 on: May 28, 2005, 07:59:21 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Aryaan n Good one again....

mohabbat main apni hume pathar bana gaya hai wo shakhs
pathraayi aankhon main lekin kuch khwaab hain rehne diye !!!
buhat khoob
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #24 on: May 28, 2005, 10:30:22 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Aryaan n Good one again....

mohabbat main apni hume pathar bana gaya hai wo shakhs
pathraayi aankhon main lekin kuch khwaab hain rehne diye !!!

Bohat khoob Talat.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: May 28, 2005, 10:32:32 PM »
Hum Gham ko sadayein dete hain
Aur phir bhi labon par Aah nahi
Hum Hanste hain, Zinda rehte hain
Par Jeene ki koi Chaah nahi
Hum dhoondh rahe hain manzil ko
Aur saamne koi Raah nahin
Ab Toote ga ya Sanmbhle ga
Iss Dil ki koi Parwaah nahi....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #26 on: May 28, 2005, 11:51:37 PM »
Quote from: "Aryaan"
Hum Gham ko sadayein dete hain
Aur phir bhi labon par Aah nahi
Hum Hanste hain, Zinda rehte hain
Par Jeene ki koi Chaah nahi
Hum dhoondh rahe hain manzil ko
Aur saamne koi Raah nahin
Ab Toote ga ya Sanmbhle ga
Iss Dil ki koi Parwaah nahi....
nice
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: May 29, 2005, 12:35:09 AM »
Thanks Naveed.................................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #28 on: May 29, 2005, 12:55:48 AM »
You welcome.................

hzaroon ghum miltey hain is rah e safar mein
phir bhi log kiun isi pe jntay huwe chltay hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: May 29, 2005, 01:03:10 AM »
Nice one Naveed....

Rait Ki Tarha Hath Se, Nikalti Chali Gayi
Zindagi Harr Lamha, Badalti Chali Gayi
Aziz They Mujhe Apne Asool Lekin Na Jaane Kyun
Naye Daur Ke Dhaanche Mein Yeh Dhalti Chali Gayi
Sehar Hone Pe Bhi Chraagh Woh Bhujne Nahi Deta
Idhar Main, Udhar Woh Shamma Bhi Jalti Cahli Gayi
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:39:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer