Silsila Sath Ka

by Sonu on December 21, 2005, 05:26:44 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1992 times)
Sonu
Guest
Hakikat keysey chipa sakti hai koi
Keo yaddo ka nishan chudta hai koi
Hai ahkho mey nazer ahti tasvir koi
Jo bhut legti hai apni si koi
Mey ney lakh caha bedlena
jajbato ko cheyra vohee nazer ata hai ratoo ko.
Ghadi do ghadi to mujhey miley sakoon
Jaha huta na ho meyri hasro ka khoon
Chahat to ensan ki bori adat huti hai
N milney per shuru huti ebadad hai
Silsila sath ka benta hai
Vhaa umer bhar koi saath chalta khahaan hia?...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chahaton ka silsila ---shabd by Nedura! in Songs & Lyrics
silsila by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
ye wo silsila nahi by bekarar in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
*****silsila***** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
*****yaadon ka silsila***** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Sonu
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2005, 05:12:59 AM »
Apne haaton se yun chehre ko chupaate kyon ho
Mujh se sharmaate ho to saamne aate kyon ho
Tum Kabhi meri tarha kar bhi lo ikraar-e-vafa
Pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyon ho
Ashq aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate kyon ho
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: December 22, 2005, 05:43:27 AM »
kya sunder Gazal kahi hai sonu ji.....mujhe is Gazal main bahoot hi dard mehsoos hua hai...is dard ko agar main kahoon toh kutchh is tarah se kehta..Gustaakhi muaaf ho sonu ji....agar pasand na ho toh delete kerne ko keh dena hum ker denge...Sonu ji ye meri soch hai.....

kyuin rote ho dekh ker meri aankhon main AshQ,
Dil bhar aata hai toh dil ko dukhaate kyuin ho.

kyuin kehte ho Roz mujhe mar-mar ke jeene ko,
Milne aate ho, toh phir laut ke jaate kyuin ho.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2005, 06:03:16 AM »
shukriyaa harash ji...

nahi harash ji bhut achi soch hai apki... acha likha hai sabki soch alag alag huti hai sab ki suney cahya hai...
acha likha hai apney very nice...

Jinki yaad hai dil mein nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarha
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2005, 06:20:18 AM »
Quote from: "Sonu"
shukriyaa harash ji...

nahi harash ji bhut achi soch hai apki... acha likha hai sabki soch alag alag huti hai sab ki suney cahya hai...
acha likha hai apney very nice...

Jinki yaad hai dil mein nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarha
ahaaa...ati sunder...

saza rakha hai nishaani ko dil main is tarah
kyuin kha rahe ho thhokrein yuin der-bader.

dil toh kabhi bhoola hi nahi woh mulakaatein
kahe ko dete ho yuin iljaam mere hum-safer.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2005, 06:31:16 AM »
shukriyaa harash ji... app mujhey sonu khey saktey hai...

bahut khob likha hiaapney... very nice...

Aankhon Mein Hai Ghamo Ke Aashun
Aur Hoto Par Fariyade Hain
Aur Kya Hai Ab Pas Hamare
Bus Ek Teri Yaddein Hain
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: December 22, 2005, 06:49:54 AM »
Quote from: "Sonu"
shukriyaa harash ji... app mujhey sonu khey saktey hai...

bahut khob likha hiaapney... very nice...

Aankhon Mein Hai Ghamo Ke Aashun
Aur Hoto Par Fariyade Hain
Aur Kya Hai Ab Pas Hamare
Bus Ek Teri Yaddein Hain


Itna dard na bahao sonu is arsh per

mere har ashar ka lagta hai jawaab ho tum
meri har dhun ka lagta hai agaaz ho tum
na do saza apne dil ko yuin yadon ke sadke,
mera har geet jis.se nikla woh saaz ho tum.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #7 on: December 22, 2005, 06:55:23 AM »
harash dardo gum mey rehney ki ab to jeysey ek adaat si hu gayee hai, ashk bahaney ki jeysey ek pratha si hu gayee hai...


Na dard ki talab hai na dawa maangi hai
neend chaaho tere zulfo ki hawa maangi hai
aayo dushmano haath uthaao maiN jiyu barso
dosto ne mere marne ki dua maangi hai.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: December 22, 2005, 07:34:06 AM »
Quote from: "Sonu"
harash dardo gum mey rehney ki ab to jeysey ek adaat si hu gayee hai, ashk bahaney ki jeysey ek pratha si hu gayee hai...


Na dard ki talab hai na dawa maangi hai
neend chaaho tere zulfo ki hawa maangi hai
aayo dushmano haath uthaao maiN jiyu barso
dosto ne mere marne ki dua maangi hai.


bada hi dilzala likha hai sonu ji....itna kyuin dhaati ho sitam..


Dil ke gulshan main khila ik hasien phool hoon main,
Zulf main apni mujhe kaash!! saza le koi.

Tal main sagar ke kisi seep main soya hoon main,
Apni marzi se 'harsh' aake nikale koi.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: December 22, 2005, 07:34:22 AM »
wah  wah   Sonu...........Harsh  bhai......excellent  work......

usse  batao  jo  bhoole  se kahin mil jaaye
ki ashk  bahte hain kaise agar koi mil jaaye....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: December 22, 2005, 07:53:26 AM »
bahoot khoob harash ji... hum kha dil jalangey jo khud jal chukey hai vo kha kesi per sitam dhangey...

Tere saath guzra lamha jab bhi yaad ayega,
iss janam ke baad bhi tera khayal layega,
agar bakshi zindagi khuda ne baar baar mujhe,
tujh se mohabbat karne ko hardum jee chahega.



muna very nice bahoot khoob waheed...

Saaye ki tarah saath rehne wale,
humse rishta tod gaye,
haqeeqat mein milna mumkin nahi tha,
magar khwaabo mein bhi aana chod gaye.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: December 22, 2005, 08:10:07 AM »
Quote from: "Sonu"
bahoot khoob harash ji... hum kha dil jalangey jo khud jal chukey hai vo kha kesi per sitam dhangey...

Tere saath guzra lamha jab bhi yaad ayega,
iss janam ke baad bhi tera khayal layega,
agar bakshi zindagi khuda ne baar baar mujhe,
tujh se mohabbat karne ko hardum jee chahega.


kya kahoon sonu ji ab...sab kutchh ashar main hi hai...

Jane kaisi ye uljhan hai tere jakhmon ki
Gum Tanhayee our kutchh rasmon ki.
mujhe Fakra hai tere in jajbaaton pe
yaad rahoonga teri tasawwur ki in raaton main.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: December 22, 2005, 09:28:11 AM »
keya huya harash...

bahoot khoob harash...

Khatm hote' nahi yeh chashm-e-tar ke paimaane!!!!
Teri mast nigaaho se ubhar aoo tau kya!!!!!
Kehte hai ki aarzoo kabhi khatem hoti nahi!!!!!!
Teri aarzoo mei mey mar jaoo tau kya!!!!!!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #13 on: December 22, 2005, 05:48:15 PM »
ahaaaa....kya baat hai sonu...waah..

Ulfat main seeye honth woh samjhe zubaa.n nahi,
Daage dil pe daag our dekhein kahaan-kahaan nahi.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: December 23, 2005, 03:34:56 AM »
keo keya huya harash... shukriyaa harash  :D

Badi muddat se chaha hai tumeh,
badi duaon se paaya hai tumeh,
Tujeh bhulane ki sochu bhi kaise,
Kismat ki lakiron se churaya hai tujeh!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:49:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer