***shaam***

by tabassum shakeel on December 31, 2006, 08:17:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 904 times)
tabassum shakeel
Guest
aankh bhar aai phir kyun tere naam se
dil bhi afsurda apna hai kuchh shaam se

tere aane se shaamen mehkatin thi jo
aaj bojhal hain saanse meri shaam se

ek naam aisa judta gaya shaam se
usake bin ham ajnabi se hue shaam se...........


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK SHAAM.................. by akela in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 »
har shaam....... by roshni246 in Shayri-E-Dard
Hum ne her shaam by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
shaam by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
-----/// Ab har shaam bas ek shaam hai /// ----- by ~Hriday~ in Shayri for Dard -e- Judai
Naya_Daur
Guest
«Reply #1 on: January 01, 2007, 05:05:56 AM »
superb tabassum.. bohaat dino baad aaye aor bohaat acha likha...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: January 02, 2007, 04:43:23 AM »
     thanx a lot jeet.... kam aapati hun zara par likha yahin  aaker jata hai ......

ek vaada jo kabhi kiya hi nahi
use ham tum nibhae jaate hain
jeena dushwar hai hame aur tumhe
phir bhi dono hi jiye jaate hain
tumne socha ki ham par koi ilazaam na laage
ham ko ye fikr tumko na koi kuchh bhi kahe
zindagi hai ki kat hi jaaegi
kya zaroori hai ki khushi se kate
sabto khush hain ki ham hain ranjeeda
han agar khush hue to sab naaraz
ek baar yun hi chalo ji daalen
sabko khush karke ham udas rahen
han magar ab jo kabhi phirse mile
ek vaada ye mera khud se hai
main to bas dil ki baat manungi
aankh me teri phir khushi hogi
ik nai phir ye zindagi hogi
saath saath ham chalenge rahon me
tu kahega phir mujhse vo baaten
jin pe main bol kuch nahi paati
sirf nazren meri jhuk jaatin hain
tera aqs le ke apni aankhon me
phool ariz pe khil phir jaate hain
aur tu zor se phir hansta hai
aur kahta hai ab mujhe dekho
ab nahi main karunga aisi baat
par nigaahen meri uthtin hi nahin
laakh tu kuchh bhi kahe
main to bas phir chup hi rahun
aur dhal jaae shaam khush ho ke
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #3 on: January 02, 2007, 06:18:36 AM »
Quote from: "tabassum shakeel"
aankh bhar aai phir kyun tere naam se
dil bhi afsurda apna hai kuchh shaam se

tere aane se shaamen mehkatin thi jo
aaj bojhal hain saanse meri shaam se

ek naam aisa judta gaya shaam se
usake bin ham ajnabi se hue shaam se...........





very nice one Tabassum ji.......!!!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #4 on: January 02, 2007, 06:31:06 AM »
Very nice both tabassum....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2007, 03:32:02 PM »
thanx alone bad and vikaas......................

SHAAM AAI JHOOM KE PHIR AANKH ME AANSUN MERE
SHAAM KO MAIN DEKH PAAUN KAISE KAH AB BIN TERE
DIL KE SAARE ZAKHM HANSATE DEKH KE HALAT MERI
JAAN KI YE KASHMAKASH BHI AANKH SE ZAHIR MERI
SHAAM BHI AFSURDA SI PHIR DHAL GAI YUN RAAT ME
AAJ BHI DIL KO YAQEEN HAI TERI JHOOOTHI BAAT ME
SHAAM AB ZYADA KAHAN HAIN ZINDIGI KI SHAAM HAI
WAQT E AKHIR LUB PE MERE EK TERA HI NAAM HAI
JANEJA AB HAM NAHI HAM TERI EK TASVEER HAIN
SEKADON TOOTE HUE KHWABON KI EK TAABIR HAIN
KHWAAB KYUN TOOTA HAMARA YE NA HAMSE POOCHHNA
NA KABHI AB TU PALAT KE MERI JANIB DEKHNA
AAH BHI NIKALE NA LUB SE DARD KA VO DOUR HAI
TU MOHABBAT ISKO NA KEHNA KE YE KUCHH AUR HAI ..........................

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:14:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer