sham ki koi subah nahi hoti

by Pooja on December 08, 2006, 05:02:32 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4042 times)
niraj_191
Guest
«Reply #15 on: December 16, 2006, 09:32:52 AM »
sapno me aakar me ishq jatana nahi chahta
haqikat me to me aapko satana nahi chahta
is dil ki bekarari me batana nahi chahata
mere dard ko dekhkar kisi ko taklif hogi, yahi soch kar me rona nahi chahta
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Suraj To Niklega Subah Ko Sham Ko Dhal Jayega by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
Jiske Yaadon Mein Meri Subah Aur Sham Hai. by Rajnish.raaj in Shairi - E - Zindagi
Subah O Sham Wo Mujhe Yun Yaad Aate Rahe, by Rajnish.raaj in Shayri-E-Dard
sham jo fir nahi aayi by premshankar in Shayri for Khumar -e- Ishq
<< @ Meri subah hoti @ >>> by niru@patel in Hindi Poets
Pooja
Guest
«Reply #16 on: December 16, 2006, 09:39:25 AM »
Nice Niraj ji...

ahsaas ko jatlaya nahi jaata
payaar kisi raah chupaya nahi jaata
tadap uthate hai jab armaan dil ke
kisi haal dil ko samjhaya nahi jaata
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #17 on: December 16, 2006, 09:44:15 AM »
dil ke ehsaso ko jatane ki jarurat kya hai
pyar hai to hai.. batane ki jarurat kya hai
jo log bina kahe samaj jate hai
use hal-e-dil sunane ki jarurat kya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 16, 2006, 09:49:09 AM »
payaar had se jayaada hai kaya kare
dilbar dedard had se jayada hai kaya kare
judai uski her pal dil ko tadpaati hai
mout ki abhilasha mai, pal pal zindagi rulaati hai
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #19 on: December 16, 2006, 09:57:14 AM »
kisiko had se jyada pyar kiya mat karo
hal dil ka yun sabko sunaya mat karo
dard ka kafila agar badh chuka hai
to phir yoindia se jaya mat karo
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: December 16, 2006, 10:00:47 AM »
payaar kabhi had dekh kar nahi hota hai
dard uthata hai to dil bahoot rota hai
dard likhwa jaata hai na jaane kaya kaya mujse
jaana to khair is duniya se bhi her ek ko hota hai
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #21 on: December 16, 2006, 10:06:01 AM »
pyar ka matlab vo bhi janata hai
ye bat dil nahi manata hai
gamo ka pahad to yaha bhi hai
par yaha kon kisiki sunta hai?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: December 16, 2006, 10:09:02 AM »
jab dilbar se dil toot jaata hai
her ek aitbaar se yakin uth jaata hai
samjh ko kha jaati hai, shaq ki andhi
phir wahan sun.ne ko aor kaya rah jaata hai
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #23 on: December 16, 2006, 10:16:26 AM »
meri bat ko sunne ke liye kano ki jarurat nahi
dar dene ke liye ab saitano ki jarurat nahi
ab mere aashiyane ko mehmano ki jarurat nahi
jeene ko aaj se kisi armano ki jarurat nahi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: December 16, 2006, 10:16:55 AM »
dil ki baat hai yeh kuch is tarah ki jaaye
aaiene badle dil ke per surat na badalne paaye
mita de har us nishaan ko hum dil ki zameen se
koi ab shikva na dard ki baat  na keh paaye !!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #25 on: December 16, 2006, 10:23:12 AM »
kaise kahe tere bina hum kaise ji paye
bina dard ke koi kaise rahe paye
aaj bhi logon ko yakeen nahi
tere diye dard ko hum kaise sahe paye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: December 16, 2006, 10:25:41 AM »
bahoot khoob ranju ji and Niraj ji...

dard milte gaye, sahen hote gaye
jakham milte rahe, hum rote rahe
kab naramdil, pathar dil mai badal gaya
yahi soch soch, preshan hum bhi hote rahe
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #27 on: December 16, 2006, 10:32:00 AM »
aaj unhone is dil ko pathar ka khitab diya hai
hum ne bhi unki wafaon ka hishab kiya hai
wafa parasti hamari yad dila kar
hame aaj unhone betab kiya hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: December 16, 2006, 10:42:24 AM »
ab baato se sirf chal na paaye zindagi
kuch khawaab dil mein yun hi palte hain

beet raha hai jo pal aa aaj us mein jee le
dekhe kal dil ke zakham kaise tere mere bharte hain !!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #29 on: December 16, 2006, 10:51:59 AM »
tere yad me aanko se savan aaj bhi baraste hai
tu kya jane hum milne ko kitna tarste hai

dard lahu bankar aankhose ubharte hai
phir bhi aap kuch nahi karte hai
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:50:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer