Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,.

by Jaanasheen on November 29, 2008, 03:39:59 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 13036 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #45 on: December 30, 2008, 08:59:44 PM »
Arrey, Jaanasheen Ji, yeh tou bahut hii khoobsurat thread hai Applause Applause

What a lovely collection of poems. Sach mein dil ko chhoone wali.


Shihab ji, aapki choice bhi badi kamaal ki hai Applause Applause
 

Very nice contribution by Angel Ji and Honey Ji Applause Applause


Shukriya Deepati Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #46 on: December 30, 2008, 09:02:26 PM »


dil-e-nadan tujhe hua kya hai
akhir is dard ki dawa kya hai

ham hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majara kya hai

main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash pucho k mudda kya hai

jab k tujh bin nahi koi maujud
phir ye hangama, ai Khuda kya hai

ye pari chehra log kaise hain
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai

shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai

sabza-o-gul kahan se aye hain
abr kya chiz hai hawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummid
jo nahi jante wafa kya hai

han bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai

jan tum par nisar karta hun
main nahi janta dua kya hai

main ne mana k kuch nahi 'ghalib'
muft hath aye to bura kya hai


Mirza Ghalib
Logged
Deepati
Guest
«Reply #47 on: December 30, 2008, 09:03:40 PM »
Ek gazal meri pasand ki...


Ai mere ham-nasheen chal kahin aur chal, is chaman mein ab apna guzaara nahin
baat hoti gulon tak tou sah lete ham, ab tou kaanton pe bhi haq hamaara nahin

aaj aaye ho tou kal chale jaaoge, yeh mohabbat tou apni gawaara nahin
umar bhar ka sahaara bano tou bano, do ghadi ka sahaara sahaara nahin

di sadaa daar par aur kabhi tuur par, kis jagah maine tumko pukaara nahin
thokrein khilaane se kya faayda, saaf kah do ki milna gawaara nahin

gulsitaan ko lahoo ki zaroorat padi, sabse pahle hii gardan hamaari katii
phir bhi kahte hain mujhse yeh ehl-e-chaman, yeh chaman hai hamaara tumhaara nahin


"Qamar Jalawi"
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #48 on: December 30, 2008, 09:05:46 PM »
Mashallah !

Bahut khoob everyone Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #49 on: December 30, 2008, 09:09:58 PM »
Nice ones Shihab ji, Jaanasheen Bhai and Deepa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: December 30, 2008, 09:10:36 PM »
Bohat Khoob Deepati Ji,
Nice Sharing Yaar,.

Aur Rajbir Bhaiya Shukriya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #51 on: December 30, 2008, 09:14:35 PM »


bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs
hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs

tamam rang mere aur sare khwab mere
fasana kah k fasana bana gaya ik shakhs

main kis hawa main urun kis faza main lahraun
dukhon k jal har-su bicha gaya ik shakhs

palat sakun main na age barh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shakhs

muhabbaten bhi ajib us ki nafraten bhi kamal
meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs

wo mahtab tha marham-ba-dast aya tha
magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs

khula ye raz k aina-khana hai duniya
aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs


NM
Logged
Deepati
Guest
«Reply #52 on: December 30, 2008, 09:15:44 PM »
Shukriya, Jaanashaan Ji, Rajesh Ji aur Rajbir Ji

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #53 on: December 30, 2008, 09:23:16 PM »
U Are Welcome Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #54 on: December 30, 2008, 09:24:37 PM »
Aye Mohabbat, Tere Naam Se Anjaan Hoon Main,.
Tere Sitam Tere Kehar Se, Bohat Pareshaan Hoon Main,.

Khushi Ko Khatam Karne Ki, Tu Mujhe Dawaa Lagti Hai,.
Jise Ye Rog Lag Gaya, Usko Na Kisi Ki Duwaa Lagti Hai,.

Ranj-o-Gham Tere Saathi Hai, Tanhaai Tera Shehar Hai,.
Phir Aye Haseen Balaa, Tujhpe Har Kisi Ki Nazar Hai,.

Tu Hi Bataa, Kahaan Tak Tune Kisi Ka Saath Nibhaaya Hai,.
Judaai Dekar, Ya Bewafaai Dekar, Logon Ko Sataaya Hai,.

Aaj Khul Kar "Azeem, Tujhpar Tohmatein Lagaaye Ga,.
Mohabbat Karne Waalon Ko Bas Mitna Hai,.
Mohabbat Is Duniya Mein Haseen Fitna Hai,.

______________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: December 30, 2008, 09:25:21 PM »
wah kaya baat hai lil bro... ajj to her jagah app he chaye hue hai.... bahoot khoob!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: December 30, 2008, 09:31:20 PM »
wah kaya baat hai lil bro... ajj to her jagah app he chaye hue hai.... bahoot khoob!!

Shukriya Didi Jaan,.
Waise Pehli Baar Yoindia Ka Nazaar Raat Ko Kar Raha Hoon,.
Aap Bhi Postings Karo Na,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: December 30, 2008, 09:32:49 PM »

Bujh Rahe The DiYe Gir Rahe The Shajjar ,Log Hanste Rahe,.
Doobta Jaa Raha Tha Kisi Ka Nagar, Log HansTe Rahe.

Apne Khuwabon Ke Raize Samaite Hue Main Tere Shehar Main
Jis Gali Se Bhi Guzra Har Ik Mordh Par, Log HansTe Rahe.

Teri Yaadon Ka Ik Kaarwaan Har Qadam Mere Hamraah Tha,.
Meri Tanhaiyo Pe Magar Bekhabar, Log haste Rahe,.

Phr Wohi Saaneha Kal Zameen Par Hua,
Jh0npra Jal Raha Tha Kisi Ka Magar,Log HansTe Rahe.

Uske Naazuk Murjhaye Hue Haath0n Main Mehandi Sulagti Rahi,
Aur KhushYan Manaate Hue Raat Bhar,Log HansTe Rahe.

Uske Gham Main SisSakti Rahi Zard Patt0n Main Chhup Ke Hawa,
Jiske Hont0n Pe Pheeki HanSi Dekh Kar,Log HansTe Rahe.

Likh Ke Naam Uska Ghar Ki Har Ik Cheez Par Hum Sajate Rahe,
Dekh Ke Ghar Ke Deewar-0-Dar,Log HansTe Rahe !!


Nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: December 30, 2008, 09:33:54 PM »
Mer itani fav. gazals hai ki soch main he rah gai kon se wali karu...

Lijiye abhi ek apni fav. gazal post kar rahi hu... shayad apko bhi pasand aaye:



Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey,
Apni wafa ka soch kay anjaam ro padey !

[Whenever somebody talked about love, we cried,
Thinking about the outcome of our sincerity, we cried !]

Har shaam yeh sawaal, mohabbat say kya mila,
Har shaam yeh jawaab, ki har shaam ro padey !

[Every evening I have this question, what did I get from Love,
Every evening I get the answer, that I cried every evening !]

Rah-e-wafa mein hum ko khushi ki talaash thi,
Do gaam hi chalay thay ki har gaam ro padey !

[We were searching for happiness on the road of sincerity,
We had just traveled few steps, and we cried at every step !]

Rona naseeb mein hai to auron say kya gila,
Apnay hi sar liya koi ilzaam, ro padey !

[If crying is in our fate, then why should we have any complaint with anybody,
We held ourselves responsible for our deeds, and cried !]

Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey,
Apni wafa ka soch kay anjaam ro padey !

- Sudarshan Fakir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #59 on: December 30, 2008, 09:36:55 PM »
Ye Meri Bhi Fav8 Hai Didijaan,.
Thanks For Sharing Didi,.
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:47:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer