Shaam Ke Baad.

by majid on April 13, 2009, 09:22:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1741 times)
majid
Guest
      Shaam  Ke  Baad   Jab  Suraj   Dhal  Jaata  Hai.
      Tab  Teri  Yaadon  Ka  Charag , Jhal  Jaata Hai.

      Raat  Bhar  Dekhta  Hoon Tujhey Chand  Mein
      Subha  Hote  Hi  Phir Manzar , Badal Jaata Hai.

      Sochta Rehta  Hoon  Is  Qadar Main Tujhey, Ki
      Aahat  Aahat  Pe  Yeh  Dil,  Machal   Jaata  Hai.

      Jab  Kabhi  Chhukar Tujhey Guzarti  Hai Hawa
      Mehakti  Hain Saansen , Aur Phul Khil Jata Hai.

      Aisa To Nahi Ki Teri Duri Ka Ehsas Nahi Hume
      Aksr Ye Diwana Mom Ki Tarha ,Pighal Jata Hai.


                        ~Shihab



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shaam K Baad by yasir_sensitive in Ghazals « 1 2  All »
SHAAM KAY BAAD by muneeb in Shayri-E-Dard
SHAAM KE BAAD......................... by arzoo22 in Ghazals
shaam ke baad by NONAME in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 13, 2009, 09:52:23 AM »
wah wah Shihab .. bahoot khoob likha hai. superb!

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: April 13, 2009, 10:02:01 AM »
      Shaam Ke Baad Jab Suraj Dhal Jaata Hai.
      Tab Teri Yaadon Ka Charag Jhal Jaata Hai.

      Raat Bhar Dekhta Hoon Tujhe Chand Mein
      Subha Hote Hi Phir Manzar Badal Jaata Hai.

      Sochta Rehta Hoon Is Qadar Tujhe Mein, Ki
      Aahat Aahat Pe Yeh Dil Machal Jaata Hai.

      Jab Kabhi Chhukar Tujhe Guzarti Hai Hawaa
      Mehakti Hai Saanein Aur Phool Khil Jaata Hai.

      Aisa To Nahi Ki Teri Doori Ka Ehsaas Nahi Hume
      Aksar Ye Diwana Mom Ki Tarha Pighal Jaata Hai



Shihab Miyaan aajKal Shayri e dard Mein Kaafi Haath Aazma Rahe ho..Bade hi Chhote chhote lafzo k Saath Achi Likhi Hai Ye Nazm..Ehsaas,,ko Shaam k baad Jo Likha Hai,,Behtarin,,La-Raib bahot hi acha sacha Likha hai.

Allah Tuze Harr Ranj o Al'um - Gumm Se Mehfooz Rakhein.Amin   
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: April 13, 2009, 11:57:26 AM »
Majid Bhai.. Bahut Hi Umda Peshkash Hai..!! Lafzon ko Behad Khubsoorat Se Sajaaya hai aapne..!! Great Work.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: April 13, 2009, 04:28:23 PM »
Kasam khuda ki is kalam me to mujhe Ishq aur Dard dono hi sath nazar aaye.....wah Shihab wah bohat khoob. Dard ho to aisa ho warna na ho...... Clapping Smiley Clapping Smiley

Mera dard ho aur teri aashiqi ho

Aisi likhu ghazal, ke haste haste aasoo nikal pade...

-SG-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2009, 04:30:04 PM »
Too good Shihaab...

Teri tamanna mein na jaane kab zindagi ka har pal guzar jaata hai,
main rona nahi chahti hoon par kyon ye ashq bewafa ho jaata hai,

teri hi baahon mein jiye teri hi baahon mein aakhri saans aaye,
kya kahein isi khayal se sanam, meri zindagi ka aasra ho jaata hai...
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2009, 10:39:58 PM »
WAAH Shihab JEE.......
kya baat hai.... Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2009, 07:32:18 AM »
Thanks Shihab... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2009, 02:22:12 PM »
Very nice Shihab
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: April 19, 2009, 12:21:58 AM »
Bohat khoob Majid...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: May 07, 2009, 07:49:14 AM »
excellent work shihab ji,bahut khoob,keep it up.
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2009, 09:03:57 AM »
bahut hi umda likha hai Majid Bhai
maaf kijiyega zara der se nazar padi meri
Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: May 14, 2009, 03:07:43 PM »
      Shaam Ke Baad Jab Suraj Dhal Jaata Hai.
      Tab Teri Yaadon Ka Charag Jhal Jaata Hai.

      Raat Bhar Dekhta Hoon Tujhe Chand Mein
      Subha Hote Hi Phir Manzar Badal Jaata Hai.

      Sochta Rehta Hoon Is Qadar Tujhe Mein, Ki
      Aahat Aahat Pe Yeh Dil Machal Jaata Hai.

      Jab Kabhi Chhukar Tujhe Guzarti Hai Hawaa
      Mehakti Hai Saansein Aur Phool Khil Jaata Hai.

      Aisa To Nahi Ki Teri Doori Ka Ehsaas Nahi Hume
      Aksar Ye Diwana Mom Ki Tarha Pighal Jaata Hai



Waah...Bohot Khoob Majid
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 22, 2010, 09:42:44 AM »
Mashallah Bohat Hi Khusurat Nazm Likhi Hai Aapne Majid Bhai,.
Bohat Khoob,.
Allah Aapko Is Fann Se Aur Nawaaze Aur Khush Rakhe Aameen,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 22, 2010, 09:56:40 AM »
Waah Waah!!! Bahut bahut Khoob Majid Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:21:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer