...~~Shayri-e-Sharaab~~...

by HumTum on May 31, 2005, 03:11:13 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 3187 times)
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #45 on: June 04, 2005, 08:37:59 AM »
khuli kitab mein to kore kagaz he the
sataya tha jisko tune woh hum he the
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sharaab.... by Harleyboy1 in Miscellaneous Shayri
yaad kar SHARAAB ko by sharaab in Shayri for Dard -e- Judai
SHARAAB CHAHIYE KII NAHi.................................... by salil2002 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 7 8 »
PEENE DO sharaab MUJHE by bekarar in Kaifiyaat-ae-maye
sharaab ki dukane jalla doon ....bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Tosha
Guest
«Reply #46 on: June 04, 2005, 12:25:46 PM »
likh deta aapna haal-e-dil
wo kori kitab aap teri ho chuki thi
maan leta usse tu aapna
chapti usme jo dastan teri hoti
Logged
HumTum
Guest
«Reply #47 on: June 04, 2005, 12:30:26 PM »
Quote from: "Tosha"
ek nazar dekho to sahi 'HumTum'
ek nazar dekhti takti hau tumko
nazar nazar ke baat hai 'HumTum'
sharab main kya dhundte ho sanam ko
ek baar nasha utarke to dekho 'HumTum'
tumhara intzzar hai un nigaho ko


Tukrao ab ke pyaar kro min nashey mein hoon
jo chaho mere yaar kro mein nashey mein hoon

girney do tum mujhey mera sagaar sambaal lo
itna to mere yaar kro mein nashey mein hoon

Logged
Tosha
Guest
«Reply #48 on: June 04, 2005, 12:52:28 PM »
khoob HumTum Bhai
....
sambhaal lenge tumhe par nashe main ho tum
gir jao ek baar hosh aajayega abhi nashe main ho tum

puaar kya karoge yaar mera abhi nashe main ho tum
en naam aakho se dekhne ki kosish na karo abhi tum nashe main ho
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #49 on: June 04, 2005, 12:56:37 PM »
very nice humtum & Tosha Jiiiiiiiiiiiiii
aapne to dil khush kar diya............
Logged
Tosha
Guest
«Reply #50 on: June 04, 2005, 01:11:13 PM »
aap ka dil bada ajeeb hai tanha
samjhao ise ek baat kiya kare
do nav main ek ek pair rakh ne
samundr main majhi nahi chalate
Logged
HumTum
Guest
«Reply #51 on: June 04, 2005, 01:24:32 PM »
dhal gya hai aaftaab 'e saqqii
la pila de ab sharaab 'e saqqii

ya shurahi lga mere muhh se
ya ulat de apna naqaab 'e saqqii

maihkeda chod ker kha jaye
hai zamana karaab 'e saqqii

jaam bhar de gunaahgarooN ke
yeh bhi hai ik sawaab 'e saqqii

Aaj peeney de aur peeney de
kal kregey hisaab 'e saqqii !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #52 on: June 04, 2005, 01:43:30 PM »
lagta hai humme bhi nasha ho chala hai
humme bhi ek aur jam pila de

aab aahe gaye hain maikhane main
humme bhi ek aur jampila de

sunle haal mera kuch aapna suna de
humme bhi ek aur jam pila de

uns se is dil main utha hai abhi abhi
humme bhi ek aur jam pila de
Logged
HumTum
Guest
«Reply #53 on: June 06, 2005, 02:33:10 PM »
Mandir aur Masjid ka Jhagada yun mitaya jaye,
Ke beech mein dono ke, mehkhana banaya jaye!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #54 on: June 06, 2005, 05:20:14 PM »
bahut kambheer baat kahe gaye ho tum
sooch main doog gaye hai hum
ya to chari nahi hai hamme yah sharab
ya pe ke hum behosh ho chuke hai
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #55 on: June 07, 2005, 09:40:00 AM »
Quote from: "HumTum"

pee sharaab, pee sharaab
cheez ye nahii kharaab

aaj mujh ko peene de
pee ke mujh ko jeene de
kahne de jo log sab
kahte haiN mujhe kharaab..
 

zindagii hai chaar din
hai jawaani chaar pal
khul ke looT le mazaa
fir na hogaa ye shabaab..

maNdiroN me jaa ke pee
masjidoN me jaa ke pee
bhool jaa sabhii rivaaz
pee le itnaa be-hisaab….

aa mere kareeb aa
thaam le meraa badan
dil ki dhaDkaneN baRhaa
jhoom kar pilaa sharaab


paRh ke kyaa karegaa tuu
pee le khush rahegaa tuu
may-qade me aayaa kar
pheNk de sabhii kitaab
 

qaid hai jigar me gam
jaam botaloN me baNd
botaloN ko khol de to
gam galat kare sharaab..

pee hai, ham haiN bekhabar
kah deN ham itnaa magar
ek tuu bhalee sharaab
baaki sab ke sab kharaab..

kahne de jo log sab
kahte haiN mujhe kharaab..


HumTum



Are hum tum ji aapki ye lines sunkar to hume maikhana yaad aa gaya.......
Logged
HumTum
Guest
«Reply #56 on: June 24, 2005, 04:26:36 PM »
Thanks Rohit n nice one Tosha !!

hamne samjha tabeeyat sambhal jaayegi
jaam pee leiN shaam bahal jaayegi

Doobe saagar meiN youN bhool jaieN tujhe
kaya pataa Tha tu is meiN Dhal jaayegi

log kahte haiN ki bhool jaaieN magar
tu voh chaahat nahiN jo Tal jaayegi

zakham itne na de aai mere khuda
faqt insaaN huN aah nikal jaayegi
Logged
Meena
Guest
«Reply #57 on: June 24, 2005, 06:09:54 PM »
very gud humtum!!


aab to adat si pad gayi hai zakhm khane ki,
raaton me akhele ansoon bahane ki,
Raab se duaye nahin mangte kushiyon ki aab hum,
Usse bhi adat pad gayi hume satane ki!!!
Logged
Parul
Guest
«Reply #58 on: July 01, 2005, 11:50:29 PM »
Quote from: "HumTum"
duur se aaye the saaqii sun ke maiKhaane ko ham
bas tarasate hi chale afasos paimaane ko ham

may bhi hai minaa bhi hai saagar bhi hai saaqii nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag maiKhaane ko ham

ham ko fasanaa thaa qafaz mein kyaa gilaa sayyaad kaa
bas tarasate hi rahe hain aab aur daane ko ham

baag mein lagataa nahin saharaa mein ghabarataa hai dil
ab kahaan le jaake baihein aise divaane ko ham



bahut hi acha likha hai humtum ji ......  aap sharab peetey ho ?
yeh lines bahut hi pasand aayi mujhey

may bhi hai minaa bhi hai saagar bhi hai saaqii nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag maiKhaane ko ham

yun hi likhtey rahiyega  Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: July 02, 2005, 12:33:48 AM »
wah kaya baat hai........................................bahoot khoob.......................................
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 04:20:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer