-----/// Shaayad ///----- Hriday

by ~Hriday~ on October 06, 2012, 08:40:12 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1592 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
kaash kabhi koshish ki hoti
unhone mujhe samajhne ki
khuli kitaab thi meri zindagi
kuch chhipaa nahi, kuch dhakaa nahi
bas ek chehraa meraa jisme sab dikhta thaa
jo na dikhe wo main khud hi bataataa thaa

par afsos unhone kabhi dekhaa nahi
mere is chehre ko kareeb se
dekha bhi hoga shayad kabhi
par samajh na paayi wo khulaa sach

haan wo sach, jiska har shabd
cheekh cheekh ke kehta raha
"mujhe mohabbat hai"
main kartaa raha mohabbat ek tarfaa
aur wo har baar hasi me udaati rahi
main kehta raha , mujhe mohabbat hai
aur wo mazaakh samajhti rahi

kaash wo samajh paati meri baaton ko
kuch chhipaa to na thaa uski nazron se
main, meri zindagi, ek khuli kitaab thi
usko maaloom thaa ki main aisa hi hoon
jo mere dil me wahi mere hothon pe
main uske itne kareeb rahaa magar
wo samajh naa paayi kabhi mujhe

bas ek roz yunhi hasi hasi me
kisi aur ki ho ke chali gayi
doli uthi meri nazron ke saamne
main tadaptaa rahaa aur wo
thik waise hi hameshaa ki tarha
mujhe dekh muskuraati rahi

jaane kyaa baat thi
jaane kyaa raaz thaa
mere jeewan ke khuli kitaab ko wo
kabhi samajh hi naa paayi thi
yaa sach kuch aur thaa
wo samajhnaa hi nahi chaahti thi
wo meri honaa hi nahi chaahti thi

shaayad...shaayad....


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shaayad............. by zainzuh in Shayri-E-Dard
Shaayad........... by Khawaish1 in Miscellaneous Shayri
Shaayad by tamanna1 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
-----/// Dhyaan se dekha nahi shaayad /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
-----/// Shaayad hum muskuraate nahi ///-----Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq
sushilbansal
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2012, 12:39:31 AM »
Hriday ji sahi may zindgi hai hi khuli kitab.khas kar shayro ki bhav badlo ki tareh umar umar kar kagaz par utar hi jate hai.Mubarik
Sheel didi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 07, 2012, 01:23:39 AM »
waah waah kapil ji bahut khoob
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 07, 2012, 02:38:06 AM »
Behatreen soch ka nazaara
shayad..khoob
ye sawaal aksar toofan khada karte hain dil me
jo in raaho se do chaar hota hai
Applause
Logged
suman59
Guest
«Reply #4 on: October 07, 2012, 03:07:39 AM »
Quote
kaash kabhi koshish ki hoti
unhone mujhe samajhne ki
khuli kitaab thi meri zindagi
kuch chhipaa nahi, kuch dhakaa nahi
bas ek chehraa meraa jisme sab dikhta thaa
jo na dikhe wo main khud hi bataataa thaa

par afsos unhone kabhi dekhaa nahi
mere is chehre ko kareeb se
dekha bhi hoga shayad kabhi
par samajh na paayi wo khulaa sach

haan wo sach, jiska har shabd
cheekh cheekh ke kehta raha
"mujhe mohabbat hai"
main kartaa raha mohabbat ek tarfaa
aur wo har baar hasi me udaati rahi
main kehta raha , mujhe mohabbat hai
aur wo mazaakh samajhti rahi

Waah kya khoob likha aapne. dil kholkar rakh diya  Applause Applause
very nice.

Jab se meri nigahon ne dekha chera tera hai
Tab se meri zindagi ko ranjo game ne aa ghera hai
Ye toh khuda hi jaane kaun si kayamat thi hum par
Isme na hi kasur tera hai na hi kasur mera hai
Logged
vimmi singh
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2012, 06:06:02 AM »
waaaaaaaaaaaah Hriday ji, bahut khoob
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: October 07, 2012, 06:35:31 AM »
Wah kya baat hai     Hriday ji....

Yun toh main khuli kitab hun
"Shaayad" mujhe padha nahi
yaan mujhe samjha nahin...
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2012, 07:02:59 AM »
bahut khubsurati se ahsason ko shabdo main sanjoya hai Hariday ji aap ne.....hamari taraf se dheron dad kabool kijiye...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2012, 11:15:37 AM »
bohat khoob ..........
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #9 on: October 07, 2012, 11:19:32 AM »
wah kapil ji
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: October 07, 2012, 01:00:29 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
superb one....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: October 08, 2012, 08:04:27 PM »
bahut bahut shukriyaa Sushil ji....!!!

Hriday ji sahi may zindgi hai hi khuli kitab.khas kar shayro ki bhav badlo ki tareh umar umar kar kagaz par utar hi jate hai.Mubarik
Sheel didi
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 09, 2012, 09:07:30 AM »
bahut bahut shukriyaaa Saini ji...!!!

waah waah kapil ji bahut khoob
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 10, 2012, 09:36:12 AM »
bahut bahut shukriyaaa Mukesh ji....!!!

Behatreen soch ka nazaara
shayad..khoob
ye sawaal aksar toofan khada karte hain dil me
jo in raaho se do chaar hota hai
Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 11, 2012, 06:36:28 PM »
bahut bahut shukriyaa Suman ji .. aur aapne bhi khoob jawaab likha hai...!!!  Applause Applause Applause

tumhe  paayaa to lagaa  jaise maine saraa jahaan paa liyaa ho
tanhaa se safar  me  jeewan ke jaise koi hamsafar paa liyaa ho
bhatak rahaa thaa anjaan dagar pe jeewan ke ab tak tum bin
manzil ka pataa nahi, lagtaa hai tumhe hi mazil banaa liyaa ho


Waah kya khoob likha aapne. dil kholkar rakh diya  Applause Applause
very nice.

Jab se meri nigahon ne dekha chera tera hai
Tab se meri zindagi ko ranjo game ne aa ghera hai
Ye toh khuda hi jaane kaun si kayamat thi hum par
Isme na hi kasur tera hai na hi kasur mera hai

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:15:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer