Intezar
Guest
|
Kyon har bar ye shikwa hum se is zamaane ko hai Lagta hai dard ka mausam phir laut kar aane ko hai
Jisne kabhi mere Intezar me daaman bhigo rakha tha un ankhon me hi meri maut ka khwaab sanjo rakha tha
kya rakha tha chhupakar haathon me kab jaana tha khule jo haath to kuch tang lakeeron ka mit jaana tha
the kuch mazboor ke chaah kar bi hum tere na ho sake aur phir tum bhi the ke mere hokar bhi mere na ho sake
jaane kab aayi shaam, kab aakar saba roshni de gayi kab aakar maut ne thaama daaman, kab zindagi le gayi
dafan in saanso ko ab kya kuredte ho tum kya paaoge jo so chukka hai chain ki neend usay tum kaise jagaaoge
hairaan na ho ke mere seene me ab dil dhadakta nahin hai aisa nahi ke dafan hokar lahad me 'Intezar' tadapta nahin hai… !
Shukriya Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
poppoetry
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 29, 2011, 06:27:00 PM » |
|
behaaddddddd khoobsurat peshkash.....kitna dard hai har alfaaz mein.... kya kahu...dard ko bhi khoobsurati ka jama pehna diya aapne...bahut khoob intzaar ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #2 on: June 29, 2011, 06:29:33 PM » |
|
boht khob intzar ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #3 on: June 29, 2011, 07:50:42 PM » |
|
ya rakha tha chhupakar haathon me kab jaana tha khule jo haath to kuch tang lakeeron ka mit jaana tha
the kuch mazboor ke chaah kar bi hum tere na ho sake aur phir tum bhi the ke mere hokar bhi mere na ho sake
ye lines kuch zyada bhaa gai dil ko intezar ji......ab kya kahun aapko k kya feel kiya ise padhkar.....pehle to apne andaaz me jawab de dete the ab likha nahin jata.......par koshish krenge iska jawab dene ki......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ANAAM
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 30, 2011, 01:11:39 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 30, 2011, 03:57:23 PM » |
|
Nikhaar ji aapne dil se pasand kiya, tahe dil se aapka bahut bahut shukriya... yun hi saath dijiyega... Intezar ! behaaddddddd khoobsurat peshkash.....kitna dard hai har alfaaz mein.... kya kahu...dard ko bhi khoobsurati ka jama pehna diya aapne...bahut khoob intzaar ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
irshad ahmed siddiqui
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 30, 2011, 05:09:55 PM » |
|
Bahut badiya Peshkash rahi INTEZAAR ji..!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #7 on: June 30, 2011, 05:22:56 PM » |
|
saahill ji bahut bahut shukriya aapka... Intezar ! boht khob intzar ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #8 on: July 01, 2011, 05:27:21 AM » |
|
bahot ache janaab…
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #9 on: July 01, 2011, 09:43:56 AM » |
|
Shukriya kasak ji... bahut bahut shukriya aapka... aapne wakt diya hum jaise ko... aur aapke andaaz ke jawaab ka intezar rahega... Intezar ! ya rakha tha chhupakar haathon me kab jaana tha khule jo haath to kuch tang lakeeron ka mit jaana tha
the kuch mazboor ke chaah kar bi hum tere na ho sake aur phir tum bhi the ke mere hokar bhi mere na ho sake
ye lines kuch zyada bhaa gai dil ko intezar ji......ab kya kahun aapko k kya feel kiya ise padhkar.....pehle to apne andaaz me jawab de dete the ab likha nahin jata.......par koshish krenge iska jawab dene ki......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #10 on: July 01, 2011, 03:21:58 PM » |
|
Waah Waah Kya baat hai Intzaar Ji.. Ak Badkar Ak Sher Likha hai.. Bahoot Bahoot Umda... Lajawaab !!
~Divya~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #11 on: July 03, 2011, 09:57:15 AM » |
|
Anaam bhai shukriya aapka bahut bahut shukriya jo aapne pasand kiya aur dil se mehsoos kiya... aur hum shayar kaha... bas kuch lafzo ka dard hai jo panno par bikhar jaata hai... ! humesha saath rehiyega... Intezar !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #12 on: July 04, 2011, 02:19:14 PM » |
|
bahut bahut shukriya Irshad sahab, jo pasand kiya aapne... Intezar ! Bahut badiya Peshkash rahi INTEZAAR ji..!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #13 on: July 04, 2011, 02:20:23 PM » |
|
sarfira ji bahut bahut shukriya aapka... Intezar ! bahot ache janaab…
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Intezar
Guest
|
|
«Reply #14 on: July 04, 2011, 02:31:56 PM » |
|
divya ji... sabse pehle aapka bahut bahut shukriya dil se... aur aaj aapki wajah se ek puraana dard phir ubhar aaya... bahut din ke baad ye naam (DIVYA) aaj hamaare hontho par aaya... khair aap apna khayal rakhiyega... Khush rehiye... saath dete rehiyega... Intezar ! Waah Waah Kya baat hai Intzaar Ji.. Ak Badkar Ak Sher Likha hai.. Bahoot Bahoot Umda... Lajawaab !!
~Divya~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|