waise toh main ghazal likh raha tha magar kyunki yeh section mere dil k paas hai isliye yahin post kar raha hoon.......
ek shayar ka dard hai isme
woh meri kalam k ehsaas churaata raha
oonhe mehfil main har shaam gaata raha
humein gaaliyan mili jo nazm likh kar
oonhe suna k woh sabse daad pata raha
humne jab shikwa kiya logon se is baat ka
har shakhs mujhe meri aukaat batata raha
kaha shayar ho tum bas likhte raho
tumhaari kismat main nahin aasma ka taara raha
is tarah meri pehchaan bhi oonhone cheen li
aur main andhere main sar chhupaata raha
phir mere baad jab osske ashar, asar khone lage
toh oonhe saahil ka khayal tadpaata raha
isliye aaj kii shaam oos "SAAHIL" k naam likh di
jo ummra bhar gumnaami mein aansu bahata raha
kya baat hai saahil ji.......
WOH MERI HI GHAZAL KO KHUD KI BATAKAR CHURAATA RAHA,
KHUD KA BATA KAR MERE EHSAAS,MERE HI DILBAR KO,CHORI-CHORI SUNAATA RAHA.
MERI DILBAR SAMAJH GAYI THI USKI KARTOOTEN,
ANJAAN BANKAR LERAHI THI BAS USKE MAJEH.
EK DIN DILBAR NE KAHA USEY,TUM TOH BAHUT KHOOB LIKHTE HO,
FIR KYUN NAHIN APNI NAZM YAAN GHAZAL LEKAR,KABHI MEHFIL MAIN DIKHTE HO.
APNA THAATH DIKHAKAR USNE KAHE DIYA,AAP KE LIYE HAR WAQAT HAAZIR HAIN HUM,
JIS MEHFIL MAIN CHAAO HAME BULAAO,APNA LIKHA JAROOR SUNAYEGEY HAM.
JAB AAYA MEHFIL MEIN,DEKH KAR MUJHKO,
PAIRON TALE NIKAL GAYI USKE ZAMEEN.
JAB BARI AAYI USKE SUNAANE KI,
TAB MAAN NA RAHA THA USKA ZAMEER.
KHUD KI LIKHI GHAZAL,KHUD KE HI JABAAN SEY KAHI ACHI LAGTI HAI,KYUN KI USMEN KHUD KE EHSAAS HOTE HAI,
APNI KAHEKAR SUNANE WALE, AURON KI GHAZALON MAIN KAHAN EHSAASON KE ASAR DIKHTE HAI.