Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,.

by Jaanasheen on November 29, 2008, 03:39:59 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Author  (Read 13320 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #60 on: December 30, 2008, 09:41:58 PM »


huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu


Ahmed Faraaz-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #61 on: December 30, 2008, 09:43:35 PM »
   
Yah lines kabhi is gazal ko najar main rakhte hue likhi thi maine:

Admi admi ko kaya dega
jo bhi dega wo khuda dega


wafa ke naam per dete rahe jo umarbhar dhoka
ek din tujhko wafa ka matlab wo samjha dega

zindagi rahi sari teri fareb ki sathi
khud ka yah fareb ek din tujhe hilla dega

Mare marne pe, wo ajj jo muskuraya hai
Ek din apni muskurahat per, khud hi ro dega

ansuo ki keemat laga le ajj tu bhi
ek din yah sari keemat, khud hi chuka dega

Us se puchega jab koi haal mera
Wo khud hi apna sir jhuka dega

Le kar dekh le aor bhi imteehan mere
Sabar mera tujhe hilla dega

Dil toota hai jee bhar ke ro le POOJA
Jisne dard diya, wo hi ek din dawa dega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: December 30, 2008, 09:45:03 PM »
One of my fav, gazal from one of my Fav. Movi....Umrav Jaan

ye kyaa jagah hain dosato, ye kaun saa dayaar hain
had-ye-nigaah tak jahaa, gubaar hee gubaar hai

ye kis makaam par hayaat muz ko leke aa gaee
naa bas khushee pe hain jahaa, naa gam pe ikhtaiyaar hai

tamaam umar kaa hisaab maangatee hain jindagee
ye meraa dil kahe to kyaa, ye khud se sharmasaar hai

bulaa rahaa hain kaun muz ko, chilamanon ke us taraf
mere liye bhee kyaa koee, udaas bekaraar hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #63 on: December 30, 2008, 09:49:25 PM »
Jo puchhata hai koi surkh kyon hai aaj aankhen
To aankh malke main kehta hoon raat so na saka
Hazaar chaahu magar ye na keh sakunga kabhi
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka 

Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Sau rang mein jisko socha tha, sau roop mein jisko chaaha tha
Sau roop mein jisko chaaha tha
Wo jaane ghazal to rooth gayi ab uska haal sunaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Aawaaz kisiko de lekin ek naam tumhara honton par
Ek naam tumhara honton par
Har shakal se ubharo tum hi tum yu khud ko magar behalaana kya 
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya marr jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Raaaton ka safar hai din ke liye aur dil mein tamanna raaton ki
Aur dil mein tamanna raaton ki
Jab paon mein raaste kho jaaye phir rukna kya ghar jaana kya
Jab chaahanewala koi nahi  phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #64 on: December 31, 2008, 03:23:14 PM »
Dil Ka Dard Tum Samajhte Nahin..
Khuun Ke Ansuu Rota Hai Yeh Dil,
Tum Jaante Nahin...

Kabhi To Mere Dil Ka Haal Jaan lo...
Kya Hain Is Dil Ke kwaish..
Kabhi To Meri Muhabbat Ko Pehchaan lo...

Par afsoos...

Dil Ka Dard Tum Samajhte Nahin...

Raat Din Teri Yaad Mein Rota Hai Dil
Tujhe Paane Ki Aas Mein Tarapta Hai Dil...
Tujhe Dekhne Ko Yun Machalta Hai Yeh Dil...

Par Afsoos...

Dil Ka Dard Tum Samajhte Nahin...
Khuun Ke Ansuu Rota Hai Yeh Dil...Tum Jaante Nahin...


(nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: December 31, 2008, 04:28:25 PM »
good sharing Rajesh, Shihab and Sonia
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #66 on: January 01, 2009, 12:08:53 AM »
Bohat Achche Poooja Didi,.
Majid Bhai,.
Rajesh Bhai,.
Sonia JI,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #67 on: January 01, 2009, 12:16:59 AM »
good sharing Rajesh, Shihab and Sonia
Thanks Pooja Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #68 on: January 01, 2009, 12:20:24 AM »


apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun


Parveen Shakir
Logged
Deepati
Guest
«Reply #69 on: January 02, 2009, 03:58:35 AM »
Very nice, Jaanasheen Ji, Pooja Ji, Rajesh Ji, Shihab Ji aur Sonia Ji
Logged
Deepati
Guest
«Reply #70 on: January 02, 2009, 04:04:01 AM »
Daastan-e-gam-e-dil unko sunayi naa gayi
baat bigadii thi kuch aiski ki banayi naa gayi

sab ko ham bhool gaye josh-e-junoonen lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulayi naa gayi

ishq par naa chala didaar-e-tar kaa jaadu
usne jo aag laga dii woh bujhayi naa gayi

kya uthayegi saba khaak meri us dar se
yeh qayamat tou khud unse bhi uthayi naa gayi


"Jigar Moradabadi"
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #71 on: January 02, 2009, 08:59:57 AM »
Good Sharing Yaar,.
Bohat Achchi Shayari Hai Ye,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #72 on: January 02, 2009, 09:03:52 AM »
Shukriya, Jaanashaan Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #73 on: January 02, 2009, 09:08:58 AM »


bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chin k kaun aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu
k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigarta hai "Zafar" se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi

-Bahadur Shah Zaffar-
Logged
Deepati
Guest
«Reply #74 on: January 02, 2009, 09:13:26 AM »


bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chin k kaun aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu
k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigarta hai "Zafar" se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi

-Bahadur Shah Zaffar-


Jaanashaan Ji, this ghazal is one of my favourite. 

Thanks for sharing Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:52:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer