Shairi for you

by muneeb on September 01, 2004, 08:11:48 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 729 times)
muneeb
Guest
mujh ko paana hai to phir mujh main utar
kar dekho
youn kinare se samandar nahi dekha jaata

youn to hum tanhai main dil ko saza dete hain
naam lekhte hain tera lekh k mita dete hain

woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha

raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha
Tum ko ankhon mein tasveer ki tarah rakhta hoon
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basana mujh ko


Baat karne mein tumhe jo mushkil ho mehfil mein
Mein samajh jaon ga nazar se batana mujh koTum ko

kaash ke mujh sey bhi kisiko pyar hota,
kaash ke mere liye bhi kisika dil bekarar hota,

kaash ke mujhe bhi koi apni yaadon mein laata
apne khwabon mein basata

ankhon mein chupaata

kaash ke mujhse bhi kabhi koi izhaar karta
kaash ke mere liye bhi koi bechaain hota,
ke mujhe bhi koi apne dil mein utarta ,

apni sanson mein samata
meri duniya ko mehkaata

Ansoo" her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein,
Ansoo" bahane se dil ka boejh halka hota hai,
Ansoo' khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein,

Ansoo" dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein,
Ansoo" se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SMS Shairi by digamber in SMS , mobile & JOKES
Aap ki shairi (NM) by vb in Shayri-E-Dard
shairi-e--zindgi (NAM) by poonamA in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
New to Shairi !! by abhikamagic2310 in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
shairi......... by vb in Share Poetry You Like
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2004, 08:13:57 PM »
wah!!!! nice muneeb ji....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: September 02, 2004, 06:18:42 AM »
nice one muneeb...........
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #3 on: July 02, 2005, 06:53:36 PM »
Quote from: "muneeb"
mujh ko paana hai to phir mujh main utar
kar dekho
youn kinare se samandar nahi dekha jaata

youn to hum tanhai main dil ko saza dete hain
naam lekhte hain tera lekh k mita dete hain

woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha

raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha
Tum ko ankhon mein tasveer ki tarah rakhta hoon
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basana mujh ko


Baat karne mein tumhe jo mushkil ho mehfil mein
Mein samajh jaon ga nazar se batana mujh koTum ko

kaash ke mujh sey bhi kisiko pyar hota,
kaash ke mere liye bhi kisika dil bekarar hota,

kaash ke mujhe bhi koi apni yaadon mein laata
apne khwabon mein basata

ankhon mein chupaata

kaash ke mujhse bhi kabhi koi izhaar karta
kaash ke mere liye bhi koi bechaain hota,
ke mujhe bhi koi apne dil mein utarta ,

apni sanson mein samata
meri duniya ko mehkaata

Ansoo" her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein,
Ansoo" bahane se dil ka boejh halka hota hai,
Ansoo' khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein,

Ansoo" dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein,
Ansoo" se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein.



It's really great muneeb
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 04:06:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer