@*@ Sikh Liya Hai @*@

by Just_Hate_Love on July 01, 2006, 06:28:31 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1996 times)
Just_Hate_Love
Guest
Thou this poem is long but its a beautiful one ...
Isme wo sab kuchh likha hai jo mere saath hua hai ...
Hope you will like it ...

Uski narazgi door kar denge hum aaj,
Humne roothe ko manana sikh liya hai,
ab na lagega darr na rahega intezaar roshni ka,
Humne andhero se gharana sikh liya hai,
Raatien to yuhi kat jaati hai sochte hue,
Humne waqt ko churana sikh liya hai,
Bura nahi lagta savere neend se uthke bure sapno ka,
Humne neend mein muskurana sikh liya hai,
Duniya mere sapno ko aur gehra na ka payegi,
Humne dard ko dil mein chhupana sikh liya hai,
Agar hum chahte to phir pyaar ho sakta tha par,
Humne dil ko behlana sikh liya hai,
Gunaah kam ho rahe hai hamare sar se,
Humne logo ko hasana sikh liya hai,
Roz sajegi mehfil hamare garib aashiyane mein,
Humne aansuo ko pilana sikh liya hai,
Jab bhi nikalte hai ghar se sar uthake chalte hai,
Humne khud ko aazmana sikh liya hai,
Khuda bhi mohtaj hai hame zindagi dene ko,
Humne bachi saanso ko dohrana sikh liya hai,
Sikh liya hai humne zinda lasho ka kabristan banana,
Aur humne maut ko tadpana sikh liya hai ......
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #1 on: July 01, 2006, 10:07:44 PM »
wah wah wah bahut achaa......very nice JHL.......bahut dino baad.....hope everything fine !!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: July 02, 2006, 06:25:52 AM »
nice one jhl

achcha hua jo seekh liya gham ko chhupana
duniya ko hansne ka na diya tumne  bahana
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: July 02, 2006, 11:14:22 AM »
dil ke dard ko lafzon mein kya khoobi se piroya hai JHL....beautifull poem

uski daastan sunate-2 aankhon se aanson nikal aate hain
woh mere dil mein basa pyar to na dekh paaya kabhi
magar yeh motiyon ke katre bhi usse kahan nazar aate hain

jaane kaonse khayaalon mein dooba rehta hai har pal
kiski yaadein ke saaye usse diwana banaye hue hain
meri zindagi to abb yunhi tanha kategi
kyonki main jisse pyar karti hun woh kissi aur se dil lagaye hue hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #4 on: July 02, 2006, 11:22:31 AM »
Thanks a lot Isha, Tabassum and Nikki for appreciation ...
Nice one Tabassum and Nikki ...
You both too have written cool here ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: July 02, 2006, 11:32:24 AM »
thank u ji....

dil pe chot lagi to jaana dard kya cheez hai
magar hairat to iss baat ki hai
abb yeh dard bhi mere dil ko bahut azeez hai
isse duniya se chupa kar rakha hai
kissi ki amanat ki tarah...
woh maane ya na maane pyar to woh bhi mujhse karta hai
duniya ke darr se keh nahi paata
aahein to woh bhi bharta hai

abb faisla humne kismat pe chod diya hai
yeh kabhi nahi kahungi ke usne pyar bhara mera dil tod diya hai
kyunki usne kabhi kabool hi nahi kiya

aur ishq mein haq jataya nahi jaata
zabardasti kissi ko apna banaya nahi jaata
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2006, 11:35:51 AM »
Sochte hai hum tumhe apni parchhai banake rakhe,
Par uske liye roshni ki zarurat hoti hai,
Hamare zindagi to andhero se ghiri hui hai,
Aur parchhai ke liye ek jism ki zarurat hoti hai ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2006, 11:38:38 AM »
yeh maana ke andhere saathi hain tumhare
magar roshni se hamara bhi koi naata nahi
logon ke muhallon mein bheed hoti hogi
hamare yahan to koi bhi aata jaata nahi
kisse se dil lagane ka inaam paaya hai humne
tanhaiyon ko apna saathi banaya hai humne
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2006, 11:41:15 AM »
Tanhaai ka aur hamara naata bahut gehra hai,
Ki ab tanhaai bhi hamare bina kat-ti nahi,
Uski judaai ne diye zakhm bhar chuke hai,
Ab uske intezaar mein aankhen tadapti nahi ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2006, 11:49:26 AM »
apne dil ko samjha liya hai humne
dard ko apna saathi bana liya hai humne
abb to kissi baat ka dukh nahi hota
kyunki dukhon ko dil mein basa liya hai humne
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: July 02, 2006, 11:54:27 AM »
Dukh hame uski judaai ka nahi hai,
Dukh tanhaai ka hai jo wo seh rahe hai,
Hum use khush to rakh sakte hai,
Kya hua un aansuo ko rok nahi sakte jo beh rahe hai ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 02, 2006, 12:00:51 PM »
nice one JHL..

har baat pe bass nahi chalta
warna hum juda hi na hote
na aanson bahane padte
na dil udaas hota

jab baat bass ki hai nahi to kya karein
usse tasalli dein ya rab se dua karein
uske dil ka dard mujhe mil jaye
aur woh kabhi na roya kare
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #12 on: July 02, 2006, 12:07:23 PM »
Dua to hum bhi yahi karte hai ki,
Use gum na sataye na wo roye kabhi,
Juda ho jaayege sapno mein hum,
Is darr se hum raat ko nahi soye kabhi ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: July 02, 2006, 12:09:24 PM »
yeh to aap sochte hain
kabhi uske dil se bhi poocho
woh to kabhi neend se uthna hi nahi chahti
kyun usse bhi darr aapse juda hone ka hai
Logged
pandit
Guest
«Reply #14 on: June 30, 2009, 03:51:21 PM »
Thou this poem is long but its a beautiful one ...
Isme wo sab kuchh likha hai jo mere saath hua hai ...
Hope you will like it ...

Uski narazgi door kar denge hum aaj,
Humne roothe ko manana sikh liya hai,
ab na lagega darr na rahega intezaar roshni ka,
Humne andhero se gharana sikh liya hai,
Raatien to yuhi kat jaati hai sochte hue,
Humne waqt ko churana sikh liya hai,
Bura nahi lagta savere neend se uthke bure sapno ka,
Humne neend mein muskurana sikh liya hai,
Duniya mere sapno ko aur gehra na ka payegi,
Humne dard ko dil mein chhupana sikh liya hai,
Agar hum chahte to phir pyaar ho sakta tha par,
Humne dil ko behlana sikh liya hai,
Gunaah kam ho rahe hai hamare sar se,
Humne logo ko hasana sikh liya hai,
Roz sajegi mehfil hamare garib aashiyane mein,
Humne aansuo ko pilana sikh liya hai,
Jab bhi nikalte hai ghar se sar uthake chalte hai,
Humne khud ko aazmana sikh liya hai,
Khuda bhi mohtaj hai hame zindagi dene ko,
Humne bachi saanso ko dohrana sikh liya hai,
Sikh liya hai humne zinda lasho ka kabristan banana,
Aur humne maut ko tadpana sikh liya hai ......

BAHUT KHOOB HATE N LOVE JI..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:17:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer