...~~Shayri-e-Sharaab~~...

by HumTum on May 31, 2005, 03:11:13 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 3184 times)
HumTum
Guest

pee sharaab, pee sharaab
cheez ye nahii kharaab

aaj mujh ko peene de
pee ke mujh ko jeene de
kahne de jo log sab
kahte haiN mujhe kharaab..
 

zindagii hai chaar din
hai jawaani chaar pal
khul ke looT le mazaa
fir na hogaa ye shabaab..

maNdiroN me jaa ke pee
masjidoN me jaa ke pee
bhool jaa sabhii rivaaz
pee le itnaa be-hisaab….

aa mere kareeb aa
thaam le meraa badan
dil ki dhaDkaneN baRhaa
jhoom kar pilaa sharaab


paRh ke kyaa karegaa tuu
pee le khush rahegaa tuu
may-qade me aayaa kar
pheNk de sabhii kitaab
 

qaid hai jigar me gam
jaam botaloN me baNd
botaloN ko khol de to
gam galat kare sharaab..

pee hai, ham haiN bekhabar
kah deN ham itnaa magar
ek tuu bhalee sharaab
baaki sab ke sab kharaab..

kahne de jo log sab
kahte haiN mujhe kharaab..


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sharaab.... by Harleyboy1 in Miscellaneous Shayri
yaad kar SHARAAB ko by sharaab in Shayri for Dard -e- Judai
SHARAAB CHAHIYE KII NAHi.................................... by salil2002 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 7 8 »
PEENE DO sharaab MUJHE by bekarar in Kaifiyaat-ae-maye
sharaab ki dukane jalla doon ....bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
HumTum
Guest
«Reply #1 on: May 31, 2005, 03:18:26 PM »
aayein hain tere dar par pehli baar saaki
pila jitna pilaana hai
dekhna hai aaj tere maikhaane main
kitna paimaana hai....
 
aankhon se pilaa sakti hai to pila aye saaki
aaj to mausam bhi huya deewana hai
tu jitna pilaayegi, hum peeyenge
aaj dono ne jor aazmaana hai...

oob raha hai teri mehfil se yeh dil aye saaki
ab yeh dil kahin aur lagaana hai
naye mehfil, naye saaki ki talaash hai
ab banaana ek naya fasaana hai....
 
bhool jaayein tujhe to ghum na kar aye saaki
kyunki yahi dastoor-e-zamaana hai
kisi ne peena hai, kisi ne pilaana hai
isi liye aye saaki, bana tera yeh maikhaana hai
aayein hain tere dar par aakhiri baar
pila jitna pilaana hai ......

Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: May 31, 2005, 03:31:32 PM »
hummmm too good...

aji mat pijiyega itni sharaab
yeh to hai cheez kharaab

gum isse peene se nahi chale jayenge
jab nasha utrega to fir se yaad ayenge

thaam le yeh behke hue se kadam
yeh to ladkhadayenge

bhatak jaoge tum manzil se
yeh tumhein door itni le jayenge
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: May 31, 2005, 03:33:11 PM »
duur se aaye the saaqii sun ke maiKhaane ko ham
bas tarasate hi chale afasos paimaane ko ham

may bhi hai minaa bhi hai saagar bhi hai saaqii nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag maiKhaane ko ham

ham ko fasanaa thaa qafaz mein kyaa gilaa sayyaad kaa
bas tarasate hi rahe hain aab aur daane ko ham

baag mein lagataa nahin saharaa mein ghabarataa hai dil
ab kahaan le jaake baihein aise divaane ko ham

Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: May 31, 2005, 03:37:26 PM »
Quote from: "nikki"
hummmm too good...

aji mat pijiyega itni sharaab
yeh to hai cheez kharaab

gum isse peene se nahi chale jayenge
jab nasha utrega to fir se yaad ayenge

thaam le yeh behke hue se kadam
yeh to ladkhadayenge

bhatak jaoge tum manzil se
yeh tumhein door itni le jayenge


bahoot khoob !!!

hosh-e-zindaagi ab satati hai
maut bhi nahi apnati hai
unke hothon ki jagah, bas mai hi hai
jo hamare hothon ko choo jaati hai

Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2005, 03:38:46 PM »
nice again

dil ko behlaane ke liye kisi ki yaad hi kafi hai
nasha intzaar mein itna hai..uske aane ki khabar hi kafi hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2005, 03:41:15 PM »
Amazing !!!

saqqi teri sharaab fiki lagey ke Aaj
hai un hontooN ki pyaas humey staye huye !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: May 31, 2005, 03:44:09 PM »

najroN ke uthne-girne se bante hain afsaane tak
jikra tha tere ariz-o-lab ka log gaye paimaane tak

teri wafaa per tere wadey per mujhko bhi hai yakeen magar
yun na ho ki mit jayein ham tere wadey nibhane tak

mujhko thaam ke nikla tha jo masjid ko wo zaahid tha
mere dil ka haal suna to chhod gaya maikhaane tak

Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: May 31, 2005, 03:59:17 PM »
bahut khoob.........................

mar jayenge hum unki khatir .....unki wafaon ke sadke
ji rahe hain hum aaj tak hokar unse juda...unki duaon ke sadke
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: May 31, 2005, 04:01:45 PM »
Waah .....

pteey hai sharaab-e-gham yhi soch ke aksar hum
shayaad ke nikal jaye kissi roz yun hi dum !!

mout ki rahooN mein kya pehrey lgaogey
barish ka mousam hai aati hai hawaaN kum !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: May 31, 2005, 04:06:44 PM »
bahut khoob........

na haar dil ko is kadar aye-dost
tere saath hain is safar mein aur bhi chalne waale
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: May 31, 2005, 04:11:49 PM »
waah....

zindgi guzri hai faqt ansooN aur sharaabooN mein
logo se suna hai barish bhi koi cheez hai !!

Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: May 31, 2005, 04:16:32 PM »
kya baat hai......

haalat khud ki buri hai...
magar ..badle badle se log nazar aate hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: May 31, 2005, 04:19:14 PM »
utha surahii yeh sheea-o-jaam le saqqi
phir uskey baad khuda ka bhi naam le saqqi

phir uskey baad humney tasnagi rhey na rhey
kuch aur der tassvuur se kaam le saqqi

phir uskey baad jo hoga dekha jayega
abhi to peeney pilaney se kaam le saqqi

tere huzur mein hosh-o-khalid se kya hasiil
nhi hai mai to nigahooN se kaam le saqqi

Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: May 31, 2005, 04:20:48 PM »
Quote from: "nikki"
kya baat hai......

haalat khud ki buri hai...
magar ..badle badle se log nazar aate hain


waah ....

sharaab mein duboo liya hai khud ko dost
jab se gham ke smaunder ne ghera hai mujhey !!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:18:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer