shayari....

by amritflora on June 27, 2005, 10:42:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 926 times)
amritflora
Guest
Wo aayee thi khwabon main kuch is tarah
Laga aisa ki chand ka deedar ho gaya
Jaise hi hamari aaknhen khuli
Haqueeqat main bhi unka deedar ho gaya








Tu meray Dil kay Kareeb hay,
tu meray Khaab ke Tabeer hay.
meri haar Baat main, meri Chahat main,
Har Taraf har Jagah, tera hi Saath hay
hoon Akeyla to kya huwa lekin,
tu mere Dil ke to Aas-pass hay.
Rona nahi ata mujhe kyon ki,
tu meri Khushi ki Buniyad hay.
nahi Bhata koi Chehara mujhe,
teri Sedge ka mujhay Khumar hay,
hoon main Magroor kehtay hein Sab
Mujhay to bus tumhara Guroor hay









In andheri raaton me
Hume tum awaaz mat do
Khawab me aane ka
Hume tum dawaat mat do

Tumhara dil itna buland nahin
Humare pyar ka bhojha utha sake
Tumhare baahein itne fauladi nahin
Humara astitva chupa sake

In pyar ki nazaron ne
Tere aham ko nahin dekha
Lekin tumhare swaroop ko saraha
Jo tumne khud nahin dekha

Ab yeh diya bina tel ke
Jale bhi to kab tak
Yeh aansoo bina ashkon ke
Chalke bhi to kab tak

Prabhu tumhare banaye insaan pe
Aasra kare wah pagal hai
Ek tuhi sab ke palan haar
Sab ke jeewan ka khewan haara hai








Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Is this SHAYARI by jatinder435 in Patriotic Poetry in Punjabi
Shayari-ae-Parastish by sudeepkumar_o in Shayari-e-Parastish
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
Shayari ke asaan tariqe by abdulqadeer in Poetry Knowledge & Lessons exclusively for Yoindians.
Shayari ka jawab Shayari by panks in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 5 »
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:07:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer