soch lo kitne sitam ....zarraa

by zarraa on June 05, 2012, 05:04:35 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1611 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
soch lo kitne sitam usne uthaaye hoNge
ke gile dil ke zubaaN tak bhii na aaye hoNge

kitne ilzaam liye dii na safaayee jinkee
kitne ehsaan kiye jo na jataaye hoNge

poochhtaa hogaa udaasee ka sabab gar koyee
kaun jaane ki bahaane kya banaaye hoNge

shor duniya ka harik simt tha sab pe haavee
dil ke andeshe bhalaa kis ko sunaaye hoNge

usko maaloom tha hoNge na mukammal lekin
khwaab aNkhoN meiN kayee phir bhii sajaaye hoNge

jaane waaloN ne abhee paaNv thei rak’khe baahar
khol de dar wo kahiiN laut na aaye hoNge

baarahaa yaad karaate haiN sabak ye aansoo
aaj apne haiN wo ik roz paraaye hoNge

dard kya khaak samajh payeNge uska ye log
dil meiN jazbaat to uske se na paaye hoNge

ranj-o-gham dil ke lahoo meiN bhii nahaate kab tak
ban ke khoon-aab wo surkh-aaNkh meiN aaye hoNge

ashk jo uske bahe unka hooN mujrim "zarraa"
unse naadim bhii jo ab tak na bahaaye hoNge

- zarraa

harik simt = everywhere / in all directions
khoon-aab = tears of blood
surkh-aankh = red eyes
naadim = ashamed
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: June 05, 2012, 05:07:14 PM »
boht khub zara aur ek rau
Logged
soudagar
Guest
«Reply #2 on: June 05, 2012, 05:12:34 PM »
lajawab .............aap bahut achha likhte hai sir yeh to hum pehle se hi jante hai....... us galti ke liye phir se ek bar mafi chahte hai........


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: June 05, 2012, 05:46:47 PM »
bohat khoob zarra...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: June 05, 2012, 05:59:53 PM »
soch lo kitne sitam usne uthaaye hoNge
ke gile dil ke zubaaN tak bhii na aaye hoNge

kitne ilzaam liye dii na safaayee jinkee
kitne ehsaan kiye jo na jataaye hoNge

poochhtaa hogaa udaasee ka sabab gar koyee
kaun jaane ki bahaane kya banaaye hoNge

shor duniya ka harik simt tha sab pe haavee
dil ke andeshe bhalaa kis ko sunaaye hoNge

usko maaloom tha hoNge na mukammal lekin
khwaab aNkhoN meiN kayee phir bhii sajaaye hoNge

jaane waaloN ne abhee paaNv thei rak’khe baahar
khol de dar wo kahiiN laut na aaye hoNge

baarahaa yaad karaate haiN sabak ye aansoo
aaj apne haiN wo ik roz paraaye hoNge

dard kya khaak samajh payeNge uska ye log
dil meiN jazbaat to uske se na paaye hoNge

ranj-o-gham dil ke lahoo meiN bhii nahaate kab tak
ban ke khoon-aab wo surkh-aaNkh meiN aaye hoNge

ashk jo uske bahe unka hooN mujrim "zarraa"
unse naadim bhii jo ab tak na bahaaye hoNge

- zarraa

harik simt = everywhere / in all directions
khoon-aab = tears of blood
surkh-aankh = red eyes
naadim = ashamed


zarra sahab, adaab arz,

 mujh nasamajh ki nazar mein matla kamzor hai.dono misre mein taal -mail nahin maaloom padta hai.

 meri samajh mein matla aisa likha hona chahiye shayad


            socho kitna sitam uthayaa usne,
            ki gila zubaan tak na layaa usne,


  waise MASHAALLAH kalaam khoob kahaa hai
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 05, 2012, 06:06:17 PM »
ZARRA  SAHEB , ADAB . BAHUT  PYARI , BAHUT KHUBSURAT GHAZAL HAI .
TAH E DIL  SE  DAAD HAZIR HAI . HASAN
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #6 on: June 06, 2012, 02:41:01 AM »
Bahut Khub Bahut Khub Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: June 06, 2012, 03:42:35 AM »
bahut khoobssorat ghazal aapkee shaan men kahne ko alfaaz naheen fir bhee dheron daad aur ek rau
Logged
@Heer@
Guest
«Reply #8 on: June 06, 2012, 04:16:15 AM »
waahhhhhh bahot khubbbbbbbbb
Logged
sarfira
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2012, 07:28:33 AM »
lajawaaabbbbb
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: June 06, 2012, 09:24:57 AM »
Soch lo kitne sitam usne uthaye honge
k gile dil k zubaan tak bhi na aye honge

Bilkul dono.n misro.n mein taalmail nahi baith raha. Ye aisa hona chahiye:
Soch lo kitne sitam usne uthaye honge
Aur gile dil k zubaan tak bhi na laye honge.

Baaqi ghazal kamaal ki hai. Ek Rau meri taraf se.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: June 06, 2012, 09:26:40 AM »
Zarra Sahaab Aadaab!


Kia baat hai janab bahut khoob... badi hi umdaa gazal kahi hai
aapne... waaH matle se lekar maqte tak behad umdaa khayaaloN
ko nazm kiya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe... Usual Smile
Bahut khoob janab bahut khoob... Humari hazaaroN dili daad O
mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye... aapke aane se mehfil meiN aur
bhi ronak aa gayi hai... Usual Smile


Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: June 17, 2012, 12:14:51 PM »
doston ...aadaab .... ap sab ka shukriya ada karne mein jo taakheer huwee uske liye maazrat khwaah hoon. aap sabhi qadrdaanon aur danishmandon ka ehsaanmand hoon ki apne apna keemtee waqt is qalaam ko diya. aap sab ne jis tarah dil mein jagah di, hauslafzaayee kee aur apne keemtee mashware meree jholee mein daale ....un sabka tah e dil se shukriya ada karta hoon. ap sab ke liye dheron duaon ke saath ....zarraa
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:31:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer