Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,.

by Jaanasheen on November 29, 2008, 03:39:59 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 13202 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: December 13, 2008, 02:36:20 PM »
Too good..




Ye Kya Ke Har DaM Kisi Ki Minnatein Karna,
Kya Isi Ko Kehte Hai Mohabbatein Karna,

Jo Apni QisMat Mein Hai Milega Wohi,
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shikayatein Karna,

Ye Pagalpan Nahi To Aur Kya Hai Phir,
ZaMeen Ke Hokar AasMan Se Bagawatein Karna,

Bahut Kar Chuka Hai Logonse Pyaar Ye Dil,
Ab Koi Sikhaye Isko Bhi Nafratein Karna,

Pehle Yaad Karna Use Phir Rote Rehna,
Jaane Kab Chhodega Dil, Ye Harkatein Karna...
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #31 on: December 14, 2008, 05:58:00 AM »
Azeem bhai ,sihab bhai,

Vaakai bahut kamal ki rachnaaye se aapne rubaru karwaya,shukriya.

Angelji,

Bahut hi shaandar peshkash aap ki taraf se aayi hein.behtareen.

Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: December 14, 2008, 06:25:23 AM »
Thanks Prateek...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: December 14, 2008, 06:25:37 AM »

Kabhi Duniya Se Ghabra Ke, Masaib Se Kabhi Thak Kar,
Bahut Mayoos Si Ho Ke Kabhi Tanha Ho Jaati Hoon,
Kisiko Sath Na Paa Kar Jo Kabhi Dar Si Jaati Hoon,
Koi Chupke Se Aa Ke Kaan Mein Mere Ye Kehta Hai,
"Udaas Mat Ho HaMesha Se Saath Hoon Main TuMhare"
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Ye Sochte Hue Kabhi Ho Main Ulajh Si Jaati Hoon,
To Apne Aap Se Hi Jhunjhla Ke Puchh Leti Hoon,
Mujhe Lagta Hai Mujhe Dekhke Wo Muskuraya Hai,
Main Uski DhiMi Si Muskaan Ko Mehsoos Karti Hoon
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Kabhi Ye Sochti Hoon Wo Meri Sochon Ka Hissa Hai,
Kabhi Mehsoos Hota Hai Wo Mere Dil Mein Rehta Hai,
Mere Khwabon Ko Mehkata Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Mere Sheron Ko Sajata Mere Lafzon Mein Rehta Hai,
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!!!

Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: December 14, 2008, 06:26:03 AM »


Aaj Phir Barso Baad Mile Ho, Aaj Phir Wapas Jaa Rahe Ho,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Main Ro Raha Hoon, Aaj Phri TuMko Kho Raha Hoon,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phri Kuch Dareeche Hai Palte Hai, Aaj Phir Kuch Din Ulte Hai Maine,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Wo ZakhM Purane Yaad Aaye, Aaj Phir Wo Barson Ke Yaarane Yaad Aaye,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Hawa Chal Rahi Hai, Aaj Phir Diye Bujh Rahe Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Saath Tanhayi Hai, Aaj Phir Chaand Raat Aayi Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir ShaaM Dhal Gayi Hai, Aaj Phir Raat Machal Gayi Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Ek Hansi Sunayi Deti Hai, Aaj Phir Ek Tasveer Dikhayi Deti Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Aankhein NaM Hai, Aaj Phir In Mein GaM Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Akela Hoon Main, Aaj Phir Tera Hi Hoon Main,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir LaMbe Tanha Safar Hai, Aaj Phir Maut Hai Mujhko Khabar Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Ek Ehsaas Jaag Raha Hai, Aaj Phir Dil Duniya Se Bhaag Raha Hai,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Main Tujhko Maang Raha Hoon, Baaghi Ho Kar Bhi Bahisht Chah Raha Hoon,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: December 14, 2008, 06:27:07 AM »
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hai,
To Uske Shaher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Halon Se,
So Apne Aapk Barbad Karke Dekhte Hai,

Suna Hai Dardki Ghahk Hai ChasM Naz Uski,
So HuM Bhi Uski Gali Se Guzar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair-O-Shairy Se Shughaf,
To HuM Bhi Mojzey Apne Hunar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jharte Hai,
Ye Baat Hai To Chalo Baat Karke Dekhte Hai,

Suna Hai Raat Use Chand Takta Rehta Hai,
Sitare BaaM-Falak Se Utar Kar Dekhte Hai,

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hai,
Sun Ahi Araatko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Chasher Hai Uski Gazal Si Aankhein,
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Raat Se Badh Kar Hai Kaklain Uski,
Suna Hai ShaaM Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uski Syah ChashMagi QayaMat Hai,
So Usko SurMa Farosh Aah Bhar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uske Labon Se Gulaab Jalte Hai,
So HuM Bahar Pe IlzaaM Dher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Aayina TaMsal Hai Jabeen Uski,
Jo Sada Dil Hai Use Ban Sanwar Ke Dekhte Hai,

Bas Ek Nigaahse Luta Hai Qafla Dilka,
So Raah Raawan-E-TaMaM Bhi Dar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uske Shabistan Se Mutsil Hai Behshat,
Maseeh Udhar Ke Bhi Jalwe Idhar Ke Dekhte Hai,

Ruke To Gardishein Uska Tawal Karti Hai,
Chale To Usko ZaMane Theher Ke Dekhte Hai,

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbe Hi Sahi,
Agar Wo Khwab Hai To Tabeer Karke Dekhte Hai,

Ab Uske Sheher Mein Thehre Ke Kuch Kar Jaye,
Faraz Aao Sitare Safar Karke Dekhte Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: December 14, 2008, 06:27:41 AM »

Jo TuMhare Sath Hua TuM Kehte Chalo,
Jo HaMare Sath Hua HuM Keh Nahi Sakte,

TuM Apne Dilka Haal Chaho To Shoq Se Sunao,
HuM Apne Dil Ka Haal Bayan Kar Nahi Sakte,

Ajab Haal Hai QisMaton Ka HaMari,
Ab Kya Batayein TuMko Ke Bata Nahi Sakte,

Chaha Hai HuMne Bhi Ek Haseen Ladki Ko,
Par Darta Hai Dil Ke Shayad Use Paa Nahi Sakte,

HuM Din Bhule Ab Har Pal,
Use Sochte Rehte Hai,
Khuda Jaane Kahan Hai Wo,
Use Dhundte Rehte Hai,

Dar Hai Ke Dhunde To Layenge HuM Usko ZaMane Mein,
Magar Dhundne Ke Baad Bhi Izhaar Kar Nahi Sakte,

HuM Apne Dilki Bechaini To Jante Hai AaMir,
Magar Uske Dil Mein Kya Ho Abhi Kuch Keh Nahi Sakte,

Ek Muhtasir Si Mehfilein Mein Pehli Baar Mili Thi HuMko,
Ab Mile Ya Na Mile Kuch Keh Nahi Sakte,

Apne Baare Mein Puchha To Kaha "Achhe Lage Ho HuMko"
Magar Is Achhe Lage Alfaaz Ko Mohabbat Keh Nahi Sakte,

Jo TuMhare Sath Hau Chaho To Keh Do,
Jo HaMare Sath Hua HuM Keh Nahi Sakte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: December 14, 2008, 06:28:16 AM »

Shaoor-E-Zeest Se Jab HuM KalaM Hote Hai,
Fana Ke Bojh Ko HuM Aansuon Se Dhote Hai,

Khushi Ke Phool Bas Ek Pal Mein Sookh Jaate Hai,
Chalo Hayat Mein Kuch Talkhiyan Parote Hai,

HaMari Neend HaMesha Ki Neend Hoti Hai,
HuM Ahl-E-Dard To Sirf Ek Baar Sote Hai,

Zara Si Der Mein Mulk-E-AdaM Ke Sannate,
Riday Waqt Ke Saare Nishan Dhote Hai,

Wafa Ki Raah Mein Chalta Nahi Hai Saath Koi,
Kya Rone Wale HaMesha Akele Hote Hai,

Wo Ja Chuka Hai To Kya GaM Ke Sabko Jana Hai,
Hasan HuM Isliye DaMan Ko Kyon Bhigote Hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #38 on: December 14, 2008, 02:44:55 PM »
Waah Waah, Huzena Ji,.
Aap Aaye Is Thread Mein Aur Bahaar Aa Gayi,.
Bohat Achchi nazmein hain,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #39 on: December 14, 2008, 02:45:49 PM »
zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga

tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga

apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga

teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

__________________-Qateel Shifaai-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: December 30, 2008, 06:45:15 PM »
Bohat Hi Achcha Likha Hai Majid Bhaiya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #41 on: December 30, 2008, 06:55:51 PM »


karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aaon use


Nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: December 30, 2008, 07:20:16 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

sabhi ne ke se bar kar ek gazal yaha share ki hai... Good thread!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: December 30, 2008, 07:26:24 PM »
Shukriya Didi,.
Aap Bhi Share Karo, Dil Ko Choone Waali Shayaris,.
Ya Ghazlein,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #44 on: December 30, 2008, 08:53:11 PM »
Arrey, Jaanasheen Ji, yeh tou bahut hii khoobsurat thread hai Applause Applause

What a lovely collection of poems. Sach mein dil ko chhoone wali.


Shihab ji, aapki choice bhi badi kamaal ki hai Applause Applause
 

Very nice contribution by Angel Ji and Honey Ji Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 02, 2025, 04:22:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer