----- /// Sikhaya to aapne hi hai /// -----

by klaskar on April 02, 2010, 06:26:28 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 8035 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #30 on: April 06, 2010, 03:51:15 PM »
Bahut khoob ...

humko q yu bewafa thehra rahe ho aaj,
dur jaane ka iraada aapka hi tha,
dil ke dhadkano me naam aapka hai aaj,
naam har khushi me mere aapka hi tha...


shukriya ji  shukriya... notworthy

Har lafz ka aghaaz apse tha merre,
har lafz ka anjaam bhi aap hi the,
mujhe zamane mein apnaya bhi apne hi tha,
aur sar-e-aam karne wale nilaam bhi aap hi the......

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mummy ne sikhaya by qqplus in SMS , mobile & JOKES
~~~SIKHAYA HOTA~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Pyar Karna Sikhaya Aapne by spandana in Shayri for Khumar -e- Ishq
jina sikhaya apne by mita_chudasma in Share:Love Poetry
jina sikhaya apne by mita_chudasma in Share:Love Poetry
brokenbyluv
Guest
«Reply #31 on: April 07, 2010, 08:23:34 PM »
shukriya aur bahut khoob...

Merri khushi terri gunjati muskaan mein hai,
merri chaht terre dil-o-jaan mein hai,
terra haasil hi merri sabse badi jeet hoga ab..
merri zindgi terri nigaho ki shaan mein hai......
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #32 on: April 08, 2010, 08:14:08 AM »
Main aaj bahut kuch karna chahta hoon. Ji bhar ke rona chahta hoon . Aasuon k saagar me doob jaana chahta hoon. Par har wo kaam jo main karna chahta hoon use karne se unki yaad mujhe rokti hai. Koshish ki hai maine usi ko shabdon me utaarne ki...

aaasuon se samundar namkeen karna chahta hoon aaj,
par barso se inhe chhipana sikhaya to aapne hi hai...

yahi sochke main muskurana chahta hoon aaj,
ki ghamo ko bhulana sikhaya to aapne hi hai...

aapki yaad me ro raha hai dil hamara aaj,
par dard me muskurana sikhaya to aapne hi hai...

aapko khwaabon se bhulana main chahta du aaj,
par neendon me aake dil churana sikhaya to aapne hi hai...

maikhaane pe haathon me jaam liye khada hoon main aaj,
par sochta hu ki na pina sikhaya to aapne hi hai...

kehte hain saathi mere ki bhula du aapko main aaj,
par yaad har ghadi karna sikhaya to aapne hi hai...

kisi aur ke dil pe dastak kaise de sakta hoon aaj,
pyaar sirf aapse karna sikhaya to aapne hi hai...

maut mil jaaye mujhe main chahta hoon aaj,
par zindagi ko jeena sikhaya to aapne hi hai...

khuda bhi khwaabon me aake humse kehta hai aaj,
bhool jaun aapko par kaha maine khuda se,
kaise bhool jaun use jise banaya to aapne hi hai...


bohat khoob likha hai aapne klaskar ji.acha laga padh k.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #33 on: April 08, 2010, 08:16:11 AM »
wah bahut hi khoob BBL ji and klaskar ji ...

jasbir singh
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #34 on: April 08, 2010, 08:17:52 AM »
very nice brokenbylove too.

mujhe jeena sikhaya tha,kya hai zindagi ye bataya tha,
mohabbat kise kehte hain ye tumne hi to bataaya tha,
aaj jo tum nahi ho toh kuch bhi nahi is jahan me hai,
sab kuch sikhaya tumne,par apne bin jeena na sikhaya tha.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #35 on: April 08, 2010, 08:20:43 AM »
very nice brokenbylove too.

mujhe jeena sikhaya tha,kya hai zindagi ye bataya tha,
mohabbat kise kehte hain ye tumne hi to bataaya tha,
aaj jo tum nahi ho toh kuch bhi nahi is jahan me hai,
sab kuch sikhaya tumne,par apne bin jeena na sikhaya tha.


wah wah bahut hi khoob nidhi ji

jasbir singh
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #36 on: April 08, 2010, 08:22:59 AM »
shukriya jas ji Usual Smile
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #37 on: April 08, 2010, 09:50:29 AM »
wah bahut hi khoob BBL ji and klaskar ji ...

jasbir singh

bahut bahut shukriya j.s ji..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #38 on: April 08, 2010, 09:54:00 AM »
Bahut khoob Geet Ji, Kapil Ji and Nidhi Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #39 on: April 08, 2010, 09:58:23 AM »
very nice brokenbylove too.

mujhe jeena sikhaya tha,kya hai zindagi ye bataya tha,
mohabbat kise kehte hain ye tumne hi to bataaya tha,
aaj jo tum nahi ho toh kuch bhi nahi is jahan me hai,
sab kuch sikhaya tumne,par apne bin jeena na sikhaya tha.

shukriya nidhi ji aur bahut khoob likha apne..

Vo chala gaya per apni yade chhod gaya,
main khadi rahi vo kuch ankahi baate chhod gaya,
vo pal ab bhi tazaa hai merre zehen mein..
jab vo merri ankho mein kuch adhuri raate chhod gaya......
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #40 on: April 08, 2010, 10:04:15 AM »
shukriya nidhi ji aur bahut khoob likha apne..

Vo chala gaya per apni yade chhod gaya,
main khadi rahi vo kuch ankahi baate chhod gaya,
vo pal ab bhi tazaa hai merre zehen mein..
jab vo merri ankho mein kuch adhuri raate chhod gaya......




wah wah wah bahut hi khoob geet ji ... last line toh bahut kamaal ki hai


MERI AAKHOH MEH WOH ADHURI RAATEY CHODD GAYA
SAMBHAL BHI NA PAYE THEY WOH HAMEY TANHA CHODD GAYA
RAAH GUJAR ABB KAISEY BITAYEH YEH JINDAGI
SAPNEY JOH SAJAYE THEY WOH AAKHOH MEH MERE HI CHODD GAYA



JASBIR SINGH
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #41 on: April 08, 2010, 10:38:33 AM »
Bahut khoob Geet Ji, Kapil Ji and Nidhi Ji

shukriya rajesh ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #42 on: April 08, 2010, 10:57:44 AM »
Bahut bahut shukriya Geet Ji... aur aapne bhi bahut khoob likha hai... Clapping Smiley

meri har muskaan tera raah tak rahi hai aaj,
dil ki dhadkano ko mere tera intezaar hai,
haar jeet kya hai bas tu hi har taraf hai aaj,
dil mera ye keh raha hai tu hi mera pyaar hai...


shukriya kapil ji..apne bhi bahut umda likha hai...

Hum do jism ek jaan hai,
ek duje ki nigaho ka araam hai,
bas gye hai ek duje ki ruh mein aur..
ban chuke apni mhbt ki pehchan hai......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #43 on: April 08, 2010, 11:00:30 AM »



wah wah wah bahut hi khoob geet ji ... last line toh bahut kamaal ki hai


MERI AAKHOH MEH WOH ADHURI RAATEY CHODD GAYA
SAMBHAL BHI NA PAYE THEY WOH HAMEY TANHA CHODD GAYA
RAAH GUJAR ABB KAISEY BITAYEH YEH JINDAGI
SAPNEY JOH SAJAYE THEY WOH AAKHOH MEH MERE HI CHODD GAYA



JASBIR SINGH


shukriya j.s ji..

Bite kal ko yad nhi karte ab,
uske milne ki fariyad nhi karte ab,
ujad gaye jo ashiya hamare mhbt mein..
apni chaht se unhe abaad nhi karte ab......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #44 on: April 08, 2010, 02:49:59 PM »
Bahut bahut shukriya Nidhi ji... jaanke khushi mili ki aapko hamara likha pasand aaya ...!!!

bohat khoob likha hai aapne klaskar ji.acha laga padh k.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:10:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer