Sirf Dard.....

by Alam Qazi on August 25, 2009, 07:35:59 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1793 times)
Alam Qazi
Guest

jiska tum puchte ho wo mar gaya FARAZ,
us ko kisi ki yaad ne zinda jala diya


meri har maangi hui dua bekaar gayee FARAZ
jaane kis shaks ne chaha tha itni shiddat se use


ek khalish ab bhi mujhe bechain karti hai FARAZ
sun ke mere marne ki khabar wo roya kyo tha…


jab tera dard mere sath wafa karta hai
Ek samandar meri ankhon se baha karta hai
jab khizaa’n ayee tou laut Aayega wo bhi FARAZ
wo baharon mein zara kam hi mila karta hai....



Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,
Mere Seenay Mein Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra…



meri khushi  ki  mudat itni hai Faraz
Guzar jati hai mere muskurane  se pahle..



Safed Libaas Usey Bohut Pasand tha mere jism par ''FARAZ''
Aaj Main Kafan Mein Lipta Hoon Tou Phir Wo Roti Kyun Hai ..



Humare  baad nahin Aayega tumhein chahat ka Aisa maza Faraz!!!
tum logo_n se khud kehty phiro gey mujey chaho uski tarha




Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz...
MOHABBAT bhi sukoon walon ko badi takleef deti hain.



Mujhe ghuroob na jano, jo main ufaq pay nahi...
Bikher gaya hoon andheron mein Kahkasha’n  ki tarah...



Wo Dhoondte Rahey Humein idhar udhar
Shayad Unhe Hamari Taalash thi, FARAZ
Par Afsoos Jis Qabar ParThey Qadam Unke
Usi Mein Humari Laash Thi.....



Theek likha tha mere hath ki lakeron mein Faraz,
Tu Agar pyar karyega tou bikhar jayega…



Khud ko Chuntay Huwe Din Saara Guzar Jaata Hai Faraz
Phir Hawa Shaam Ki Chalti Hai To Bikhar Jaate Hein…



Woh meri Qabr pe aaya or khul ke ro na saka Faraz.
Kitna khayal tha ussy mere sukoon ka...



Hum Ko Maloom Tha Anjaam-E-Mohabbat FARAZ
Humne Akhri Harf se Pehle Hi Qalam Tod Diya....



Pyaas aisi ke pee jaon samunder saarey
Naseeb aisa ke Mayassar zeher bhi nahi...



Khula Jo Nama-E-Amal Hasher Me Mera FARAZ
Bas Ek jurm -E-Mohabbat, Mere Hisaab Mein Tha...



Kya koi subah nahi apne muqaddar mein faraz
Raat dhalti hai to phir raat nikal aati hai...



Be Panah chahat k baad bhi hum Usey Paa na Sakey 'FARAZ'
kisi khush naseeb ne Usey Apni Berukhi Sey jeet Lia..


_________Alam

{Not Mine}

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: August 25, 2009, 09:04:11 AM »
Subhan Allah Subhan Allah Subhan Allah,.

Alam Bhaijaan, Ek Pal Ke LIye main Khamosh Reh Gaya In Asharon Ko Pardhne Ke Baad,.

Aapne Hume Ek Nayaab Tohfa Diya Hai, Ahmed Faraz Ji ke Ashaaron Ke Zariye, behad Sukoon Mila, Har Ashaar Mein Doobta Gaya,.

Dil Karta Hai Aur Pardhta Rahoon Ahmed Faraz Ji Ke Asharon Ko, Agar Aapke Paas Aur Bhi Hai Ton Please Post Karein,.

Thank U,.

Azeem,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 25, 2009, 09:08:35 AM »

Wo Jhoot Bol Raha Tha, Bade Saleekhe Se,.
Main Aitbaar Na Karta To Kya Karta,.

-Waseem Barelvi-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 25, 2009, 09:10:30 AM »

Gham Bayaan Karne Ka Koi Aur Dhang Ijaad Kar,.
Teri Aankhon Ka Ye Paani To Puraana Hogaya,.

-Waseem Barelvi-
Logged
Sammual
Guest
«Reply #4 on: August 25, 2009, 02:11:44 PM »
Bahut Khoob Nice Sharing Alam Ji And Azeem Ji. Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: August 26, 2009, 11:30:46 AM »
bhut khoob aalam sahab bhut hi achay aasahaar share kiye hain aapne

nice one azeem


silsile tod gaya wo sabhi jaate jaate
warna itne to marsim the ke aate jaate
uski wo jaane usse pass e wafa tha ke na tha
tum "faraaz" apni taraf se to nibhaate jaate
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 26, 2009, 11:37:57 AM »
bhut khoob aalam sahab bhut hi achay aasahaar share kiye hain aapne

nice one azeem


silsile tod gaya wo sabhi jaate jaate
warna itne to marsim the ke aate jaate
uski wo jaane usse pass e wafa tha ke na tha
tum "faraaz" apni taraf se to nibhaate jaate

Waah Wah Waah Kya KHoob, This Is One of my Fav8
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2009, 10:15:08 AM »
Wah wah Alam ji and Azeem bhai .beautiful sharing,wonderful lines by Aaina ji.
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2009, 02:07:45 PM »
thanks every one... and specially    Madhu... Usual Smile
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #9 on: September 03, 2009, 02:50:34 PM »
bahut accha likha hai aapne
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:35:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer