Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,.

by Jaanasheen on November 29, 2008, 03:39:59 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Author  (Read 13244 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #75 on: January 04, 2009, 09:24:30 PM »
Bohat Badhiya Mere Bhai,.
Nice Sharing Yaar,.

Ek Nahi Mere Seene Me To Hazaaron Dard Palte Hain,.
Tabhi To Mere Muskuraane Par Ye Saare Log Jalte Hain,.

Maine Rishton Ko, Sachcha Samjha, Rishton Ki Kadar Ki,.
Maloom Na Tha, Ke Rishte Bhi Mausam Ki Tarah Badalte Hain,.

Ab Meri Hasi Ko Dekhkar, Tum Ye Na Samajhna ke Main Khush Hoon,.
"Azeem, Ke Aansoon Bhi Yaar, Ab Darr Darr Ke Nikalte Hain,.

___________________________________________-Jaanasheen.

Dil Se Ek Sachchi Koshish,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #76 on: January 05, 2009, 09:47:02 PM »
Shukriya Mere Bhai,.
Aur Subhan Allah,.
Kya Khoob Sharing Ki Hai Tumne,.
Mazaa Aa Gaya,.
Aur Wakhaai Dil Choo Gayi Ye Shayari Tumhaari/.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #77 on: January 05, 2009, 09:51:04 PM »
NAZAR ko Pehchaan le Wo Nazar Chahiye........
Dil mai jo utar jaye wo Asar Chahiye.......
Pyar ki Raah Main jo Kaam Aaye Kabhi......
Mujko mere Khuda Wo Sabar Chahiye..........

In Hawao ko Thahar Jaane do Abhi.....
In Fizao se Guzar Jaane do Abhi.....
Mausam Na le Ab Karwate.......
Ruk Jaaye Waqt abhi wo Asar Chahiye.......

Kuch Kahe Bina Sabkuch Keh Jaane Do......
Kadmo ko abhi thoda aur Ladkhadane do.....
Hosh Mai na Main Aa Jaoo Ab Zara.......
Dil Ko mere Ab na Koi Fikar Chahiye..

NM
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #78 on: January 05, 2009, 09:51:42 PM »
Very nice sharing Jaanasheen Bhai aur Shihab Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #79 on: January 05, 2009, 10:01:35 PM »
Very nice sharing Jaanasheen Bhai aur Shihab Ji

Shukriya Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #80 on: January 05, 2009, 10:09:03 PM »
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker

Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

NM
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #81 on: January 05, 2009, 10:21:19 PM »
Another nice sharing Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #82 on: January 05, 2009, 10:24:32 PM »
Shukriya Bhai,.
Jo Aap Pardh Rahe Ho,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #83 on: January 07, 2009, 06:37:09 AM »
Very nice sharing, Jaanashaan Ji and Shihab Ji


Haal uska tere chehre pe likha lagta hai
woh chup chaap khada hai tera kya lagta hai

yoon tou har cheez salaamat hai meri duniya mein
ek ta'alluq hai jo toota hua lagta hai

maine socha thaa ki abaad hoon ek shahar mein main
yaan tou har shaks kaa andaaz judaa lagta hai

muddatein beet gayin tay naa huyi manzil-e-shauq
ek aalam mere raaste mein padaa lagta hai

ae mere jazba-e-dauron mujhme kashish hai itani
jo khaataa hota hai woh teer bhi aa lagta hai

jaane kaun sii pasti mein giraa hoon "Shehzad"
sooraj bhi is kadar door hai ki diya lagta hai


"Shehzad Ahmad"

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #84 on: January 07, 2009, 11:01:19 AM »
Very nice sharing, Jaanashaan Ji and Shihab Ji


Haal uska tere chehre pe likha lagta hai
woh chup chaap khada hai tera kya lagta hai

yoon tou har cheez salaamat hai meri duniya mein
ek ta'alluq hai jo toota hua lagta hai

maine socha thaa ki abaad hoon ek shahar mein main
yaan tou har shaks kaa andaaz judaa lagta hai

muddatein beet gayin tay naa huyi manzil-e-shauq
ek aalam mere raaste mein padaa lagta hai

ae mere jazba-e-dauron mujhme kashish hai itani
jo khaataa hota hai woh teer bhi aa lagta hai

jaane kaun sii pasti mein giraa hoon "Shehzad"
sooraj bhi is kadar door hai ki diya lagta hai


"Shehzad Ahmad"



Waah Waah Waah,.
Kamaal Ki Sharing Ki Hai Aapne,.
Didijaan,.

Har Line Is Nazm Ki, Dil Ko Choo Ne Waali Hai,.
Nice One Again..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #85 on: January 07, 2009, 11:04:23 AM »
Dur reh kar bhi unse mohabbat karna mujhe acha laga
Woh bataye,aakhir unhe yeh waaqiya kaisa laga?
 
Itne faslay me bhi hain unki qurbat ke mazay
unse milna,unse baate karna  mujhe acha laga
 
Silsilay unki yaado ke phailay hain har taraf
unki chah,unki raah me bhatakna mujhe acha laga
 
Raakh urrne lagi hai mann me jalti bujhti yaado ki
shaam dhalay unki yaado ke deep jalana mujhe acha laga
 
Kaise kahun unke bin dasti hai mujh ko tanhaii
unki ulfat,unki furqat me ratt-jaga karna mujhe acha laga
 
Wo aanch thi hawa me ke kali tak bhi sulag gayi
aise me unka ghatta ban ke barasna mujhe acha laga
 
Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi
tasawar me unka yun aa ke dil ko behlana mujhe acha laga
 
Cheen li neend jab aa ke unke khiyaalo ne
unki yaad me raat bhar jaagna  mujhe acha laga...

NOT MINE
Logged
Deepati
Guest
«Reply #86 on: January 10, 2009, 11:24:24 PM »
Shukriya, Bhaijaan Usual Smile

Aapne bhi bahut achhi sharing ki hai Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #87 on: January 18, 2009, 10:19:20 AM »
Dayaar-e-gair mein kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhi jaata tou tujhe ganva dete

tumhi ne hamko sunaaya naa apna dukh warna
dua woh karte ki ham aasmaan hilaa dete

hamein yeh zom raha ab ke woh pukaarenge
unhe yeh zid thi ki har baar ham sadaa dete

woh tera gam thaa ke taseer mere lahje kii
ke jisko haal sunaate use rulaa dete

tumhaari yaad ne koi jawaab hii naa diya
mere khayaal ke aansoo rahe sadaa dete


"Wasi Shah"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: January 18, 2009, 10:27:56 AM »
nice sharing all
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #89 on: January 18, 2009, 02:30:42 PM »
waah,.
Bohat Khoob,.
Nice Sharing,.
Majid Bhaijaan,.
And Deepti Didi,.
Nice One,.

And Thank U Pooja Sis,.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 10:42:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer