Socha Na Tha,.

by Jaanasheen on February 27, 2008, 10:36:15 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1433 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
One Of My Fav8 Shayari Hope U Too Will Like It

Jag Magaate Shehar Ki Ranaayiyon Mein Kya Na Tha,.
Dhoondne Nikla Tha Jisko Maine Wohi Chehra Na Tha,.

Rait Pe Likhe Hue Naamon KO Pardhkar Dekhlo,.
Aaj Tanhaa Reh Gaya Hoon Kal Magar Aisa Na Tha,.

Hum Wohi Tum Bhi Wohi, Mausam Wohi Manzar Wohi,.
Faasla Bad Jaayega Itna Kabhi Socha Na Tha,.

Fikr ke Dar Pe Koi Aahat Koi Dastak Nahi,.
Wo Faqat Beemar Jiska Koi Hum Sayaa Na Tha,.

Chord Aaya Jin Safeenon Ko Talatoom Ke Kareeb,.
Nakhuda Unme Tera Shayad Koi Apna Na Tha,.

__________________________-Ameer Kazalbash-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Socha tha......... by prempagla in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
socha na tha by Mayur4love in Shayri for Khumar -e- Ishq
socha na tha by rivita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
socha tha........ by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
SOCHA NA THA by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
diya786
Guest
«Reply #1 on: February 27, 2008, 11:48:22 AM »
aapki koi nazm humein pasand na aaye aisa to ho hi nahin sakta
har baar ki tarah is baar bhi aap lajawab hain
aur aapke woh shayar bhi jinki yeh nazm hai...
Logged
palchin agarwal
Guest
«Reply #2 on: February 27, 2008, 12:12:58 PM »
wah bahut hi khoob jaanashaan ji.................aapki poetry wakai dil ko chooti hai.

main apni zindagi ko khona chahti hoon,
bahut hai dard ab sirf rona chahti hoon............!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 27, 2008, 12:13:54 PM »
Shukriya Diya Ji,.
Palchin Agarwal Ji,.
ke aap Ko Hamari Collection Achchi Lagi,.
Waise Ye Wo Shayaris hain Jinse Humne Khud Shayari Likhna Ka Socha Tha,.
isliye Aaj Yahan Main In Post Kar Raha Hoon taaki Sabke, Dil Mein Ye Hausla Jaage,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 27, 2008, 12:17:08 PM »
Is Tarah Sataaya Hai Pareshaan Kiya Hai,.
Goya Ki Mohabbat Nahi Ehsaan Kiya Hai,.

Socha Tha Ki Tum Dusron Jaise Nahi Hoge,
Tumne Bhi Wohi Kaam Meri Jaan Kiya Hai,.

Mushkil Tha Bahoot Mere Liye Tark-e-Ta'alukh,.
Ye Kaam Bhi Tumne Mera Asaan Kiya hai,.

Har Roz Sajaate Hain Tere Hijr Mein Gunche,.
Aankhon KO Teri Yaad Mein Guldaan Kiya Hai,.

______________________________-Afzal Firdaus_

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: February 27, 2008, 12:28:49 PM »
Wah Kya Baat Hai AZEEM Bhai.. Waqai Behad Jabardast Shayar hain Janab AMEER & AFZAL Ji..!!

Aaapke Zariye Inko Padhne ka Mauka mila.. Shukriya.. Usual Smile Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 27, 2008, 12:40:44 PM »
Shukriya Bhai,.
Aapne Bakhoob Kaha,.
Ye Sab Mere Idol Hain,.
Inhi Ki Badolat Main Shayari Ki Duniya Mein Kadam Rakha,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 27, 2008, 12:46:18 PM »
Bikharte Toot-te Lamho Ko Apna Humsafar Jaana,.
Tha Is Raah Mein Aakhir Hume Khud Bhi Bikhar Jaana,.

Hava Ke Dosh par Baadal Ke Tukde Ki Tarah Hum hain,.
Kisi Jhonke Se Poochnge Ki Hai Humko Kidhar jaana,.

Mere jalte Hue Ghar Ki Nishaani Bas Yahi Hogi,.
Jahaan is Shahar Mein Roshni Dekho Tahar Jaana,.

Paas-e-Zulmat Koi Suraj Hamara Muntazir Hoga,.
Isi Ek Veham Ko Hum Ne Charaag-e-Raah Guzar Jaana,.

Dayaar-e-Khamoshi Se koi Reh-Reh Kar Bulaata Hai,.
Hume "Makhmoor" Ek Din Hais Isi Awaaz par jaana,.

_______________________________-Makhmoor Saeedi-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 27, 2008, 12:48:18 PM »
Makhmoor Saeedi Saab Bhi kamaal Ke Shayar Hain,.
waise Zyada Tarr Inhe Koi Jaanta Nahi,.
Kyun Ki Inke Bahoot Kam Kalaame hain,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 27, 2008, 01:55:23 PM »
Azeem...very beautiful sharings !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2008, 04:24:50 PM »
bahoot khoob lil bro... ek koshish meri bhi apke sath likhne ki..

Hai jo itna apna, wo ek din itna paraya hoga
Socha thi bahoot baatein, per aisa kuch socha na tha

Hath rakh dete the jo mere pairo ke niche
Wo hi bichayege kaantein, yah kabhi socha na tha

Najaro mai jinke mujhe apna sansaar najar ayya
Wo hi dhoke se dege Vish, kabhi socha na tha

Tinka tinka jord banaya ashiana barso main
Ek jhatke se torr dega wo, kabhi socha na tha

Sochi thi bahoot baatein yah kabhi socha na tha
Wo jo sirf  mera tha apna, ho jayega itna paraya, socha na tha!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: February 27, 2008, 06:43:17 PM »
Bohot achcha likha hai Pooja...ye lines bohot achchi hain

"Hath rakh dete the jo mere pairo ke niche
Wo hi bichayege kaantein, yah kabhi socha na tha"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 27, 2008, 08:21:42 PM »
Thanks Talat!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 28, 2008, 03:38:43 PM »
Waah Didi Jaan Kamaal Ka Likha Hai Aapne,
Nice One,.
And Thank U,.
Talat Ji,.
And Pooja Sis.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 28, 2008, 03:41:00 PM »
Mujhey Deewana samajhtey hain terey sheher ke log
Merey daaman se ulajhtey hain terey sheher ke log

Main gaya waqt hoon, wapas naheen aaney wala
Kiun meraa raasta taktey hain terey sheher ke log

Jab bhi aata hey meraa naam terey naam ke saath
Meri qismat pey sulagtey hain terey sheher ke log

Aur kiyaa doon tujhey main apni wafaaon ka suboot
Ab merey haal pey hanstey hain terey sheher ke log

_________________________________________--NM--
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:26:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer