sisakti hain aankhein... Intezar !

by Intezar on September 25, 2011, 07:06:51 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1355 times)
Intezar
Guest


Jaane kiska khwaab liye raat bhar jagati hain aankhein
Kabhi kisi kaa tasavur liye yun hi hansti hain aankhein

Kabhi nam mausam me sholo si tapti hain aahein
Khushk ho dil ki zameen to barasti hain aankhein

Veeran sa safar hai aur na humsafar koi raah mein
Jaane kis ki deed me din raat tadapti hain aankhein

keh do unse jo dekhte hain shafqat ki nazrein hamari
roz aansuon se dhul kar itnaa nikharti hain aankhein

log kehte hain aansuo se ho jaata hai dard bayaan
par khud mein ek dard bankar sisakti hain aankhein

Shab-e-gham b hai, furkat b, yaado ka tufaan b ‘Intezar’
lamhaa lamhaa jhoNke se tootkar bikharti hain aankhein…!


Shukriya
Intezar !


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aankhein bhiig jaati hain by captain in Shayri-E-Dard
**Kya Nahi Karti Hain Ye Aankhein**RH by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
AANKHEIN HAIN PYAASI... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
qatil hain teri aankhein by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
thak gayee hain aankhein by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
dead heart
Guest
«Reply #1 on: September 25, 2011, 07:17:56 PM »
Intezar mere bhai,
Hamesha apko parr kar khud kay ehsaas pata hoon..
Behad khubsoorat likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: September 26, 2011, 03:39:57 AM »
bhot khoob bhai--
bhahut khoob
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: September 26, 2011, 03:52:07 AM »
good


Jaane kiska khwaab liye raat bhar jagati hain aankhein
Kabhi kisi kaa tasavur liye yun hi hansti hain aankhein

Kabhi nam mausam me sholo si tapti hain aahein
Khushk ho dil ki zameen to barasti hain aankhein

Veeran sa safar hai aur na humsafar koi raah mein
Jaane kis ki deed me din raat tadapti hain aankhein

keh do unse jo dekhte hain shafqat ki nazrein hamari
roz aansuon se dhul kar itnaa nikharti hain aankhein

log kehte hain aansuo se ho jaata hai dard bayaan
par khud mein ek dard bankar sisakti hain aankhein

Shab-e-gham b hai, furkat b, yaado ka tufaan b ‘Intezar’
lamhaa lamhaa jhoNke se tootkar bikharti hain aankhein…!


Shukriya
Intezar !


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: September 26, 2011, 12:29:09 PM »
Intezaar Sahaab Aadaab!

Bahut khoob janab ... kafi achche aur khub lafzoN
meiN khayaaloN ko zubaaN di hai aapne... Usual Smile

Sabhi ashaar khoob kahe.. Behad khubi se aapne ankhoN
ko bayaaN kiya hai daad... Par afsos ke aapne sirf ankhoN
ko dard ke ahsaasoN meiN hi lapet diyaa.. Usual Smile

Khair is khub kalaam par dili daad O mubarakbad kabul
kijiye.... Usual Smile

Aur is sher par hazaroN daad Usual Smile



log kehte hain aansuo se ho jaata hai dard bayaan
par khud mein ek dard bankar sisakti hain aankhein



Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Shaad O aabad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 26, 2011, 12:31:53 PM »


Jaane kiska khwaab liye raat bhar jagati hain aankhein
Kabhi kisi kaa tasavur liye yun hi hansti hain aankhein

Kabhi nam mausam me sholo si tapti hain aahein
Khushk ho dil ki zameen to barasti hain aankhein

Veeran sa safar hai aur na humsafar koi raah mein
Jaane kis ki deed me din raat tadapti hain aankhein

keh do unse jo dekhte hain shafqat ki nazrein hamari
roz aansuon se dhul kar itnaa nikharti hain aankhein

log kehte hain aansuo se ho jaata hai dard bayaan
par khud mein ek dard bankar sisakti hain aankhein

Shab-e-gham b hai, furkat b, yaado ka tufaan b ‘Intezar’
lamhaa lamhaa jhoNke se tootkar bikharti hain aankhein…!


Shukriya
Intezar !



Waah Waah Waah!!!!!

Bahut Bahut Khoob Intezar Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Andaaz-e-bayaan..Lajawaab

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2011, 06:26:46 PM »
Shukriya Rahim bhai.. humesha saath rehne ka dil se bahut bahut shukriya...

Intezar !

Intezar mere bhai,
Hamesha apko parr kar khud kay ehsaas pata hoon..
Behad khubsoorat likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2011, 06:27:25 PM »
sarfira ji bahut bahut shukriya...

Intezar !

bhot khoob bhai--
bhahut khoob
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2011, 06:27:54 PM »
shukriya Manoj ji...

Intezar !

good
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: September 29, 2011, 06:30:25 PM »
Parwaaz ji aadaab... aap ka saath mila khushi huyi.. aapne pasand kiya achha laga... aap ne afsos zaahir kiya.. ab kya kare dard ke siwa kuch likha hi nahin jaata... yu hi na cheez ka saath dete rehiyega... khush rahiye...

Intezar !

Intezaar Sahaab Aadaab!

Bahut khoob janab ... kafi achche aur khub lafzoN
meiN khayaaloN ko zubaaN di hai aapne... Usual Smile

Sabhi ashaar khoob kahe.. Behad khubi se aapne ankhoN
ko bayaaN kiya hai daad... Par afsos ke aapne sirf ankhoN
ko dard ke ahsaasoN meiN hi lapet diyaa.. Usual Smile

Khair is khub kalaam par dili daad O mubarakbad kabul
kijiye.... Usual Smile

Aur is sher par hazaroN daad Usual Smile



log kehte hain aansuo se ho jaata hai dard bayaan
par khud mein ek dard bankar sisakti hain aankhein



Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Shaad O aabad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: September 29, 2011, 06:31:17 PM »
khwaish ji tahe dil se aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !

Waah Waah Waah!!!!!

Bahut Bahut Khoob Intezar Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Andaaz-e-bayaan..Lajawaab

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:38:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer