...~~Shayri-e-Sharaab~~...

by HumTum on May 31, 2005, 03:11:13 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 3232 times)
Meena
Guest
«Reply #30 on: June 02, 2005, 05:04:57 PM »
oye humtum janab, phir se sharab ko apna liya :cry:
par likha bohot acha hai!


sab ne bohot acha likha!!  :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sharaab.... by Harleyboy1 in Miscellaneous Shayri
yaad kar SHARAAB ko by sharaab in Shayri for Dard -e- Judai
SHARAAB CHAHIYE KII NAHi.................................... by salil2002 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 7 8 »
PEENE DO sharaab MUJHE by bekarar in Kaifiyaat-ae-maye
sharaab ki dukane jalla doon ....bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
fakharenaveed
Guest
«Reply #31 on: June 02, 2005, 10:35:20 PM »
jab dil ki wafaat ho gayee, har cheez ki raat ho gayee.
kya jaaniye maut pehle kya thi, ab meri saugaat ho gayee.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #32 on: June 03, 2005, 08:14:22 AM »
Quote from: "Meena"
oye humtum janab, phir se sharab ko apna liya :cry:
par likha bohot acha hai!


sab ne bohot acha likha!!  :D


Meena ji ...

jaam ke bina shaam, shaam nahin hoti,
sabki kahani meri tarah badnam nahin hoti!

Logged
HumTum
Guest
«Reply #33 on: June 03, 2005, 08:15:00 AM »
humne bhi umr saari nashe mein guzaari,
pehle nashaa yaar ka tha,ab sharaab se hai yaari!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #34 on: June 03, 2005, 10:19:36 AM »
humtum
...
ajab yeh dastan tumhari hai
kabhi dil se dosti to kabhi shasrab se yaari hai
hai gum jo dil main pe chuke jaan sang
aab saman kahe lagi yeh bemari hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #35 on: June 03, 2005, 11:41:57 AM »
Tosha
...

Main aaksh bahata nahee, ye zamana rulata hai.
main sharab peeta nahee, ye zamana pilata hai.

bichar gaye mai-kade mei saray yaar apnay.
main agar akela hun, tou ye sannata pilata hai.

saqi ko dekho, jaanta hai k ye zehar hai ek.
kabhi ik paimana, kabhi sara maikhana pilata hai.

mujh ko tou hosh nahee rehta, zindagi ka bhi.
khuabo ki dunya mei jo chupa,wo afsana pilatahai.


Logged
nikki
Guest
«Reply #36 on: June 03, 2005, 11:48:50 AM »
bahut khoob..........

sharaab ke jaam ko chodo yaaro
pio agar koi aankhon se pilata hai
sharaab mein kahan nasha hai
jo aankhon se peene mein aata hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #37 on: June 03, 2005, 11:57:35 AM »
Nice Nikki ....

gar mehboob ankhoon se na milaye to kya krein
kadam kud-b-khud mehkadey ko jaye to kya krein
hosh-o-zingdi ab humsey aur basar nhi hoti
aseey mein mai ko na muhh lgaye to kya krien !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #38 on: June 03, 2005, 01:37:33 PM »
ek nazar dekho to sahi 'HumTum'
ek nazar dekhti takti hau tumko
nazar nazar ke baat hai 'HumTum'
sharab main kya dhundte ho sanam ko
ek baar nasha utarke to dekho 'HumTum'
tumhara intzzar hai un nigaho ko
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #39 on: June 04, 2005, 05:52:31 AM »
kar ke wada  kyun tod deti hai tu
mujhko kyun akela chhod deti hai tu
kaha tha maine ye dil hai khilona nahi
baar baar isse kyun tod deti hai tu.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #40 on: June 04, 2005, 06:54:56 AM »
gustakhi maaf karna yaar mere
mana galti hui hai dobara mujhse
is tute dil ko aur challi na kar
nahi hogi galti aab kasem se
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #41 on: June 04, 2005, 06:59:39 AM »
kehte hain wo ke galati ho gayi hai humse
e khuda ab tu ne bata iss dil ka kya karoon.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #42 on: June 04, 2005, 07:09:47 AM »
dil dor ke duniya wale
rukh tera leta hai
e khuda is jamane main
log kya kya zurm hum par karte hai
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #43 on: June 04, 2005, 07:17:48 AM »
jab je chahe nai dunia basa lete hain log
ik chehre pe kai chehre laga lete hain log
Logged
Tosha
Guest
«Reply #44 on: June 04, 2005, 07:36:30 AM »
khuli kitab ko bhi padhne se nakaarte hai log
ilzaam nasamjhi ka duniya pe lagate hai log
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:36:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer