Shukriya

by sonalxoxo on October 02, 2008, 10:15:37 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2285 times)
sonalxoxo
Guest
This is my first attempt in this forum...hopefully mein bhi likhne ke layak ban saku, here it goes

Akele chalne ki aadat thi hume
Apne jaanleva andaaz pe gharur tha hum
Khush the hum khud ki choti si duniya mein
Kaam, dost, masti, sab tha humari zindagi mein
Na jaane tum ko kese dil ye de bethe
Kyon tumpe bharosa hum kar bethe
Tumhare liye khud ko mita diya humne
Phir bhi har taara se tumhe apna liya humne
Dosto se dushmani mod li humne
Tumhari zindagi se bandhagi kar li humne
Ab to zindagi mein bas ek hi maqsad tha hamara
Ke bas pal pal saath rahe tumhara
Tumhare rooh mein khud ko kho diya kahi
Kuch pata na chalta tha, kya galat kya sahi
Har guzharish puri hum karte the
Ek tumhari khatir, ghulam ban bethe the
Itne andhein hum kese ho gaye?
Ke yeh faasle humari beech aagaye?
Aaj jab tumhara haath thama humne
Na kuch bola, na dekha hume tumne
Woh kahavat to bahut suni thi, aaj khud hum woh kahavat ban gaye
Ki bacha ek khilona tab tak chahta hai, jab tak na dusre khilone saamne aate hain
Shayad tum abhi mard ban neke liye tayar nahi
Apni zindagi tum pe barbaad karu, yeh hume gavar nahi
Aksar log mohabbat mein haar jaate hain
Dard aur zakhm ki baate karte rehte hain
Mein tumhe kehti hu, shukriya
Aaj tumhari vaje se meine khud ko aur mazboot bana liya
Bahut kuch sikha hain tumse, shukriya
Tumne humein hamara raasta phir se dikha diya
Ab, phir se akele chalne ki aadat ho gayi hai
Apne jaanleva andaaz pe phir gharur aagaya hai…
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
- Shukriya Tera Bohot - by Meena is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
SHUKRIYA by gum in Shayri for Khumar -e- Ishq
shukriya tere chod jaane ka by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*****shukriya****** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Shukriya! by salma786 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
baadal102
Guest
«Reply #1 on: October 03, 2008, 07:09:29 AM »
touching words sonal ji
keep it up



Baadal
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #2 on: October 03, 2008, 09:29:36 AM »
full of emotions .. achha likha. Applause

Jo baant'te hain har chehre par khushiyon ki silwaton ko,
 veeraane mein nam ankhon sang baithe unhe bhi dekha.--Tanha
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: October 03, 2008, 01:39:59 PM »
sonal gr8 work............aur aap likhne k laayak hi nahin aap padne k bhi laayak ho this one is for u

kii nagma gungunaya ek kali ne aaj phir se
kii basant kii suhaani rut aa gayi thi
zulm oos par hua tha kyun aaj phir se
khilte hi todi woh kyun ja rahi thi

aansu behte rahe koi samajh hi na paaya
woh har zarre ko khusboo se mehka rahi thi
woh khush thi shyad do pal saath reh kar
ya apne gham ko mehak se dafna rahi thi
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #4 on: October 03, 2008, 05:37:26 PM »
Thanks Tanha ji & Baadal ji for you sweet comments.

And thank you as Salil ji as well for your few lines, bahut acha laga.  Aur ab ek chota sa jawab.

Apne gham se dusro ko pareshan kyon kare hum
Mohabbat ke khatir jeena kyon chod-de hum
Apno ko khush dekh ke muskurate hai agar
To aisa kaun sa badha gunaah karte hai hum.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: October 04, 2008, 03:24:47 PM »
nice reply sonal.....touching one

two lines for u

kii toote huye khwab hum phir se saza lenge
 beeti huyi baaton ko hum dil se bhula denge
door reh kar bhi ji sakte thay hum tumse
 magar socha kii wafa ka ek qatra tumhe bhi sikha denge
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: October 05, 2008, 09:38:32 AM »
Nice One Sonal Ji,.
Welcome To Yoindia,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 05, 2008, 09:45:06 AM »
Dard Dete Hain, Aur Shukriya Bhi Adaa Karne Nahi Dete,.
Teri Chahaton Mein Guzaare Jo Pal,
Wo Jeene Bhi Nahi Dete Marne Bhi Nahi Dete,.

_________________________________-Jaanasheen-
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #8 on: October 06, 2008, 02:54:39 AM »
thank you for your welcome Jaanasheen
salil you've amazed me again...

wafaa karke kiska bhala hua hai
kasme khake kaun safal hua hai
jitne bhi aansu nikalte te hai, yakeen dilate hai,
ke bewafaai hi mohabbat ka dusra naam hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: October 07, 2008, 11:30:18 AM »
thnks sonal and a nice reply......
jaane kyun aap mohabbat se darte hain
 shayad aap dil tootne se darte hain
aap meri baat par gaur kariyega
jo doobte hain wahi "saahil" k paar ootarte hain
Logged
sonalxoxo
Guest
«Reply #10 on: October 07, 2008, 05:20:15 PM »
wow...of course i can't top that but i can try to reply

mohabbat karnewale kis se darr sagte hai?
toota hua dil phir se kaise toot sagta hai?
darr lagta hai to bas issi saahil se
jo dooba ke humesha ke liye gumnaam kar deta hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: October 07, 2008, 05:35:22 PM »
This is my first attempt in this forum...hopefully mein bhi likhne ke layak ban saku, here it goes

Akele chalne ki aadat thi hume
Apne jaanleva andaaz pe gharur tha hum
Khush the hum khud ki choti si duniya mein
Kaam, dost, masti, sab tha humari zindagi mein
Na jaane tum ko kese dil ye de bethe
Kyon tumpe bharosa hum kar bethe
Tumhare liye khud ko mita diya humne
Phir bhi har taara se tumhe apna liya humne
Dosto se dushmani mod li humne
Tumhari zindagi se bandhagi kar li humne
Ab to zindagi mein bas ek hi maqsad tha hamara
Ke bas pal pal saath rahe tumhara
Tumhare rooh mein khud ko kho diya kahi
Kuch pata na chalta tha, kya galat kya sahi
Har guzharish puri hum karte the
Ek tumhari khatir, ghulam ban bethe the
Itne andhein hum kese ho gaye?
Ke yeh faasle humari beech aagaye?
Aaj jab tumhara haath thama humne
Na kuch bola, na dekha hume tumne
Woh kahavat to bahut suni thi, aaj khud hum woh kahavat ban gaye
Ki bacha ek khilona tab tak chahta hai, jab tak na dusre khilone saamne aate hain
Shayad tum abhi mard ban neke liye tayar nahi
Apni zindagi tum pe barbaad karu, yeh hume gavar nahi
Aksar log mohabbat mein haar jaate hain
Dard aur zakhm ki baate karte rehte hain
Mein tumhe kehti hu, shukriya
Aaj tumhari vaje se meine khud ko aur mazboot bana liya
Bahut kuch sikha hain tumse, shukriya
Tumne humein hamara raasta phir se dikha diya
Ab, phir se akele chalne ki aadat ho gayi hai
Apne jaanleva andaaz pe phir gharur aagaya hai…

Bohot Khoob Sonal....bohot achcha likha hai aapne...Keep writing  Applause Applause Applause


Very nice contributions Saurabh, Salil and Azeem
  icon_thumleft
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: October 11, 2008, 04:40:55 AM »
wow...of course i can't top that but i can try to reply

mohabbat karnewale kis se darr sagte hai?
toota hua dil phir se kaise toot sagta hai?
darr lagta hai to bas issi saahil se
jo dooba ke humesha ke liye gumnaam kar deta hai


na dariye is saahil se ye bechara toh khud sisakta hai
 kar nahin sakta yeh lehron ko baahon mein kaid bas issi baat se yeh tadapta hai
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:00:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer